Hadees: Jo Shakhs logon ki zaroorat ke waqt mehngaai ke… Hadith: 25-April: Ma'mar (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jo Shakhs logon ki zaroorat ke waqt mehngaai ke intezaar me ziyada nafa kamane ki garz se cheeze jama kar ke rakhe to woh gunehgaar hai. 📕 Muslim 4206
Hadith: Jo Shakhs tawazu (aazizi) ikhteyar karta hai, Allah… Hadith: 5-April: Talha (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jo Shakhs tawazu (aazizi) ikhteyar karta hai, Allah Taala usko Izzat wa sarbulandi ata karta hai. -Musnad al-Bazzar 946
Dahiney Qadam Par Ek Neki Zyada Aur .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke - "Jo Shakhs Masjid Se Jitna Door Hota Hai Wo Utna Hi Ziyada Sawaab Hasil Karta Hai (Kyunki Namaz Ke Liye Janey Par Dahiney Qadam Par Ek Neki Ziyada Aur Bahiney Qadam Par Ek Gunaah Kum Ho Jata Hai).." - (Sunan Abu Dawud, Vol-1, Hadith no.554) # Sabaq: Beharhaal is Hadees ko Koi Galat Mane Me na ley ,.. Balki Iska Sahi mana ye hai ke jo Masjid Tak Pohochne me jitni jyada mashakkat karega Allah use Utna hi Jyada Sawab ata karega…
Khushali Ke Zamane Me Ziyada Dua Kare ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurerah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaaya - "Jo Shakhs Ye Chahey Ke Allah Ta'ala Sakhtiyo Aur Be-Chainiyo Ke Waqt Uski Dua Qubool Farmaye Tou Usey Chahiye Ke Wo Khushali Ke Zamane Me Ziyada Dua Kiya Kare..." - (Tirmizi Sharif) ♥ In'sha'Allah-Ul-Azeez!! Allah Ta'ala Hume Kahne Sun'ne se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ,.. (Ameen)
Ziyada Se Ziyada Sajdey Kiya Kare ۞ Hadees: Ubadah Bin Sabit (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya - "Jo Banda Allah Ta'ala ko Ek Sajda bhi Karta hai, Tou Allah Ta'ala Uskey liye Ek Neki Likhega aur Ek Gunaah Muaf Farma Dega, aur Ek Darja Buland Farmayega Isliye Ziyada se Ziyada Sajdey Kiya Karo." [Sunan Ibn Majah, 1424-Sahih] *Jyaza se jyda Sajdo se muraad Farz aur Sunnat ke alawa jitna ho sakey jyada se jyada nawafil ka bhi ahtmam kiya kare ,.. ♥ In'shaAllah ul Azeez !!! Allah Ta'ala hume kehne sun'ne se jyada Amal ki Taufik Dey .. Ameen ,..
Ziyada Logo Ko Fayida Pohnchaye .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai - "Tum Me Behtar Woh Hai Jiski Wajeh Se Ziyada Logon Ko Fayida Pohnche.." - (Bukhari Sharif)
Mujhe Mere Martabey Se Ziyada Na Badhao .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Umar (RaziAllahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihi Sasallam) Ne Farmaya - "Mujhe Mere Martabey Se Ziyada Na Badhao ! Jaisey Esa Ibne Mariyam (Alaihi Salam) Ko Nassara Ne Inkey Martabey Se Ziyada Badha Diya Hai, Main Tou Sirf Allah Ka Banda Hoon! Isliye Yahi Kaha Karo Ki Main Allah Ka Banda Hoon Aur Uska Rasool Hun'. - (Sahih Bukhari Hadees 3445) Isa (Alaihay Salam)
Hadees: Qayamat ke din Allah ke nazdeek (Shirk ke baad)… Hadith: 11-April: Amr bin Hazm (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Qayamat ke din Allah ke nazdeek (Shirk ke baad) sabse bada Gunah Sood khana hai. 📕 Mustadrak 1447
Allah Sota Nahi Hai Aur ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Musa (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Hum Me Khade Hokar 5 Baatein Irshaad Farmayee, »(1). Allah Sota Nahi Hai Sur Sona(Sleeping) Uski Shaan Nahi Hai, »(2). Allah Tarazu Ko Jhukate Hain Aur Upar Uthatey Hain (Yani Kisi Ka Rizq Ziyada Kisi Ka Kam Kar Deta Hain), »(3). Din Ke Aamal, Raat Ke Aamal Karne Se Pahle Unki(Allah Ki) Baargah Me Pesh Kiye Jate Hain, »(4). Raat Ke Aamal Din Ke Aamal Karne Se Pahle Pesh Kiye Jate Hain, »(5). Uska Hijab Noor Hai Agar Usey Hata De Tou Uskey Chehre Ki…
Allah Ke yaha Sabse zyada Mehboob wo Shaks hai Jo ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Aadmi Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke paas aaya aur kaha "ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! kounsa shakhs Allah subhanahu ko zyada mehboob hai aur kounsa amal Allah subhanahu ko zyada pasandida hai ? ..." *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "logo me sabse zyada mehboob Allah Subhanahu ke yaha wo shaks hai jo logo ko sabse zyada Nafa dene wala hai aur Allah subhanahu ko sabse zyada pasandida amal wo khushi hai jo musalman kisi dusre muslaman ko de ya us ki Musibat door kar de ya uska Qarz ada kar de ya uski bhookh khatam…
Hadith: Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us shakhs… Hadith: 8-April: Abu Masood Ansari (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us shakhs ko bhi amal karne wale ki tarah sawab milega. -Abu Dawood 5129
Allah Ke Paas Kitni Rehmat aur Kitna Azaab Hai ? ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurraia (RaziAllahu Anhu) Ka Bayan Hain Ke, Maine Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Farmatey Huwe Suna - "Jis Roz Allah Ne Rehmat Ko Paida Kiya Tou UsKey 100 Hissay Kiye Aur 99 Hissay Apne Paas Rakh Kar Ek (1) Hissa Apni Saari Makhlooq Ke Liye Bhej Dia. *Pas Agar Kafir Bhi Yeh Jaan Le Ke Allah Ke Paas Kitni Rehmat Hai Tou Woh Bhi Jannat Se Mayoos Na Ho Aur Agar Momin Yeh Jaan Jaye Ke Uss Ke Paas Kitna Azaab Hai Tou Jahannum Se Woh Bhi Be-Khouf Na Rahey". - (Sahih Bukhari 5/2374 Hadith no. 6204)…
Uss Shakhs Ko Dekho Jo Tum Me Se Kum Ho .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Uss Shakhs Ko Dekho Jo Tum Me Se Kum Ho (Maal Aur Doulat Me, Aur Husn Wa Jamaal Me Aur Aulaad Me) *Aur Usko Mat Dekho Jo Tumse Ziyada Hai Aur Aisa Karoge(Yaani Duniyayi Badey Aur Buland Martaba Ke Logon Ko Dekhoge) Tou Allah Ta'ala Ki Neymat Ko Apne Upar Haqeer (Yaani Kum) Samjhoge. - (Sahih Muslim, Vol 6, Hadees:7430)
Aurat Ka 3 Din Se Jyada Tanha Safar Karna Jayaz Nahi ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke - "Jo Aurat Allah Aur Qayamat Ke Din Par Emaan Rakhti Hai Uss Ke Liye Yeh Halaal Nahi Ke Wo Apne Baap, Bhai, Shohar, Bete, Ya Kisi Mehram Ke Bagair 3 Din Ya Iss Se Ziyada Ka Safar Kare" - (Sahih Muslim, Hadith no. 3270, Page#901) • Wajahat: Ulma-e-Karam Ne Iss Ki Hadd Kilometer Me 92km Bayan Farmaee Hai. Wallahu Aalam!