Taweez ki Haqeeqat
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Taweez ka mas’ala thik waisa hai jaisa ke, kisi doctor ne kisi ko uske bimaari ki ilaz ke liye prescription par kuchh dawayi ka naam aur usko lene ka tareeka likh diya, aur woh uss tareeke ko chhor kar uss prescription ko hi gale me latka liya, aur ye samajh baitha ke aise hi Main sifa paa sakta hoo.
Aaiye ab dekhte hai iske talluk se Shariyat kya kehti hai
“(Aye Rasool!) Aap keh do ke mere liye Allah hi kafi hai, aur bharosa rakhne wale usi (Allah) par bharosa rakhte hai.” [Surah Az-Zumar 39:38]
“(Aye logon!) agar Allah tumhare upar koyi takleef dena chahe, tou usko koyi hata nahi sakta, aur agar wo tumpar khair karna chahe, tou koi bhi usko radd nahi kar sakta.“ [Surah Yunus 10:107]
✦ Hadees: Hazrate Abdullah-bin-Aakim (R.A) farmate hain ke Rasool’allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
“Man Alaqtan Tammimatan Faqad Ashrak” jisne “Taweez” latkai usne shirk kiya.
– Musnad Ahmad (4/156) no. 17458
– Mustadrak al-haakim (4/243) no. 7513
✦ Hadees: Hazrate Imran-bin-Hasen (R.A) se riwayat hai, ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne ek aadmi ke hanth me pital ka bana hua “Kadaa” dekha tou daryaft kiya: ye kya hai?
isne jawab diya ke ‘ye kamzori se bachne ke liye hai’ tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: ‘isey utaar kar phek do! isliye ke ye kamzori hi me ezafa karega aur is se pahne hue teri “wafat (death)” ho gai tou tu kabhi kamiyab nahi ho sakta.”
– Musnad-e-Ahmad
✦ Hadees: Hazarte Huzaifa (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai, ek shakhs ke hath par ek dhaga dekha jo wo Bukhaar ki wazah se pehna tha. tou usey kaat kar fenk diya aur Quraan ki yeh Aayat tilawat farmayi,
“Aksar log Allah ke upar emaan laney ke bawazood Mushrik hai” [Surah Yusuf 12:106]
– Ibne Abu Hatim, Kitabut Tawheed, Safa 38
✦ Hadees: Abdullah Ibne Mas’ud (RaziAllahu anhu) ne farmaya ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Taweez, jhar-foonk sab hi Shirk hai”.
Yeh sun kar Zainab (RaziAllahu anha) (Abdullah ki Biwi) ne kaha, ‘Aap ye kya keh rahe ho?’ Allah ki Qasam! mere Aankh ki beemari ke waqt, main ek yahudi ke paas jati thi aur wo mujhe Taweez deti thi aur uss se meri beemari door ho jati thi.
Tab Abdullah (RaziAllahu anhu) ne bataya ‘Wo tou Shaitani Amal tha. Dar’asal Shaitan apne hath se tumhare aankh ko daba ke rakhta tha. jab yahudi tumhe Taweez pahenne ko detey, tab Shaitan wo kaam chhor deta.’ Beshaq tum wohi bayan karo jo RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Allahumma Rabbin nas azabal ba’asa asfi anta shafi la shafi illa anta shafi la-yugadiru sakma”
Tarjuma: “Ya Allah sarey Aalam ka Rab, taqleef door karne wala, Shifa ata farma, sirf tu hi Shifa deney wala hai, tere bagair koyi Shifa dene wala nahi hai, aisi shifa ata kar takey beemari ek dum hi na rahe.
– (Abu Dawood, vol 3, Hadees 485)
✦ Naseehat:
Lihaza Imaanwalo ko chahiye ki unpar aanewali musibato ko Allah ki masliyat jaane aur Sabr wa Shukr ada karte rahe aur apne Rab se Sirate Mustakim par chalne ki Dua karte rahe. aur jo kuch bhi sunnat se sabit wajife unhi par amal kare.
Allah hume Haq kehne, Sun’ne aur samajh ke saath amal ki taufik ata farmaye.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!