Hadees: Abu Darda (R.A) se riwayat hai ki, Allah ke Rasool (ﷺ) ne mujhe waseeyat farmayee ki:
“Allah ke saath kisi ko Sharik na karna chahe Tumhare tukde tukde kar diye jaye ya tumhe Aag mein jala diya jayeaur
Farz Namaz ko jaan bujh kar kabhi mat chorhna kyunki jo jaanbujh kar Farz Namaz chorh deto Allah ke Zimme se bari ho gaya (yaani ab wo Allah ki panah mein nahi)aur Sharaab na peena kyunki Sharaab har burayee ki kunji (key) hai.”
Jamat se namaz padhne ki Ahmiyat Hadees of the Day Jamat se namaz padhne ki Ahmiyat TRANSLITERATION Abu Darda (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Teen Aadmee kisi Basti ya Jangal me ho aur phir bhi wo Jamaat se Namaz na parhe tou Unn par Shaitan musallat ho jata hai, Isliye Tum Jamaat ko laazim kar lo. Kyunki Bhediya Ussi Bakri ko khata hai jo Galle se alag ho Jaye." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 542
Awwabin (Chasht/Duha) ki 2 Rakaat Namaz Badan ke… ✦ Chasht/Awwabin ke Namaz ki Fazilat (Badan ke sare jodo ka Sadqa) ✦ Abu Dharr (R.A.) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmya ki: "Subah hote hi tum mein se har ek Shakhs ke har ek jod (joints) par Sadqa wajib ho jata hai, phir har ek tasbeeh (yani SubhanAllah kehna) sadqa hai, Har ek tamheed (Yani Alhamdulillah kahna) Sadqa hai, aur har ek tehleel(La ilaha ilAllah kehna) bhi Sadqa hai aur har ek takbir (Allahu Akbar kahna) bhi sadqa…
Namaz ke liye Paaki haasil karna Farz hai Roman Urdu : Namaz ke liye Paaki haasil karna Farz hai ۞ Quran-e-Kareem me Allah Ta'ala farmata hai: "Aye eman walo! Jab tum Namaz ke liye utho tou apne munh ko aur apne haathon ko kohniyon samet dho lo aur apne siron ka masah karo aur apne paaon ko takhnon samet dho lo aur agar tum janabat ki halat me ho to Ghusul ker lo." 📕 Surah-e-Maidah 5:6 हिंदी : नमाज़ के लिए पाकि हासिल करना फ़र्ज़ है ۞ कुरआन में…
Uski 40 Din Namaz Qabool nahi hoti Hadees of the Day Uski 40 Din Namaz Qabool nahi hoti Hafsa (R.A) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ki: "Agar koi Musalman kisi Majoosi (Qaahin) ke paas jakar kuch daryaft karta hai tou uski 40 din ki namaz qubool nahi hoti." 📕 Muslim Sharif; Vol 2 Page-233 Ek aur riwayat me aata hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jisne Sharab pi li uski 40 din tak Namaz kubool nahi hogi, phir agar woh Tauba karle…
Gibat Karne ka Gunah aur Azab Gibat Karne ka Gunah aur Azab Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaaya: “Jab Mujhe Meraj Karaayi gayi tou Mera Guzar ek aisi Qaum par hua Jin ke Naakhoon Taambey (Nails of Copper) ke they Jo apne Chehron aur Seenon (faces & chests) ko Chhil (Scratch) rahey they." Maine Poocha : Aye Jibreel ! Yeh kaun hain ? Unho ne kaha : "Yeh Woh hai Jo Doosrey Logon ka Gosht khaatey (Yaani Gheebat/Back Biting)…
Maaf karne ki Hadees: Samjhote me Pahal Karne Wale… Maaf karne ki Hadees:Samjhote me Pahal Karne Wale ke Gunah Muaf Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya, "Do Jhagda Karne Walo me Pahle Sulah (Samjhota) Karne Wale ke Gunah Muaf Kar Diye Jate hai" 📕 Sahih Al Targeeb, Hadees 2759
Waqt par Namaz Padhna Waqt par Namaz Padhna Hadees: Ubadah Ibn As-Samit (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya - "Mere baad tum par aisey log hukmaran hongey jinki mashguliyat unko waqt par namaz ki adayeegi se rok degi, yahan tak ki waqt nikal jayega, isliye tum apney waqt par namaz parhna." Ek shakhs ne pucha Ki: "ya Rasool'Allah (ﷺ)! kya main unkey (Jamaat me sharik ho kar dobara) namaz parh lu ?" Aap (ﷺ) ne farmaya "haan agar tu chahey." 📕…
♪ Roze Chorne se Bacha kare Roze Chorne se Bacha kare Roza Chorna Kitna bada gunah, iska Azab kitna sakth hai, Tafseeli jaankari ke liye is Audio Bayan ka mutala kare. Aur bhi Dekhe: ♫ Roza na rakhne ki kisko Chut hai? ♫ Roza koun log nahi rakh sakte aur Bewajah Roza Chorne ka Azab ♫ “Roza Lag raha” Bolna kaisa hai? ♫ Kin Cheezon ke karne se Roza toot jata hai? ♫ Napaki ki Halat me kya Saher kar sakte hai? ♫ Saher aur Iftar…
Namaz ki Ahmiyat aur Fazilat Urdu Bayan https://www.youtube.com/watch?v=hSQyJ8Zrc0o Namaz ki Ahmiyat aur Fazilat Urdu Bayan Namaz kya hai ?, Namaz ke Fayde kya hai ?, What is Namaz ?, how to perform Salah for beginners, learn namaz, how to pray in islam for beginners, what is salah, 5 prayers of islam in english, how to pray in islam step by step, importance of namaz in english, spiritual benefits of namaz, benefits of each namaz, benefits of 5 times prayer, benefits of salah hadith, benefits of namaz fajr,…
Pabandi se Namaz ada karne ki Fazilat aur Ahmiyat RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jo Shakhs Namaz Pabandi se ada karega tou Yeh Uss ke liye Qayamat ke din Noor hogi, (Iskey Imaan aur Allah se iski wafadari ki) daleel hogi, aur (Jahannum se) Nijaat ka sabab ban jayegi." "Aur Jo Shakhs Namaz ki Pabandi nahi karega tou Namaz Uss ke liye Roshni, Daleel aur Nijaat ka sabab nahi banegi aur woh Qayamat ke din Qaroon, Hamaan aur Obai bin Khalaf ke saath hoga." 📕 Ahmed: Hadees 6576
Gunah wo hai jo dil me khatke aur Sabse chupane ka dil kare Gunah wo hai jo dil me khatke aur Sabse chupane ka dil kare Nawwaas (R.A) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Gunaah wo hai jo Tere dil me khatke aur tujhe accha na lage ke logon ko us ki khabar ho" 📕 Muslim, Hadees 6680 Gunaah karna Apne Nafs pe Zulm karna hai Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai: "Allah tou Hargiz Bando par kuch bhi Zulm nahi karta Magar Log Khud Apne Upar Zulm kiya karte…
Nabi ﷺ ke Aakhri Alfaz Namaz aur Gulamo ka Khayal rakhna Namaz aur Gulamo ka Khayal rakhna ۞ Hadees: Ali Ibne Abu Talib (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ke Zubane Mubarak ke Aakhri Alfaz they: "Namaz, Namaz; aur un logo ke baare me Allah se daro jo tumhare dahine hath me hai. (Namaz aur Gulaamo ka khayal karo)" 📕 Sunan Abu Dawud 5156📕 Book 43, Hadith 384-Sahih
Shabe Barat ki Namaz ki Hakikat by Adv. Faiz Syed https://youtu.be/UDYQ2yCIPCU Shabe Barat me padhi jane wali Namaz ki Hakikat 15th Shaban ki shab ko Shabe Barat me aksar log makhsus namazo ka ahtmam karte hai, aayiye iske talluk se tafsili jankari lete hai is mukhtasar video me. baraye meharbani ise jyada se jyada share karne me humara tawoon farmaye. jazakAllahu khairan kaseera. People also Search as: Shab e Barat Date, Shab e Barat Dua, Shab e Barat History, Shab e Barat image, Shab e Barat in Quran, Shab e…
Fajar ki Namaz ki Fazilat by Adv. Faiz Syed https://www.youtube.com/watch?v=cycAb5b03aE Fajar ki Namaz ki Fazilat Fajar Ki Namaz Ki Kitni Ahmiyat hai aur iski kya Fazilat janne ke liye is mukhtasar se video ko jarur mutala kare, aur isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare. Namaz e fajar ki fazilat, fajar ki do rakat sunnat ki fazilat, fajar ki namaz ki fazilat, fajr namaz ki fazilat in urdu,fajar ki rakat, fajar ki namaz rakat, namaz ki fazilat, fajar ki sunnat ki dua