Qurbani kin logon par Farz hai?
Jawab: Qurbani Wajeebi hukm nahi ikhtiyari mu’aamla hai. Lihaja jo Qurbani karne ki taqat rakhta ho woh Qurbani kare.
Lekin yaad rahe Qurbani Mashroo’ aur ikhtiyaari hone (yani wajib na hone) ke bawjood jo is ki taaqat rakhe aur Qurbani na kare us ke liye badi wa’eed hai. Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farmaan hai:
Jis shakhs ko (Qurbani ki) wus’at ho aur woh Qurbani na kare to woh humaare Eidgaah ke qareeb na aaye. [Ibn e Majah: 3123]
Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Hasan kaha hai.
Tambeeh: Sunan Tirmizi: 1507 ki riwayat mein zikr hai ke Aap ﷺ ne Madinah mein 10 saal qiyam kiya aur har saal Qurbani ki, is riwayat ko Shaikh Albani Rahimahullah ne za’eef kaha hai.
Referance : Qurbani ke Masail