Zikr-e-Ilaahi karne walo ke Liye Khush khabri Zikr-e-Ilaahi karne walo ke Liye Khush khabri Hazrte Abu Huraira (R.A) se Mairvi hai ki,Rasool'Allah (ﷺ) ka farman hai - “Allah Ta'ala ke kuch Sayyah (Yaani Sair Karne Wale) Farishte hai, Jab Woh Mehafil-e-Zikr (Allah ka Zikr/Ibadat karne walo) ke Paas se Gujarte hai touEk Dusre se kahte hai: (Yahan) Baitho. Jab Zakirinn (Zikr Karnewale) Dua Mangte hai tou Farishte Unki Dua par 'Aameen' Kehte hai. Jab Woh Nabi (ﷺ) par Durood bhejte hai tou Woh Farishte bhi Unke Sath…
Allah ka Zikr karne wala Zinda aur na karne wala Murda hai Zinda aur Murda ki Misaal Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farman hai: "Us Shakhs ki Misaal Jo Apne Rabb ko Yaad Karta hai aur Uski Misaal Jo Apne Rabb ko Yaad nahi karta ZINDA aur MURDA Jaisi hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 6407
Shohrat ke Waste Ilm Haasil karne wala Dozakhi hai ... Shohrat ke Waste Ilm Haasil karne wala Dozakhi hai Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya - "Jo Insan Deen-e-Islam ka Ilm Sirf Isliye Sikhna chahta ho ke Uss Ilm ke Jarye wo Kum Ilm Walo(Jaahilo) par Fakr (Ghamand) kare, Ulema (Scholar) se Jhagda kare, Logon me Aalim ke taur par Mash'hoor (Famous) ho jaaye aur log Uski Izzat kare tou aesa Insan Dozakh me jaaega." - Tirmizi #2654, Ibne Majah #253 ♥ Allahu Akbar !!! - Allah Rabbul Izzat Humey Ikhlas…
Jis Shakhs ke paas koi ilm mehfuz go aur wo usey… 📖 Hadith (Roman Urdu) Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: "Jis shakhs ke paas koi ilm ho aur wo use chhupaye, to Qayamat ke din usay dozakh ki aag ki lagaam pehnayi jayegi." 📕 Sunan Ibn Majah: Arabic 272 | English 261 ✦ English Hadith It was narrated from Abu Hurairah (R.A) that the Prophet ﷺ said: "Whoever has knowledge and conceals it, will be brought on the Day of Resurrection bridled with reins…
Qazi (Judge) Kabhi Gusse Ki Haalat Me Koi Faisla Na… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdur Rahman-bin-Abi Bakrah (Rahmatullah Alaihe) Se Riwayat Hai: “Mere Waalid Ne Ubaidullah bin Abi Bakrah (Radi Allahu Anhu) Jo Ki Qazi (Judge) They Unko Likha: "Gusse Ki Haalat Me Do Insano Ke beech Me Faisla Na Karna, KyunKi Maine Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Farmaate Huye Suna: 'Qazi Ko Gusse Ki Haalat Me Do Insaanon Ke Bich Me Faisla Nahi Karna Chahiye.'" - (Jami At-Tirmidhi , Hadith No.1334) ' #Takhreej: Gusse Ki Haalat Me Sahih Faisla Kar Paana…
Hadees: Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke… Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! Jabir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! kahin qubooliyat ka waqt ho aur Allah us bad-dua ko qubool kar le (phir tum pachhtaate raho)." 📕 Muslim, Hadees 7705
Hadees: Mehngai ke intezar me cheezein jama karne ka gunaah Hadees: Mehngai ke intezar me cheezein jama karne ka gunaah Hadees: Ma'mar (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ‟Jo Shakhs logon ki zaroorat ke waqt mehngaai ke intezaar me ziyada nafa kamane ki garz se cheeze jama kar ke rakhe to woh gunehgaar hai." 📕 Muslim, Hadees 4206
Gunaah karna apne Nafs pe Zulm karna hai Gunaah karna Apne Nafs pe Zulm karna hai "Allah Tou Hargiz Bando Par Kuch Bhi Zulm Nahi Karta Magar Log Khud Apne Upar Zulm Kiya Karte Hai". 📕 Al-Quran; Surah Yunus 10:44
Ramadan Day 26 | Rozdaro ko Lagu aur Behuda Baaton… Ramadan Hadees: Day 26 Rozdaro ko Lagu aur Behuda Baaton se Paak karne ke liye Sadqa e Fitr ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai ke, "RasoolAllah (ﷺ) ne Rozdaro ko Lagu aur Behuda Baaton se Paak karne ke liyeaur Miskeen ko khilane ke liye Sadqa-e-Fitr mukarrar farmaya." 📕 Sunan Ibn Majah 1827-Hasan
Hadees: Kisi Nabeena ya Kamzor Nigaah wale ko rasta… Hadith: 22-June: Abu Zar (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Kisi (Nabeena ya) Kamzor Nigaah wale ko rasta dikhana Sadqa (Sawaab ka kaam) hai. 📕 Jami` at-Tirmidhi 1956
Maaf karne ki Hadees: Samjhote me Pahal Karne Wale… Maaf karne ki Hadees:Samjhote me Pahal Karne Wale ke Gunah Muaf Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya, "Do Jhagda Karne Walo me Pahle Sulah (Samjhota) Karne Wale ke Gunah Muaf Kar Diye Jate hai" 📕 Sahih Al Targeeb, Hadees 2759
Gareebi ki wajah se Hajj na karne walo ke liye Hajj ka Sawab ✦ Mafhum-e-Hadees: Hazrat Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) ne farmaya Gareeb log (Sahaba) Nabi (ﷺ) ki khidmat me hazir huye aur kaha ki: Ameer aur Raees log buland darjat aur hamesha rahne waali Jannat haasil kar chuke halanki jis tarah hum Namaz parhte hain wo bhi parhte hain aur jaise hum roze rakhte hain wo bhi rakhte hain lekin Maal wa Daulat ki wajah se unhe hum par fowqiyat hasil hai ki uski wajah se wo HAJJ karte hain Umrah karte…
Al-Quran: Bure kaam ki Sifarish karne wala bhi Gunahgaar hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Bure kaam ki Sifarish karne wala bhi Gunahgaar hai Allah Taala Quran me farmata hai: "Jo Shakhs koi buri Sifarish karta hai, usey us burayi se hissa (Gunaah) milta hai aur Allah har cheez par nazar rakhne wala hai." 📕 Surah An-Nisa 4:85
Jab Tum me se koi Shakhs kisi Aisey Aadmi ko dekhey… ♥ Mafhum-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya - "Jab Tum me se koi Shakhs kisi Aisey Aadmi ko dekhey Jo Maal aur Shakal aur Surat me Uss se Badhkar hai tou uss Waqt usey aisey Aadmi ka Khayal karna chahiye jo Uss se kum darje ka hai." - Sahih Bukhari, Vol-7, Hadith 6490