Dua ke Qabuliyat ke liye Rizq-e-Halaal Khaya Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai - "Agar Tum Chahte Ho Ke Tumhari Her Dua Qabool Ho, Tou Tum Rizq-e-Halaal Khaya Karo.." - (Ziyaul-Quran Jild#1, Page#120)
Ramzan ki Fazilat: Part 4 4. Ramzan ka Umrah Hajj ke barabar sawab deta hai: ۞ Hadees: Hazrate Ibne Abbas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne ek Ansari Sahabiya se farmaya “Ramzan Ke Mahine Me Umrah Karna Hajj Ke Barabar Hai.” [ Sunan Nasaii, Vol2, 21 – Sahih ] Subhan’Allah! Gour karne wali baat hai ke Ramzan ka Umraah Hajj ke barabar sawab deta hai. lekin yaad rahe ye Hajj ko saaket nahi karta. Hajj ko Exceptional nahi kar deta ke Hajj ke badle ab hum Umrah hi karenge. aisa bilkul bhi nahi hai, lekin uske barabar ajar aur sawab deta hai.…
Dua Ibadat Hai ~ Allah ka farman hai "Mujhe pukaro! Main… Dua Ibadat Hai Hadees of the Day Numan Ibn Bashir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Dua hi tou Ibadat hai," phir Aap (ﷺ) ne "Surah (40) Momin" ki Aayat 60 tilawat farmayi, "Tumhare Parwardigar ne farmaya ke mujhe pukaro! Main tumhari Dua qabool karunga aur jo log meri ibadat se takabbur karte hain woh Zaleel-O-Khuwar ho kar Jahannum me dakhil honge." 📕 Jamia at Tirmizi, 3372
Bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai Hadees of the Day Bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai Abu Darda (R.A) se Riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ”Jab koi apne bhai ke liye (ghaybane) me dua karta hai to farishte ameeen kehte hain aur kehte hain : tere liye bhi isi jaissa ho.“ 📕 Sunan Abi Dawud 1534-Sahih Abu Darda (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Kisi Musalman ki apne bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai, uske paas ek farishta hai jiski ye jimmedari hoti hai ke jab woh apne kisi bhai ke liye (Ghaibana) koi acchi Dua kare tou wo…
Jahannam ki Aag se Aazadi ki Dua - Allahumma Ajirni Minan… Jahannam ki Aag se Aazadi ki Dua Hadees: Harith bin Muslim Al-Tamimi (R.A) apne walid se riwayat karte hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Jab tum Subah ki namaz se farig ho jao to 7 baar ye dua padho 〘 اللَّهُمَّ أَجِرْنِي مِنَ النَّارِ 〙 Allahumma Ajirni Minan Naar ❝ Aye Allah! mujhe Jahannam ki aag se bacha.❞ Agar tumne ye Dua padh li aur us din tumhari wafat ho gayee to tumhare liye Jahannam ki aag se aazadi likh di jayegi aur jab magrib ki namaz se farig ho jao tab bhi 7 baar ye hi dua padh liya…
Kya ghar me Aurat aur mard Aik Sath Jamat bana kar Namaz… Kya Ghar me Aurat aur mard Aik Sath Jamat bana kar Namaz padh Sakte hain? 👫👬👨👩👦👦 Jawab: Padh Sakte hain ✔️ 👉 Usme Imam Mard hoga, aur Mard ki Saff (Line) Aage lagegi aur Aurto ki saff (Line) uske baad se lagegi (Chahe 1 hi Aurat kyu na ho) 👉 Hadees: Hazrat Anas Bin Malik se riwayat hai ke Unki Nani Malika ne Rasool'Allah ﷺ ko Khana Taiyar Karke Khane ke liye Bulaya. Aap ﷺ ne Khane ke baad Farmaya ke Aao Tumhen Namaz Padha Dun. Anas (Razi Allahu Anhu) ne Kaha ke Maine Apne Ghar se Ek Boriya Uthaya…
Tijarat me Jhoothi Qasam Khane ka Anjaam Hadees of the day Tijarat me Jhoothi Qasam Khane ka Anjaam Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jhoothi Qasam ke Jarye apne samaan ki maang badhaane wale se qayamat ke din Allah Taala na baat karega aur na uski taraf Rehmat ki Nazar se dekhega." 📕 Sahih Muslim, Hadees 106
Khane Ke Faraiz : Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao… ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao, Ki Barqat Jamaat Ke Saath Hai, Aur Khadey Hokar Na Khaao Aur Na Piyo.." - (Ibne Maajah, Jild-4, Safa-21, Hadees-3287) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Koi Khaana Khaye Tou Wo Uss Waqt Tak Haath Na Dhoye Jab Tak Wo Ungliyon Ko Chaat Na Le.." - (Bukhari Sharif) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Khana Kha Ke Shukar Ada Karne Wale Ka Darja, Sabr Karne Wale Rozedar Ke Barabar Hota Hai.." - (Tirmizi, Hadees-2021)
Hadees: Jab bohot jyada Zina hone lagega to Gareebi aur… Hadith: 03-July: Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ❝ Jab bohot jyada Zinaa hone lagega to Gareebi aur Mohtaazgi aam ho jayegi. 📕 Shuab-Ul-Iman 7369
Sood Khane aur Khilane wale par Lanat (Hadees) Hadees of the Day Sood Khane aur Khilane wale par Lanat RasoolAllah (ﷺ) ne Sood Khane wale, khilane wale, Likhne wale aur uske dono Gawaho par Lanat ki hai. Aur farmaya: (Gunah me) yeh Sab barabar hai. 📕 Sahih Muslim; 1598, (4093)
Maal hote huye bhi Apne rishtedaron ki madad na karne ka… ۞ Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Koi bhi rishtedar apne kisi rishtedar ke paas aata hai aur Allah Subhanahu ne usey jo ataa Kiya hai usmein se fazal (jo cheez jarurat se zyada ho) ka sawal karta hai aur wo bukhal (burey Akhlakh / Kanjusi) se pesh aata hai tou Qayamat ke din Uske liye dozakh se ek sanp nikala jaega jisko shuja kaha jata hai wo phunkar raha hoga us se uski gardan me tauk bana kar dal diya jaega." 📕 Al-Silsila-As-Sahiha # 168 Note: Apne Rishtedaro ki Madat karo woh bechare sharam aur izzat ke darr se…
Jab tumhari Nekiyan Tumhe Khush kare Jab tumhari Nekiyan Tumhe Khush kare Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab tumhari Nekiyan Tumhe Khush kare aur Tumhare Gunah Tumhe Ranjeedah kare tou tum momin ho." 📕 Silsila Saheeha; Hadees: 550
Hadees: Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se… Hadith: 10-June: Abu Darda (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaoge, isiliye acche naam rakha karo. 📕 Abu Dawood 4948
Apne Walidain ke sath accha sulook karo ... Aaj ki Hadees | Hadees of the Day Apne Walidain ke sath accha sulook karotumhari Aulad bhi accha sooluk karegi - ROMAN URDU - ۞ Hadees: Abu Huraitah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ‟Apne Walidain ke sath accha sulook karna, tumhari aulaad bhi tumhare sath accha sulook karengi. 📕 Mustadrak 7258 - हिंदी - अपने वालिदैन के साथ अच्छा सुलूक करो, तुम्हारी औलाद भी तुम्हारे साथ अच्छा सुलूक करेगी । - GUJARATI - અપને વાલિદૈન કે સાથ અચ્છા સુલૂક કરો, તુમ્હારી ઔલાદ ભી તુમ્હારે સાથ અચ્છા સુક કરેગી. - ENGLISH - Behave kindly with your parents,…
Apni Aulaad Ka Naam Behtar Rakha Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Beshaq! Tum Roze Qayamat Apne Naamo Aur Apne Baapo Ke Naamo Se Pukare Jaoge Tou Apne(Baccho Ke) Naam Ache Rakha Karo.." - (Imaam Ahmed, Abu Dawood, Jild 3, Bab 485, Hadees 1513, Safa 550) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Aadat-e-Kareema Thi Ki, Aap Burey Naam Badal Diya Karte They. - (Tirmizi, Jild, Safa 301, Abu Dawood, Jild 3, Hadees 1517, Safa 551) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Ibne Umar (Razi'Allaho Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Allah Ta'ala Ko Tamaam Naamo Me Se…