Tanhaai me Gunah Karne Walon ka Qayamat ke Din Anjaam

👉 Tanhaai Me Gunah Karne Walon Ka Qayamat ke Din Anjaam ye hoga ki Allah unke Amal ko fiza me udte hue zarre ki tarah bana dega.

Hadees of the Day

Sawban (R.A.) se riwayat hai ke, Nabiﷺ ne farmaya :

“Main apni ummat me se aise logon ko janta hun jo Qayamat ke din tahamah ke pahadon ke barabar nekiyan lekar aayenge, Allah Ta’ala unko Fiza me udte hue zarre ki tarah bana dega.”

Sawban (R.A.) ne arz kiya :
“Allah ke Rasool!! Un logon ka haal hamse bayan farmayen aur khol kar bayan farmayen takey la-ilmi aur jahalat ki wajah se hum un me se na ho jayen.”

Aap ﷺ ne farmaya :
“Jaan lo ke wo tumhare bhaiyon me se hi hain, aur tumhari qaum me se hain, wo bhi raaton ko usi tarah ibadat karenge, jaise tum ibadat karte ho lekin wo aise log hain ke jab tanhaai me honge to haram kamo ka irtekaab karenge.

📕 Sunan Ibne Majah : 4245-Hasan


In sha Allah ul Azeez !

Allah Taala hume kehne sunne se jyada amal ki taufiq ata farmaye,

Humey Tamam kism ke khule aur chupe Gunah se bachaye,

jabtak hume zinda rakhe islam aur iman par zinda rakhe,

Khatma humara Iman par ho,

Wa Aakhiru Dawana Alahmdulillahi Rabbul Aalamin.

Ameen ! Allahumma Ameen.

1 Comment

Leave a Reply