♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdur Rahman-bin-Abi Bakrah (Rahmatullah Alaihe) Se Riwayat Hai:
“Mere Waalid Ne Ubaidullah bin Abi Bakrah (Radi Allahu Anhu) Jo Ki Qazi (Judge) They Unko Likha:
“Gusse Ki Haalat Me Do Insano Ke beech Me Faisla Na Karna, KyunKi Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Farmaate Huye Suna: ‘Qazi Ko Gusse Ki Haalat Me Do Insaanon Ke Bich Me Faisla Nahi Karna Chahiye.'”
– (Jami At-Tirmidhi , Hadith No.1334)
‘
#Takhreej: Gusse Ki Haalat Me Sahih Faisla Kar Paana Mushkil Hota Hai , Is Liye Aisi Haalat Me Faisla Nahi Karna Chahiye ,..
Related Posts:
Ghusse ki haalat me koi faisla na kare Hadees of the Day Ghusse ki haalat me koi faisla na kare Abd al-Rahman bin Abi Bakrah (R.A) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Faisla karne wala 2 (Aadmiyon ya 2 fareeqon) ke darmiyan gusse ki halat me faisla na kare." 📕 Abu Dawood 3589
Allah Ka Bando Par Kya Haq Hai ? » Jawaab: Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke - ★ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ka Haq Bando Par Ye Hai Ke Sirf Usi Ki Ibadat Karey, Aur Kisiko Uska Shareek Na Thehraye.. Aur Bando Ka Haq Allah Par Ye Hai Ke Jo Koyi Shirk Na Karey Usey Azaab Na Dey. - (Bukhari:2856, Muslim:30) ♥ Al-Quraan: "Jo Log Emaan Laaye Aur Apne Emaan Ko Zulm Se Mahfooj Kiya Unke Liye Aman Hai Aur Wahi Hidayat Paney Wale Log Hain..” – (Surah 6 Al-An’am, Aayat-82)
Khwab Ka Bayan Hadees Ki Roshni Me .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas (RaziAllahu Anhu) Ne Kaha Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Achha Khwab Nabuwat Ke 46 Hisson Me Se Ek Hissa Hai". - [Sahih Bukhari Volume 009, Book 087, Hadith no. 118] ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Jab Tum Me Se Koi Aisa Khwab Dekhe Jise Wo Pasand Karta Ho Tou Wo Allah Subhanahu Ta'ala Ki Taraf Se Hota Hai - Iss Par Allah Ki Hamd (Shukr Ada) Karey Aur Dusron Ko Bata De - Lekin Agar Koi Aisa Khawab Dekhta Hai Jo Usey Napasand Ho Tou Ye Shaitan Ki Taraf Se…
Beshak Sadaqah Rab ke Gusse ko Thanda karta hai Beshak Sadaqah Rab ke Gusse ko Thanda karta hai Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Beshak Sadaqah Rab ke Gusse ko Thanda kar deta hai." [ Tirmidhi 664 ]
Hadees: Jo Qoum Nahaq faisla karti hai usme Qatl wa… Hadith: 13-April: Abdullah Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jo Qoum Nahaq faisla karti hai usme Qatl wa Khoonrezi aam ho jati hai. 📕 Mu'atta Malik 1670
Momin Ki Hurmat Kaabe Se Bhi Badhkar .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Muslim blood more sacred than the Ka`ba Musharrafa" *Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Kaaba-e-Mouzzama Se Muqhaatib Ho Ke Farmaya: "Momin Ki Hurmat Tujh Se Jyada Hain. " - (Tabarani: Chapter-'Ikramul Muslimeen') *Isi Aahadeese Mubarak Ke Tehat Likhney Walo Ne Bada Behtareen Qaul Likha Ke - "Chahe Kaaba Dha Do Lekin Kisi Momin Ka Dil Mat Todo ,.." .. Kyunki Kaaba Tou Ek Kibla Hai,.. Agar Ek Baar Dha Diya Jaaye Tou Dubara Ban Bhi Jayega!! *Yakinan Kaabe Ki Hurmat Apni Jagah Hai Lekin Rab Ke Nazdik Uss'sey Jadaa Hurmat Zinda Momin Ki Hai ,.. Kyunki Shariyat…
Har Haal Me Insaaf Par Qayam Raho Allah Ta'ala Ne Apne Bando Ko Insaaf Ke Muamle Me Sakht Hidayat Ki,.. Aur Gour Se Dekha Jaye Tou Quraan Ka Paigaam Hi Insaaf Par Madani hai ,.. Tou Aayiye Iske Talluk Se Bus Ek hi Aayat Par Hum Gour Karte Hai Ki Insaaf ki Kitni Ahmyat Aur Wusat Hai Islam Me ,.. Allah Rabbul Izzat Isi Taaluk Se Ek Aayat me Farmata Hai - ♥ Al-Quran: Aye Emaan Walo! Insaaf Par Qayam Raho, Aur Allah Ki Taraf Gawahii Do, Chahey Apni Jaano Par Ho, Ya Apney Maa-Baap Aur Rishteydaron Par, Chahey Koi Maaldaar Ho Ya Faqeer, Allah Inka Tumse…
Gusl ke Haalat Aur Aqsaam... Wajoob Ghusl ki Haalat ko haalat-e-Janaabat’ kehte hain. Jis insaan par Gusl Waajib ho wo Jumbi kehlata hai. Jumbi Gusl karne se pehle Na tou Namaz ada kar sakta hai aur Na hi Ka’abe ka Tawaf kar Sakta hai. Mudarja zel Halato’n me musalman Mard aur Aurat par Gusl karna farz hojaata hai. 1. Josh ke saath mani Khaari hone ke ba’ad. (Is me Ehtelaam (Nightfall) bhi Daaqhil hai) 2. Sohbat (Sexual Intercourse) ke ba’ad. 3. Haiz ke ba’ad. 4. Nifaas ke ba’ad (wo Khoon jo bacche ke paidaesh par jaari hota hai) 5. Marne ke ba’ad Maiyyat ka Gusl.…
Khush-haal logon ki tarah Na-shukri karne se bacho ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Asma Bint yazeed Ansaria (RaziAllahu Anha) se riwayat hai ke, wo kehti hain ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) mere paas se guzrey, aur mai apni saheliyon ke saath baithi thi. Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne hamein salaam kiya aur farmaya: "khush-haal logon ki tarah na-shukri karne se bacho..." Maine kaha: "Aye Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam)! khush-haal logon ki na-shukri kya hoti hai ?.." *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Mumkin hai ke tum mein se koi aurat lambi umar apne waldein ke paas be-shohar ki zindagi guzarti rahe. Phir Allah Ta'ala tumhen khawind ata kare…
Kya Musalman bhi Shirk kar sakta hai ? Aksar Log Humse aisa Sawal Karte hai Ke - "Kya Musalman Kabhi Shirk Kar Sakte Hai ?" Tou Aayiye Shariyat kya kehti Iskey Talluk Se Ye Jaan Letey hai ,.. ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ke – “Qayamat Uss Waqt Tak Qayaam Na Hogi Jab Tak Meri Ummat Ki Ek Jamaat Mushriko Se Na Jaa Miley aur Meri Ummat Ke Bahut Se Log Buth-Parasti Na Kare” - (Tirmizi Sharif) ... Aaj Hum Jaantey hai Aalamt-e-Qayamat ke Ye Aasar abhi se nazar aa rahe hai ,.. Aur kayi Musalman Gairmabudo ko Apne Nafa aur Nuqsaan ka Zaamin Thehra rahe…
Qayamat ke Din sabse pahle Khoon ka Faisla hoga Hadees of the Day Qayamat ke Din sabse pahle Khoon ka Faisla hoga Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Qayamat ke Din Logon ke Darmiyan Sabse Pehle Jis Cheez ka Faisla hoga woh Na Haq Khoon ke Badle ka hoga.” 📕 Sahih Bukhari: 6533
Kisi Momin me 2 Aadatein kabhi Jama nahi ho sakti ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Saeed Khudri (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Kisi Momin me 2 Aadatein kabhi Jama nahi ho sakti, 1) Kanjusi, 2) Burey Akhlaaq" - (Tirmizi, 1962) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अबू सईद खुदरी (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह (सलल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: "किसी मोमिन में २ आदतें कभी जमा नहीं हो सकती, 1) कंजूसी, 2) बुरे अखलाख" - (तिरमिज़ी, 1962) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Allah Ne Darguzar Ki Meri Ummat Se Un Khayalon Par .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: "Allah Ne Dar-Guzar Ki Meri Ummat Se Un Khayalon Par Gunaah Ki, Jo Dil Me Aatey Hai Jab Tak UnKo Zubaan Se Na Nikale Ya In Par Amal Na Karey.." - (Sahih Muslim: Jild-1, Page-222' 223, Hadees no.331)
Allah ki Rehmat Allah ke Gusse se badhkar hai Hadees Of The Day Allah ki Rehmat Allah ke Gusse se badhkar hai RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Jab Allah Ta'ala ne Makhlooq ko Paida kiya tou Arsh ke Upar Apne Paas apni Kitab me likh Diya ki Meri Rehmat mere Gusse par Galib hai.” 📕 Sahih Bukhari : 3194
Dour-e-Jahalat Ke Nek Amal Ka Bhi Badla Milega ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hakeem Bin Hizaam (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Unhone Bayan Kiya Ki Maine Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Puchha: *Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Unn Nek Kaamon Ke Baarey Me Kya Hoga Jinhe Maine Kufr Ki Haalat Me(Imaan Laaney Se Pehle) Kiya Tha ? Jaise Ki: Maine Sadqa-Khairaat Kiya Hai, Gulaam Bhi Aazaad Kiya Hai, Logon Ke Saath Nek Bartaao Bhi Kiya Hai,.. Tou Kya Kufr Ki Haalat Mein Kiye Huye In Nek Kaamon Par Bhi Mujhe Sawaab Milega? Ye Sunkar Aapne Farmaya: "Tum Unn Tamaam Nekiyon Aur Bhalaiyon Ke Saath Imaan Laye Ho,…