♥ Mafhoom-e-Hadees: Hakeem Bin Hizaam (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Unhone Bayan Kiya Ki Maine Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Puchha:
*Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Unn Nek Kaamon Ke Baarey Me Kya Hoga Jinhe Maine Kufr Ki Haalat Me(Imaan Laaney Se Pehle) Kiya Tha ?
Jaise Ki: Maine Sadqa-Khairaat Kiya Hai, Gulaam Bhi Aazaad Kiya Hai, Logon Ke Saath Nek Bartaao Bhi Kiya Hai,..
Tou Kya Kufr Ki Haalat Mein Kiye Huye In Nek Kaamon Par Bhi Mujhe Sawaab Milega?
Ye Sunkar Aapne Farmaya: “Tum Unn Tamaam Nekiyon Aur Bhalaiyon Ke Saath Imaan Laye Ho, Jo Pahle Kar Chuke Ho (Yaani Unn Sab Par Sawaab Milega).”
– Sahih Al-Bukhari (Hadith no.5992)
♥ Subhan’Allah! Ye AaHadees-e-Mubarak Iss Baat Ki Hujjat hai ke
*Allah Ki Rehamat Uske Gazab se Jyada Hai.
*Wo Apne Bando Ke Doure Jahalat Ke Gunaah Imaan Laney Se Baksh Deta hai
*Lekin Doure-e-Jahalat ki Nekiyo Ko Jaya Nahi Hone Deta ,…