Islam kya hai ? | What is Islam ? | 5 Pillars of Islam

Islam kya hai What is Islam 5 Pillars of Islam

Islam kya hai ?

۞ Hadees-e-Nabawi: Islaam ye hai ki tum Shahadat(Gawahi) do ki Allah ke Siwa koi Ibaadat ke Laaiq nahi aur Muhammad (ﷺ) Uss (Allah) ke Rasool hain, “Namaaz Qaaim Karo, Zakaat Ada karo, Ramazaan ke Roze rakho aur agar Hajje Baitullah Jaane ka Maal paas me hai tou Hajj karo.”

📕 Muslim, Jild -1, Safa-27


Islam ke Farz Arqan 5 Hain: (5 Pillars of Islam)

(1) Kalma Padhna. (Shart) – (Must for Everyone)
(2) Namaaz Padhna. (Farze Ain. Muqarrar Waqt par Din me 5 baar.) (For Everyone)
(3) Roze Rakhna. (Farze Ain. Maahe Ramazaan me.) – (For Everyone)
(4) Zakaat Dena. (Saahibe Nisaab par. Maahe Ramzan me.) – (Only for Capable People)
(5) Hajj Karna. (Saahibe Isteta’at par. Maahe Zil Hijja me.) – (Only for Capable People)

**************

(1) Kalma :

Ye Shahaadat (Gawahi) Dena ke Allah Ta’ala ke Siwa koi Ibaadat ke Laaiq nahi aur Muhammad (ﷺ) Allah ke Rasool hain.

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Pas Jaan lijiye ke Allah ke siwa koi Ma’abood nahi.

Surah Al-Muhammad 47:19

Muhammad (ﷺ) Allah ke Rasool Hain.

Surah Al-Fath 48:29

(2) Salaat (Namaaz) :

Ba-Wuzu Qibla Roo Hokar Niyyat Karke Takbeere Tehrima Ke Baad Tarteeb Se Qayaam, Sana, Tilawate Surah Al-Faatiha Aur Qir’at, Rooku’, Qauma, Sujood, Jalsa, Qa’ada Aur Tashh-Hud Duroode Ibraheem Aur Dua-e-Mashura Ke Baad Salaam Karna.

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Beshak Namaz Mo’mino par Muqarrar Waqt ke Hisaab se Farz hai.

Surah An-Nisa 4:103

(3) Sawm (Roza) :

Allah Ta’ala Ki Ibadat Ke Liye Niyat Ke Saath Khud Ko Sub-H Saadiq Se Lekar Guroobe Aaftab Tak Khaane Peene Aur Jima’a (Sohbat) Se Roke Rakhna.

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Aye emaan walo! Tum par Roze Farz kiye gaye, Jaise Aglo par Farz hue they ke kahin tumhe parhezgari mile. Ginti ke Din.

Al-Baqarah 183, 184

(4) Zakaat :

Allah ke liye Apne Maal ka Utna Hissa Jo Shara’a me Muqarrar kiya gaya hai Musalman faqeer (Haajatmand) ko de kar Usey uss Maal ka Maalik bana dena.

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Aye Emaan Walo! Jo Kuchh Hum(Allah) ne Tumhe ata kiya hai Uss me se (Allah Ki Raah me Nek Kaam me) Kharch Karo

Al-Baqrah 2:254

(5) Hajj :

Allah Ta’ala ki Ibadat ke Liye Ehram ke Saath Niyat Karke Zil Hijja ke 5 Din me Ya’ni 8we Chand se 12we Din Tak Mina Me Qayaam Karke Musalsal Muqarrar Din Ko Muqarrar Waqt Par Muqarrar Maqaam Par Tarteeb Ke Saath Muqarrar Arqan Ya’ni Wuqoofe Arafa, Wuqoofe Muzdalifa, Rami-e-Jimaar, Qurbani, Halaq Ya Takseer, Tawaafe Ziyarat aur Mabeet (Wuqoofe Mina) Ada Karna.

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Aur Allah Ta’ala ka Haq hai Insaan Par Ke Baitullah ka Hajj kare Jo Waha Pahunchne ki Haisiyat Rakhta ho.

Surah Aale Imraan 3:97

**************

Islam ke Farz Arqan Khaime ke Sutoono ki tarah hain. Kalma-e-Shahadat padhna ye bich wala Sutoon hai aur baaqi 4 Arqaan 4 Koney ke Sutoon hain.

Agar kisi Khaime ka bich wala Sutoon sahi na ho tou wo Qaaim nahi reh sakta aur Kone ka koi Sutoon sahi na ho tou khaima Uss taraf se Jhuk jaayega. aur agar kone ke chaaro Sutoon sahi nahi tou khaima khada tou hoga magar Chaaro taraf se Jhuka hua.

Esi tarah bagair Kalma-e-Shahadat padhe koi Shakhs Musalman ho hi nahi sakta aur Baaqi 4 me se koi sahi nahi hoga tou Uss ka Deen uss taraf se sahi nahi hai. Yaani agar Namaaz Ada nahi karta tou uske Deen ka Khaima uss taraf se Khaami wala hai aur esi tarah Roza, Zakaat aur Hajj ka bhi hai. Agar Chaaro Farz Arqan ada nahi karta tou wo (Kalma Padhne se) Musalman tou hoga magar uske Deen ka Khaima Mukammal na hoga aur Khaami wala hoga.

**************

# Allah Rabbul Izzat Hum Tamam Ko Deen-e-Haq par chalne ki taufikq ata farmaye,
# Hume Iske Arqano par Ikhlas ke saath Amal ki taufiq ata farmaye,
# Jab tak Hume zinda rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhey.
# Khatma Humara Imaan par ho.

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!




WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *