Jisne Farz Namazo ke alawa Din Raat me 12 rakat ada ki tou Uske liye Jannat me ek Ghar bana diya Jayega

♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummul Momineen Umm Habiba (RaziAllahu Anha) se Rivayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya:

“Jisne Raat Din me 12 Rakat (Sunnat) Namaz ada ki uske liye Jannat me ek Ghar banaya jayega, Umme Habiba (RaziAllahu Anha) ne kaha ki jab se maine ye Hadees RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Suni, maine uske baad se un 12 rakato ko kabhi nahi chodha…”

– (Sahih Muslim, Vol 1, 1694)

✦ Ulema-e-Deen ke hisab se Wo 12 Rakat Sunnat is tarah hain

• 2 Rakat Fajr se pahle,
• 4 Rakat Zuhar ki farz namaz se pahle ,
• 2 Rakat Zuhar ke baad,
• 2 Rakat Maghrib ke baad,
• 2 Rakat Isha ke baad.


♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah B. Shaqiq (RaziAllahu anhu) se Rivayat hai ki Maine Aisha (RaziAllahu Anha) se RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke Nawafil (jo Ummat ke liye Sunnat hoti hain) Namaz ka hal pucha to Unhone farmaya –

RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) mere Ghar me Zuhar (ki Farz Namaz) se pahle 4 Rakat padhte they, phir nikalte aur Logo ke Saath (Zuhar ki) Farz Namaz ada karte uske baad Ghar aakar phir 2 Rakat padhte ,..
Aur logo ke saath jab Maghrib padhte to Ghar aakar 2 Rakat padhte ,
Aur Isha Logo ke saath padh kar jab Ghar aate to 2 Rakat padhte ,
Aur jab Fajr ho jati to 2 Rakaat (Sunnat) padhte they,..

– (Sahih Muslim, Vol 1, 1699)

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne se Jyada Amam ki Taufik Dey,. Ameen ,..

Leave a Reply