Download Ummat-e-Nabi Official Android App Assalamo Alaikum Wa Rehmtullhi Wa Barkatuhu ! kindly download our Ummate Nabi official Android app for huge islamic post collection in roman urdu, hindi & english. - ummat-e-nabi.com/home Team Features: › Islamic News › Islamic Quiz › Islamic Naat & Video Bayan › Daily Hadees & Quranic Verses Notification on Mobile. › Hadith Collection in Urdu & Hindi › Masail in the light of Qurano Sunnat Android App ♥ In'sha'Allah ! Upcoming Features: › Tafseer ibn Kaseer in Roman Urdu › Halal Job › Islamic Matrimonial
Islamic Quiz 142 Wo Kounsi Surah hai Jiski Tilawat 1/3 Quraan Padhne ke Barabar hai? A. Surah Al-Fatiha (1) B. Surah Yasin (36) C. Surah Al-Mulk (67) D. Surah Al-Ikhlas (112) GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Surah Al-Ikhlas (112) Daleel : Hadees: Abu darda (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Kya thak jata hai tum mein se koi is baat se ki har raat Ek Teehaii Quran parh le ?"Sahaba ne arz kiya ki 'Teehaii Quran ( Ek raat mein ) kaisey padhh saktey hain ?'Aap (ﷺ) ne farmaya: "Qul Huwallahu Ahad…
Quran Jadeed Science aur Muslim Scientist by Adv. Faiz Syed https://www.youtube.com/watch?v=OKcWeJCXrZI Quran Jadeed Science aur Muslim Scientist The Quran and Modern Science, quranic verses on science, quran and science discoveries, science in the quran, Big Bang in Quran, quranic verses about creation of universe, Quran on the creation of the universe, Biology of the Holy Quran, Life of plant in Quran, human creation in quran, embryology in quran, physiology in quran, oceanology in quran, Quran about oceanology Quran aur jadeed science, quran jadeed science aur muslim scientist, quran and modern science, muslim scientist, discoveries and inventions by muslim scientist, 1001 inventions muslim heritage in our world, Science In The Medieval…
Islamic Quiz 249 Quran Majid ke mutabiq in me se kounsa mahina hurmat wala hai? Options Are 👇 A. Muharram B. Rabbi Ul Awwal C. Shaban D. Ramzan GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Muharram Daleel : Quran me Majid ki Surah Tauba 9:36 me 4 Mahinon ko Hurmat wala qaraar diya hai, inme se ek “Muharram” hai. Rasoolullah ﷺ ne farmaya: "Saal baarah mahine ka hota hai, us mein chaar hurmat ke mahine hote hain, teen to ek ke baad ek Zil Qada, Zil Hijja aur Muharram aate hain aur ek Rajab jo Jumadal Aakhir aur…
Islamic Quiz 181 Woh Kounsi Surah hai jiski Ek hi Aayat mein Allah Subhanahu ke 9 naam liye gaye hain? A Surah Aal-e-Imran B Surah Al-Hashar C. Surah Baqrah D Surah Anbiya GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( B ) ✅ Surah Al-Hashar Daleel : Surah Al-Hashr ki Aayat 23 me Allah Taala ke 9 Naam aaye hai. هُوَ اللَّهُ الَّذِي لَا إِلَـٰهَ إِلَّا هُوَ الْمَلِكُ الْقُدُّوسُ السَّلَامُ الْمُؤْمِنُ الْمُهَيْمِنُ الْعَزِيزُ الْجَبَّارُ الْمُتَكَبِّرُ ۚ سُبْحَانَ اللَّهِ عَمَّا يُشْرِكُونَ 1. Allah2. Al-Malik3. Al-Quddus4. As-Salam5. Al-Muameen6. Al-Muhaimeen7. Al-Aziz8. Al-Jabbar9. Al-Mutakabbir 📕 Al-Quran, Surah Al-Hashr
Islamic Quiz 263 RasoolAllah ﷺ par Quran ki pehli wahee kis Umar me nazil hui? Options Are 👇 A. 33 Saal B. 40 Saal C. 45 Saal D. 47 Saal GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( B ) ✅ 40 Saal Rabia bin Abi Abdur-Rahman (R.A) se riwayat hai ki,maine Anas bin malik (R.A) ko RasoolAllah ﷺ ki seerat bayan karte huye suna ki: "(pahli) Nuzul e wahi ke waqt Aap ﷺ ki umar 40 saal thi." 📕 Sahih Bukhari, Vol 5, Hadees 3547
Islamic Quiz 255 Quran Kareem mein Surah An-Nisa hai, ismein An-Nisa ka matlab kya hota hai ? Options Are 👇 A. Aurtein B. Mard C. Bacche D. Farishte GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Aurtein Surah An-Nisa Quran ki 4th surah hai aur iska matlab hota hai "Aurtein". Is surah mein Aurton ke Huqooq, Nikah, Talaq, Wirasat aur Maal ki Hifazat jaise mouju par insaniyat ki rehnumayi ki gayi hai. 📕 Surah An Nisa Allah Rabbul izzat hume kehne sunne se jyada amal ki taufik de. Ameen.
Islamic Quiz 256 Wo Kaunse Nabi ki Qaum thi jiske liye Aasaman se khana (Mann-Salwa) Nazil hota tha? Options Are 👇 A. Isa (Alaihi Salam) B. Nooh (Alaihi Salam) C. Musa (Alaihi Salam) D. Ibrahim (Alaihi Salam) GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Musa (Alaihi Salam) Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai: "Aye bani isareel! humne tumhe tumhare Dushman se nijat di aur tumse koh-e-toor ke dahini taraf ka wada kiya aur tumhare liye (aasman se) Mann aur salwa nazil kiya." 📕 Surah Taa-Haa 20:80
Islamic Quiz 257 Allah Taala ko apne bande ka Kaunsa Amal sabse Zyada pasand hai ? Options Are 👇 A. Waqt par Namaz padhna B. Waqt par Quran padhna C. Wakt par Umrah Karna D. Wat par Zakat dena GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Waqt par Namaz padhna Abdullah bin Masood (R.A) ne RasoolAllah ﷺ se pucha, "Kounsa kaam ALLAH ko sabse ziyada pasand hai?" Aap ﷺ ne farmaya "Waqt par Namaz Padhna" , pucha ki phir kaunsa ? farmaya "Waldein ke saath achcha suluk karna", pucha ki phir kaunsa ?Aap ﷺ ne farmaya ki "ALLAH…
Islamic Quiz 267 Quran mein ek surah hai Surah Naba, ismein Naba ka matlab kya hota hai? Options Are 👇 A. Aam Khabar B. Acchi Khabar C. Badi Khabar D. Buri Khabar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Badi Khabar ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Surah Naba Quran ki 78th Surah hai aur iske maana hota hai Badi Khabar.aur is Badi Khabar se Muraad Quyamat ki Khabar hai. 📕 Surah Al Naba 78
Islamic Quiz 133 Wo kya hain jo kuch log ussey durust karenge jaise teer ko durust kiya jata hain kuyke wo iski jaza duniya mein hi chahenge? A. Namaz B. Zikr C. Amaal D. Quraan GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Quraan Daleel : Hadees: Jabir (R.A) bayan karte hain, RasoolAllah (ﷺ) hamarey paas tashreef laaye to hum Quran padh rahe they aur hum mein Arabi aur ajmi bhi they, Aap (ﷺ) ne farmaya padho sab theek hain anqareeb aisey log aayenge jo usse is terhan (mubaligha ke saath) durust karenge jaisay teer durust kiya jata hain.…
Islamic Quiz 220 Agar Hum Chahte hai ke Allah Hum par Reham kare tou Hume kya karna chahiye? Options Are 👇 A. Aaba-o-Azdad ke Deen Ki Pairwi B. Apne Imamo Ki Taqleed C. Allah aur Rasool ki Itaat D. Sahih Jawab ka Intezar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Allah aur Rasool ki Itaat Beshaq! Allah Hum Par tab Reham karega Jab Hum Allah Aur Rasool ki Ita’at karenge. Daleel : Allah Taala Quran e Kareem me farmata hai: “ita-at karo Allah ki aur uske Rasool kita’aki tum par Reham kiya jaaye” 📕 Surah Aale Imran 3:132…
Islamic Quiz 166 Quran-e-Majid ke mutabik Sabse bada Zulm kya hai? A. Zina B. Shirk C. Chori D. Sahih Jawab Ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( B ) Shirk ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Daleel : Allah Rabbul Izzat Quran me farmata hai – “Luqman (A.s.) ne apney betey ko Naseehat karte hue kaha ke beta Allah ke saath kisi ko Shareek Naa karna, Shirk tou bada Zulme Azeem hai.” 📕 Al-Quran; 31:13 Is Ayat se pata chalta hai ke: Shirk sabse bada Zulm hai jo banda khud apne upar karta hai Allah ki Zaat me Kisi ko shareek kar…
Islamic Quiz 269 inmein se Quran ki wo kaunsi surah hai jiski "pahli aayat uske naam se shuru hoti hai ?" Options Are 👇 A. Surah As-saff B. Surah Taha C. Surah Nooh D. Surah Al Qiyamah GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( B ) ✅ Surah Taha ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Surah Taha Quran ki 20th Surah hai jiski pahli aayat ki shuruwat me hi Taha ka lafz aata hai." 📕 Surah Taha 20
Islamic Quiz 216 Wo Kounsi Surah hai jo apne padhne walon ki sifarish karegi yahan tak ki usey bakhsh diya jayega? Options Are 👇 A. Surah Al-Qasas B. Surah Yusuf C. Surah Nooh D. Surah Al-Mulk GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Surah Al-Mulk Daleel : Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Quran mein 30 aayaton ki ek surah hai jo apney parhney walon ki sifarish karegi yahan tak ki usey baksh diya jayega, Wo Surah hai Tabarak-alLazi beyadehil mulk……" ( Surah Al Mulk 67 ) 📕 Sunan Abu Dawud, Vol 1,1387-Hasan