Momin ke Qatal ka Anjaam : Hadees Hadees: Abu Saeed Khudri aur Abu Huraira (r. a) se riwayat hai ke,Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farman hai: “Agar Aasman aur Zameen wale (saare ke saare) ek Momin ke Khoon me Sharik ho jaye toh Allah un sabko Jahannam me daal dega.” 📕 Sahih Tirmizi, Hadees 1398
Khana khane ke Adab | RasoolAllah (ﷺ) ne kabhi… Hadees: Hazrat Abu Hurairah (R.A) farmate hain: "Allah ke Rasool (ﷺ) ne kabhi bhi Kisi Khane mein Aib nahi Lagaya, Jab Aapko Pasand Aata tou Kha Lete nahi tou Chhor dete." 📕 Tirmizi, Hadees: 2031 Sahih
Hadees: Jhooti Qasam Gharo ko Veeran (barbad) karke… ۞ Hadees: RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) ne farmaya : ❝ Sila rehmi se ziyada jaldi sawab dilane wala jis mein Allah ki itaat ki jaye koi amal nahi aur Sarkashi (Zulm) aur qata rahmi se zyada jaldi saza dilane wala koi amal nahi, aur Jhooti Qasam gharo ko veeran (barbad) karke chorhti hai. ❞ 📕 Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees-Jild 1,155 📕 Al Baihiqi, 35 /10 -Sahih 📕 At Tabrani, 1996-Sahih See more: Qasam Sirf Allah Ki Khaye Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar…
Khane me Barqat ke Adab ke liye Chaaro Taraf Kono Me… 📖 Mafhoom-e-Hadees (Roman Urdu) Abdullah bin Busr (R.A.) se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ke paas ek (khane ka) bartan laya gaya. Aap ﷺ ne farmaya:“Chaaro taraf kono mein se khao aur upar ka hissa chhor do, jis se barakat hoti hai.”(Sunan Ibn Majah, Hadith 3275) 📖 मफहूम-ऐ-हदीस (हिंदी) अब्दुल्लाह बिन बुस्र (र.अ.) से रिवायत है कि रसूलअल्लाह ﷺ के पास एक (खाने का) बर्तन लाया गया। आप ﷺ ने फ़रमाया:“चारों तरफ कोनों से खाओ और ऊपर का हिस्सा छोड़…
Al-Quran: Allah ne Tijarat ko Halal kiya aur Sood ko Haram Allah ne Tijarat ko Halal kiya aur Sood ko Haram Allah Taala Quran me farmata hai: "Allah Taala ne Tijarat (Business) ko Halal kiya hai aur Sood ko Haram karar diya hai." 📕 Surah Baqraah 2:275
Tanhaai me Gunah Karne Walon ka Qayamat ke Din Anjaam 👉 Tanhaai Me Gunah Karne Walon Ka Qayamat ke Din Anjaam ye hoga ki Allah unke Amal ko fiza me udte hue zarre ki tarah bana dega. Hadeese Nabwi ﷺ Sawban (R.A.) se riwayat hai ke, Nabi ﷺ ne farmaya : "Main apni ummat me se aise logon ko janta hun jo Qayamat ke din tahamah ke pahadon ke barabar nekiyan lekar aayenge, Allah Ta'ala unko Fiza me udte hue zarre ki tarah bana dega." Sawban (R.A.) ne arz kiya…
Ek Saath Khana Khane Mein Barakat 📖 Roman Urdu Wahshi bin Harb (R.A.) se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Ek saath khana khao aur us par Allah ka naam le liya karo, is mein tumhare liye barqat hai.”(Abu Dawood, Hadith 3764) 📖 हदीस हिंदी वह्शी बिन हरब (र.अ.) से रिवायत है कि रसूलअल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: “एक साथ खाना खाओ और उस पर अल्लाह का नाम ले लिया करो, इसमें तुम्हारे लिए बरकत है।”(अबू दाऊद, हदीस 3764) 📖 Hadith English Wahshi bin Harb (R.A.)…
Shohar ki Nashukri Karne wali Biwi ka Anjaam ۞ HADEES ۞ Shohar ki Nashukri Karne wali Biwi ka Anjaam Abdullah bin umro (R.A) se riwayat hai ke Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Allah Ta'ala us Aurat ki taraf (Rehmat ki nazar se) nahi dekhega, jo apne Shohar ki Shukr-guzari nahi karti, halan ke wo uske bagair reh bhi nahi sakti." 📕 Silsila Ahadees-e-Sahiha 2018
Hadees: Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Hadees of the Day Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Ash'as bin Qais (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega, wo Allah ke samne kodhi (leprosy) ho kar pesh hoga." 📕 Abu Dawood 3244
Hadees: Apne Khane ko Pakeeza bana lo tou tumhari… Apne Khane ko Pakeeza bana lo Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Apne Khane ko Pakeeza bana lo tou tumhari Dua Qabool ho jayegi." 📕 Targhib: Hadees 2484
Aib Waali Cheeze Tijarat me Bechne ka Tareeqa Hadees of the Day Aib Waali Cheeze Tijarat me Bechne ka Tareeqa RasoolAllah (ﷺ) ne irshad farmaya - "Ek Musalman dusre Musalman ka Bhai hai aur jab musalman apne bhai ke haath koi cheez bechey jis me Aib (Burayi) ho tou jab tak bayaan na kare us sey bechna halaal nahi." 📕 Sunan ibne Majah, Hadees 2246 Sabaq: Tijarat me iss baat ka hamesha khayal rakhe ki agar kisi ko koi cheez bech rahe ho tou bechne se pehle uss…
Khana Khane ka Sunnat Tarika ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Deen-e-Islam ek mukammal deen hai, yah dunia aur aakhirat ke tamam shobo ke humari rehnumayi farmata hai, usi tarah humare Khane Pine ke muamle me bhi hume adab aur salika sikhata hai. is post me hum Khana Khane ki Dua, Khane ke Adab aur Ahtraam wa Sunnat ka tazkira kar rahe hai. Aap tamam hazrat se iltija hai ke isey padhe aur jitna ho sake share kar Sawab hasil kare. Khana khane ke Adab wa Sunnat 1.…
Sood Khane Waalo ka Qayamat me Anjaam Sood Khane Waalo ka Qayamat me Anjaam "Jo Log Sood Khatey Hain Wo Qayamat Ke Din Uss Shakhs Ki Tarah Uthengey Jinhey Shaitan ne Lipat kar Deewana Bana liya ho Yeh Haalat Unki Iss Wajah se hogi ki Unhoney Kaha tha ki Kharid wa Farokht bhi Sood ki tarah hai, Jabki Allah Ta'ala ne Khareed aur Farokht ko Halaal Qarar diya hai aur Sood ko Haraam phir Jisko Uskey Rab ki Naseehat Pahunchi aur Wo (Sood Lene se) Baaz aa…
Sood Khane aur Khilane wale par Lanat (Hadees) Sood Khane aur Khilane wale par Lanat Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne Sood Khane wale, khilane wale, Likhne wale aur uske dono Gawaho par Lanat ki hai. Aur farmaya: (Gunah me) yeh Sab barabar hai. 📕 Sahih Muslim, Hadees; 1598, (4093)