Kaamil imaan waale woh log hain jin ke Akhlaaq sab se acchhe hain
Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Kaamil imaan waale woh log hain, jin ke akhlaaq sab se achchhe hain aur tum mein sab se achchhe woh log hain, jo apni biwiyon ke saath achchha bartaao karte hain.”
Jo log Allah ke liye Aapas me Mohabbat rakhte hain Allah ke liye Aapas me Mohabbat karne walo ka inaam Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ke, Allah Ta'ala irshaad farmata hai:"Jo log meri Azmat aur Jalaal ki wajeh se Aapas me Mohabbat rakhte hain, Qayamat ke din unke liye Aise Noor ke Meember honge jin par Ambiya aur Shuhada bhi Rashk karenge." 📕 Jame Tirmizi, Hadees: 2390 ♥ SubhanAllah! Allah Rabbul Izzat hume kehne sun'ne se Jyada amal ki Taufik dey.. Ameen, ya Rabbul Aalameen.
Hadees: Allah jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai… Unn Fitno se bacho jo khaas Zalimon par hi nahi ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Tum un fitno se bachte raho jo tum mein se khaas Zalimon par hi nahi padhega aur jaan lo ki beshaq ALLAH subhanhu sakht azab karne wala hai." 📕 Surah Al-Anfal 8:25 Allah jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai to wo acche aur bure sab logon par aata hai Hadees: Abdullah bin Umar (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "ALLAH jab kisi…
Pehalwan woh Nahi Jo Logo ko Pachad deta hai Pehlwan woh Nahi Jo Logo ko Pachad deta hai ۞ Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmate hai: “Pehlwan woh Nahi Jo Logo ko Pachad deta hai, Balki Pehlwan tou woh Hai Jo Ghusse ki Halat me Apne Nafs par Qaabu Pa Leta hai.” 📕 Mishkat 2-433, Mujatbai
Sab se Behtar Banda koun? Dil mein Bughz rakhna kaisa hai Hadees Hadees-e-Nabwi ﷺ Abdullah bin ‘Amr (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya; "Logo me sab se Behtar wo hai jo Paak aur Saaf Dil wala ho aur Sacchi Zubaan wala ho, Paak-Saaf Dil wala woh Parhezgaar insan hai Jiske Dil me koi Gunaah, Zulm-o-Zyaadati, Jalan aur Hasad aur Nafrat na ho." 📕 Ibne Majah, Hadees 4216
Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Roman Urdu ۞ Allah Ta'ala Quran-e-Kareem me farmata hai: ❝ Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko iss Duniya me hi de de, Aise Logon ka Aakhirat me koi hissa nahi hai aur Baaz iss tarah Dua karte hai ke, Aye Hamare Rab! Tu hume apni Neymat se iss Duniya me bhi Nawaaz de aur Aakhirat me bhi apni meharbaani se ata farma aur Dozakh ke azaab se bhi najaat De, inhi…
Rasool'Allah Ki Itteba Ke Bagair Ab Imaan Kabile… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Bada Mash'hur Aur Maruf Wakiya Hai, Bukhari Ki Riwayat Me Aata Hai Ke - Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ek Roz Sahaba-e-Kiram Ko Waaz aur Nasihat aur Khutba Dey Rahe They aur Umar bin Khattab (RaziAllahu Anhu) Ek Taraf Khadey Hokar Tauraat Ka Nuskha Lekar Usmey Se Kuch Padh Rahey They. Yeh Dekh Kar Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Chehra Mubarak Laal Ho Gaya. Abu Baqar Siddhiq (RaziAllahu Anhu) ne Yeh Dekha tou Kaha…
Jo Tum Bura Karoge Woh Tumhare Saath Rahega Ek Aurat Hamesha Jab Apne Ghar Waalo Ke Liye Roti Pakaati Tou Ek Roti Khidki Ke Bahar Rakh Deti, Yeh Soch Kar Ki Koi Bhuka Faqir Aayega Tou Ye Roti Utha Kar Le Jayega Aur Dua Dega. Jab Woh Aurat Khidki Par Roti Rakhti Tou Ek Faqir Waha Par Aata Aur Uss Roti Ko Utha Kar Chal Deta. Aur Bolte Jaata Ki "Jo Tum Bura Karoge Woh Tumhare Saath Rahega Aur Jo Tum Accha Karoge Woh Tum Tak Laut Aayega".…
Sabse afzal Sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye Sabse Afzal Sadqa woh hai jo aise Rishtedaar par kiya jaaye Hadees: Umme Kulsoom (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Sabse Afzal Sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye jis ne dil me dushmani chupa rakhi ho." 📕 Shoaib Ul Iman, Hadees 3427
Jo Shakhs koi cheez cheen kar le Woh hum me se nahi Hadees of the Day Jo Shakhs koi cheez cheen kar le woh hum me se nahi RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke: "Jo Shakhs koi cheez cheen kar le woh hum (Imanwalo) me se nahi." 📕 Ibn Majah, Hadees 3927
Hadith: Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada… Hadith: 6-April: Anas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada pasandida shakhs woh hai jo us ki ayaal (makhlooq) ko ziyada nafa pohchaye. -Shoaib Ul Iman 7445
Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega Woh Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega Allah Taala ka farman hai: "Aur Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega Pas Woh Zameen mein Kahin (Bhaag kar Allah ko) Aajiz Nahi kar Sakta, Na Allah ke Siwa aur koi Uske Madadgaar Honge, Yeh Log Khuli Gumraahi mein hain." 📕 Surah Al-Ahqaaf, 46:32
Al-Quran: Jo log Imaan laaye aur Nek amal kiye woh… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Imaan aur Nek Amal Wale: Makhlooq Mein Sabse Behtar Allah Taala Quran me famata hai: "Jo log Imaan laaye hain aur unhon ne Nek amal kiye hain, woh beshaq saari makhlooq me sab se behtar hain." 📕 Al-Baiyinah 98:7
Allah ke Nazdik Sab se Pasandeeda Amal Allah ke Nazdik Sab se Pasandeeda Amaal ۞ Hadees: Rasool-e-Kareem (ﷺ) farmatey hai ke: "Allah ke Nazdik Sab se Pasandeeda Amal waqt par Namaz parhna aur Walidain ke saath accha sulooq (Husn-e-Sulooq) karna hai." 📕 Bukhari, Jild 4, Page 589, Hadees 7534 ♥ In'sha'Allah-Ul-Azeez ! Allah Taala hume Kehne Sun'ne se Jyada Amal Ki taufik Dey. Ameen