Download Ummat-e-Nabi Official Android App Assalamo Alaikum Wa Rehmtullhi Wa Barkatuhu ! kindly download our Ummate Nabi official Android app for huge islamic post collection in roman urdu, hindi & english. - ummat-e-nabi.com/home Team Features: › Islamic News › Islamic Quiz › Islamic Naat & Video Bayan › Daily Hadees & Quranic Verses Notification on Mobile. › Hadith Collection in Urdu & Hindi › Masail in the light of Qurano Sunnat Android App ♥ In'sha'Allah ! Upcoming Features: › Tafseer ibn Kaseer in Roman Urdu › Halal Job › Islamic Matrimonial
Islamic Quiz 147 in me se Kounsa Amal Dil ko Murda Bana deta hai? A. Jyada Hasna B. Jyada Khana C. Jyada Maal D. Sahih Jawab Ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Jyada Hasna Daleel : ۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne irshad farmaya – “Zyada naa Hasaa karo, Iss liye ke Ziyada Hasna Dil ko Murda bana deta hai.” 📕 Ibn Majah, Hadith no. 4193 WAJAHAT: Beharhaal is vaat se Aap aur Hum Tamam Muttafiq hai ke har Cheez ka ek Dayra hai. Jab tak wo Apne Dayre me ho tab tak Usme Humare liye khair hai aur Dayre…
Islamic Quiz 250 In me se kounse mahine ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha jaha hai? Options Are 👇 A. Muharram B. Rajab C. Shaban D. Ramzan GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Muharram Daleel : RasoolAllah (ﷺ) ne Muharram ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha hai. 📕 Sahih Muslim-1123, 📕 Sunan Abu Dawud-2429
Islamic Quiz 229 Allah Ta’ala ko Humaari Qurbaniyon ka kounsa hissa pahunchta hai? Options Are 👇 A. Khoon B. Gosht C. Taqwa D. Sahih Jawab ka Intezar GET ANSWER Download Reel ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Taqwa Allah Ta’ala ko Humhari Qurbaniyon se Sirf Taqwa (Parhezgaari) Pohochta hai. Daleel : ۞ Allah rabbul izzat Qurane Kareem me farmata hai: “Allah Ta’ala ko Tumhari Qurbaniyon ka Gosht nahi pahunchta, Na un ke khoon balki usey to tumhaare dil ki parhezgaari (Taqwa) pahunchti hai.” 📕 Surah Al-Hajj; 22:37 Download Reel Coming Soon ...
Islamic Quiz 182 Wo Kaunsi Surah Hain Jiske Bagair Namaz Mukammal Nahi Hoti? A. Surah Ikhlas B. Surah Yasin C. Surah Fateha D. Surah Falaq GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Surah Fateha Daleel : Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Jis Shaqs ne Surah Fateha na padhi uski Namaz nahi hui." 📕 Sahih Bukhari 756
Islamic Quiz 172 Wo Kaunsi Do Namazein Hain Jo Munafiqo Par Zyada Bhaari Hain? A. Fajr aur Zohar B. Fajr aur Asr C. Fajr aur Maghrib D. Fajr aur Isha GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Fajr aur Isha Daleel : ۞ Hadees: Ubayy ibn Ka’b (R.A) se rivayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Ye do Namazein ( Fajar aur Isha ) munafiqon par bahut bhari hai, agar tum jaan lete ki in do Namazon ka kitna Sawab hai to tum ghutno ke bal chal kar bhi aatey.” 📕 Sunan Abu Dawud, Vol 1, #552-Hasan
Islamic Quiz 143 In me se Imaan aur Kufr ke Darmiyaan Farq karne waali Cheez kya hai ? A. Roza Chorrna B. Hajj Nahi Karna C. Sadqa Nahi Dena D. Namaz Ka Chorna GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Namaz Ka Chorna Daleel : Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Iman aur Kufr ke Darmiyan farq karne waali cheez Namaz hai." 📕 Jami At-Tirmidhi: 2618
Islamic Quiz 206 Apne Walid ko Chod ke Kisi aur ko Walid Kehna kaisa hain? A. Bola Ja sakta hai B. Saghirah Gunah hai C. Sab se bada Bohtan hai D. Sahih Jawab Ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Sab se bada Bohtan hai Daleel : Wasila bin asqa bayan karte hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Sab se bada Bohtan aur Jhut ye hai ki aadmi apne baap ke siwa kisi aur ko apna Baap kahe." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 3509
Islamic Quiz 140 Qayamat ke Din Kaun Hain Jiski Zuban Aag ki Hogi? A. Sood Khor B. Rishwat Khor C. Dogla Insaan D. Walidain Ka Nafarman GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Dogla Insaan Daleel : Nabi e Kareem (ﷺ) ka farman hai: "Jo Shaqs Duniya mein Dogla hoga Roz-e-Qayamat Uski Zuban Aag ki Hogi." 📕 Mishkaat Ul Masabeeh 4846
Islamic Quiz 141 Aahadees ke mutabik "Jo Aurat Khushboo lagaye Wo koun hai?" A. Faasiq B. Munafiq C. Zaania D. Mushriq GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Zaniya Daleel : RasoolAllah (ﷺ) ne farmaye: ""Jo Aurat Khushbu lagaye aur phir logon ke saamne se guzre taaqi wo uski khusboo sunghe to woh aurat Zaniya hai." 📕 Sunan Nisai 5129-Hasan Aur bhi Dekhe: Aurat kis tarah ka Khushbu Laga sakti hai by Adv Faiz Sayed.
Islamic Quiz 200 Kya Kaabe ki Qasam khana Sahih hai? A. Haa! Qasam khane me koi Harz nahi B. Kaabe ki Qasam khana Shirk hai C. Kaabe ki Qasam khana Biddat hai D. Sahih Jawab ka intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( B ) ✅ Kaabe ki Qasam khana Shirk hai Daleel : ۞ Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke : Hazrat Abdullah Bin Omer (R.A) ne kisi ko Suna ke: "Wo Kaabe Ki Qasam kha raha tha toh Inhone Usse kaha Beshak Main ne Nabi-e-Kareem (ﷺ) ko farmate Hue Suna hain Jisne Ghairullah ki Qasam khai Usne…
Islamic Quiz 209 In mein se kin logon ki wajah se (Allah Subhanahu ki taraf se) Madad aur Rizq diya jata hai? A. Kamzor ki wajah se B. Musafiro ki wajah se C. Mazloom ki wajah se D. Sahih Jawab ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Kamzor ki wajah se Daleel : Mus'ab bin Sad (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: "Tum logon ko Kamzor Maazur logon ki Duaaon ki wajah se (Allah ki taraf se) madad aur Rizq diya jata hai." 📕 Sahih Bukhari, Jild 4, 2896
Islamic Quiz 170 Jo Kisi Musalman ke Aib (Burayi) ko Chupaye Uske ke liye Kya Khushkhabri hain? A. Sagheera Gunaah Muaf Ho jayenge B. Kabeera Gunaah Muaf Ho jayenge C. Allah Qayamat me Uske Aib Chupayega D. Sahih Jawab Ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Allah Qayamat me Uske Aib Chupayega Daleel : Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shaqs Kisi Muslaman Ke Aib Ko Chupaye Allah Taala Qayamat Mein Uske Aib Chupayega." 📕 Sahih Bukhari 2442
Islamic Quiz 262 Kitne saal ki umar mein baccho ko Namaz ka hukm dena chahiye? Options Are 👇 A. 10 saal B. 8 saal C. 7 saal D. 5 saal GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ 7 Saal Amr ibn Al As (R.A)se riwayat hai ki,RasoolAllah ﷺ ne farmaya: "Apney baccho ko Namaz ka hukm do jab wo 7 saal ke ho jaye aur jab 10 saal ke ho jaye to Namaz na parhney par unko maro aur unke bistar alag kar do." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 493-Sahih
Islamic Quiz 142 Wo Kounsi Surah hai Jiski Tilawat 1/3 Quraan Padhne ke Barabar hai? A. Surah Al-Fatiha (1) B. Surah Yasin (36) C. Surah Al-Mulk (67) D. Surah Al-Ikhlas (112) GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Surah Al-Ikhlas (112) Daleel : Hadees: Abu darda (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Kya thak jata hai tum mein se koi is baat se ki har raat Ek Teehaii Quran parh le ?"Sahaba ne arz kiya ki 'Teehaii Quran ( Ek raat mein ) kaisey padhh saktey hain ?'Aap (ﷺ) ne farmaya: "Qul Huwallahu Ahad…