Agar Puri Duniya Bhi Tumhe Nafa Pohchana Chahe to …

Hadees of the Day

Agar Puri Duniya Bhi Tumhe Nafa Pohchana Chahe to Nahi Pohcha sakta

Abdullah Ibn Aabbas (R.A) farmatey hai ke (Mere Bachpan me) Mai ek Martaba Aap (ﷺ) ke Sath Unth ke pichey Baitha tha, Tab Aap (ﷺ) ne Mujhe kuch Naseehate ki aur farmaya :

“Aye Abdullah! Tum Allah ke Ahqaam ki hifazat karna,
Woh tumhari hifazat karega,
Tum Allah ke Ahqaam ki Hifazat karo tou tum usey apne samne paoge,
Jab Tum koi Sawal Karna (Mangna) tou Sirf Allah se karna.

Hatta ke Ek riwayat me Aap (ﷺ) ne farmaya :

Tumhe Namaq bhi chahiye Abdullah tou Allah se Mangna,
aur Jutey ka tasma (Lace) bhi Chahiye tou Allah se hi talab karna,
Jab Tumhe Madad talab karna hai tou Sirf Allah hi se karna,

Fir Aagey Aap (ﷺ) farmatey hai:

Yaad Rakh! Agar poori duniya bhi Tumhare haq me Aajaye
aur chahe ke Tumhe koi fayda dey tou wo fayda nahi pohcha sakti
Siway wo jo Allah ne likh rakha hai.

Aur agar poori dunia bhi Tumhare khilaf khadey ho jaye
aur chahe ke tumhe Nuqsaan pohchaye tou wo
Nuqsaan nahi pohcha sakti siway Allah ne jo likh diya hai.

Isiliye ke Qalam rakha ja Chukha hai aur Syahi sukh chuki Hai.”

“Khush haali me Allah ki taraf Ruju karo tou
Pareshan haal me wo Tumhe faramosh nahi karega,

Yaad Rakho! jo cheez Tumhe nahi mili wo tumhe kabhi nahi milni thi
Aur jo cheez Tumhe mili Wo tumse nahi cheen sakti.

Yaad Rahe ke –

“Allah ki Madad Sabr se wabasta hai,
Koshish Takleef ke Saath hai aur Aasani Tangi ke Saath.”

📕 Mafhoom-e-Hadees; Tirmizi, Ahmed

SubhanAllah! In sha Allah ul Azeez !!!
Allah Ta’ala hume kehne Sun’ne se Jyada Amal ki Taufik Dey.. Ameen

Leave a Reply