۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Sacche Momin ki Pahchan
Allah Taala Quran-e-Majid me farmata hai:
“Momin tou aise hotey hai, Jab Allah ka Zikr Aata hai tou Unke Dil Hil jaate hai, aur Jab Allah ki Aayat Unke Saamne Padkar Sunaayi jaati hai tou Wo Aayat Unke Imaan ko aur Zyaada kar Deti hai, aur Wo Allah par Poora Bharosa karte hai. Jo Namaz Ki Paabandi karte hai, aur Jo Kuch Hamne(Allah) Unko Diya Hai Uss me se Kharch Karte hai, Pas yeh Sacche Momin hai Unke Liye Allah ke Yahan Bade Darjaat hai aur Magfirat hai aur Izzat ki Rozi hai.”
– Surah Al-Anfal 8:2-4
✦ Hadith: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, RasoollAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Saat tarah ke log hain jinhe Allah Subhanahu Ta’ala Apne (Arsh ke) Saaye mein Panaah dega Unmey se ek wo bhi hai jisne tanhaii mein Allah Subhanahu Ta’ala ko yaad kiya to uski Aankhon se Aansoo jari ho gaye”
– (Sahih Bukhari, Vol 7, 6479)