Jiske Dil me Jarrey Barabar bhi Guroor Hoga Wo… Allah khubsurat hai aur khubsurti ko pasand karta hai Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya Ke,"Jis Aadmi ke Dil me Jarrey Barabar bhi Guroor Hoga Wo Jannat me nahi Jayega!". Ek Aadmi ne Kaha 'Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! "Hum me Har Aadmi yah Chahta hai ki, Uska Libaas Accha ho, Jutaa Accha ho tou kya yah Ghuroor hai ?" Aap (ﷺ) ne farmaya "Allah Ta'ala Khubsurat hai aur Khubsurti ko Pasand karta hai,"Guroor…
Ek Saath Khana Khane Mein Barakat 📖 Roman Urdu Wahshi bin Harb (R.A.) se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Ek saath khana khao aur us par Allah ka naam le liya karo, is mein tumhare liye barqat hai.”(Abu Dawood, Hadith 3764) 📖 हदीस हिंदी वह्शी बिन हरब (र.अ.) से रिवायत है कि रसूलअल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: “एक साथ खाना खाओ और उस पर अल्लाह का नाम ले लिया करो, इसमें तुम्हारे लिए बरकत है।”(अबू दाऊद, हदीस 3764) 📖 Hadith English Wahshi bin Harb (R.A.)…
Tijarat me Jhoothi Qasam Khane ka Anjaam Tijarat me Jhoothi Qasam Khane ka Anjaam Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jhoothi Qasam ke Jarye apne samaan ki maang badhaane wale se qayamat ke din Allah Taala na baat karega aur na uski taraf Rehmat ki Nazar se dekhega." 📕 Sahih Muslim, Hadees 106
Kisi ke Aib ki talash me mat raho Kisi ke Aib ki talash me mat raho Allah Rabbul Izzat Quran me farmata hai: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Aye Imanwalo! Kisi ke Aib ki talash me mat raho." 📕 Surah Al-Hujurat 49:12
Apne Maa Baap ki Kabhi Nafarmani Na karna: Hadees Apne Maa Baap ki Kabhi Nafarmani Na karna Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmatey hai: "Apne Maa-Baap ki Kabhi Nafarmani Na Karna, Chahe Woh Tumko Ghar aur Maal Wa Jaydaad Chhodne ka Huqm Dein." 📕 Musnad-e-Ahmad: Hadees 21570 • Note: Bashartey Baat Khilaf-e-Shariyat Na ho
73 Firqon wali Hadees : Jannati Firqe me Hum Ummid… Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farmane Aalishan hai ke,“Meri Ummat 73 Firqon me bategi, sab jahannumi honge, sirf 1 Firqa Jannati hoga Jo mere aur mere Sahaba ke Aqeede par hoga”. [Tirmizi Sharif, Jild:2 Safa:255] Ab kuch log Samjhtey hai ke wo Ahle Sunnat-Wal-Jamaat ka Jannati Firqa (Firqa-e-Najia) me se Mai hi Hu aur meri hi puri Jamaat hai, jab ki Iss Jamaat ki khususiyat tou yeh hai ke yeh Quantitatively nahi aayngi balke Qualitatively aaynge. Apni Khususiyat se nikalkar, alag alag…
Islamic Quiz 302 : Agar koi khane ke shuru mein… Agar koi khane ke shuru mein Bismillah kahna bhul jaye toh usko beech mein yaad aane par kya padhna chahiye ? | A). Bismillah wa ala barakatillah, B). Bismillah fi Awwalihi wa Aakhirihi , C). Aawuzubillahi Min As-shaitan Ar-rajim , D). Alhamdulillah Ala Aakhirihi
Khana khilao aur Salaam ko Aam karo Khana khilao aur Salaam ko Aam karo Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke - "Tum Khana khilao aur har shakhs ko Salaam karo chahe tum usey jante ho ya nahi jante ho." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 28
Jo mere Hidayat ki pairvi karega Wo Kabhi Gumrah nahi hoga Jo mere Hidayat ki pairvi karega Wo Kabhi Gumrah nahi hoga Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me farmata hai: “Jo mere Hidayat ki pairvi karega Wo Kabhi Gumrah nahi hoga.“ 📕 Al Quran; Surah Taha; 20:123 Allah Ta'ala hume Amal ki Taufik Dey,.aur har kism ki Gumrahi se bachaye,.. Ameen
Hajjatul Wida Ke Mouke Par RasoolAllah (Sallallahu… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hajjatul Wida Ke Mouke Par Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Muslmano Se Aakhiri Khutba Irshad Farmaya.. "Aye Logo Shayad Ayinda Saal Ya Fir Kabhi Tumse Yaha Mulaqat Na Ho Sake. Jo Tumse Gareeb Hai Unhe Wohi Khilao Jo Tum Khate Ho, Wohi Pehnao Jo Tum Pehnte Ho, Ke Sab Ko Allah Hi Ki Taraf Loutna Hai, Aur Wo Tumse Tumhare Amaal Ka Hisab Lega. Jo Moujud Hai Wo Unhe Batado Jo Moujud Nahi Hai, Ke Tum Sab Ek…
Zinaa, Chori, Sharaab Khori Momeen Ka Kaam Nahi : Hadees Zinaa, Chori, Sharaab Khori Momeen Ka Kaam Nahi Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Zinaa karney wala Zinaa kartey waqt Momin nahi rehta, Sharaab peeney wala sharaab peetey waqt momin nahi rehta, Chori karney wala chori kartey waqt momin nahi rehta, Jab koi lootney wala loot'ta hai aur log usey dekhtey hain Uss waqt wo bhi momin nahi rahta." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 6772
Wo Shakhs Jhoota Nahi Jo Logon Ke Darmiyaan Sulah ke… Wo Shakhs Jhoota Nahi jo Sulah ke liye Jhuth bole RasoolAllah(ﷺ) ne farmaya: "Wo Shakhs Jhoota Nahi Jo Logon ke Darmiyaan Sulah karwaane ke liye Jhoot boley." 📕 Abu Dawood 4920 (Sahih) Sabaq: Logon ke darmiayan Sulah karwaneki niyat se bola gaya jhuth muaf hai.
Qayamat me RasoolAllah ﷺ ke Sabse Qareeb aur Door… Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Tum me se mujhe sab se zyada Mehboob aur Qayamat wale din mere sab se zyada Qareeb wo log honge Jo tum me se Akhlaaq me sab se zyada acche hongey. Aur tum me se sabse zyada mujhe Napasand aur qayamat wale din mujh se sabse zyada door wo log honge jo Takllluf se zyada baate karne wale, bacchey khol kar taweel guftagu karne wale aur takabbur karne…
Maal bechte waqt Kasam khane ke nuksan Tijarat me Qasam ki Kasrat se Parhez kiya karo Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Tijarat me Qasam ki Kasrat se Parhez kiya karo, ki ye Agarchey Maal ko tou Bikwa deti hai, magar Barkat ko khatm kar deti hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 2087 Note: Aksar dekha jata hai ke log koi saman bechte wakt qasam khate hai ke Allah ki qasam maal original quality ka hai, Allah ki qasam humne ye…
Jab koi khana khaye to Ungliya Chaat le Jab koi khana khaye to Ungliya Chaat le Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya – "Tum me se koi Shakhs Khana Khaye to Apni Ungliyon ko Chaat le, Kyunki woh Nahi Janta ke In me se Barkat kis me hai." 📕 Sahih Muslim; Hadees: 2035