Download Ummat-e-Nabi Official Android App Assalamo Alaikum Wa Rehmtullhi Wa Barkatuhu ! kindly download our Ummate Nabi official Android app for huge islamic post collection in roman urdu, hindi & english. - ummat-e-nabi.com/home Team Features: › Islamic News › Islamic Quiz › Islamic Naat & Video Bayan › Daily Hadees & Quranic Verses Notification on Mobile. › Hadith Collection in Urdu & Hindi › Masail in the light of Qurano Sunnat Android App ♥ In'sha'Allah ! Upcoming Features: › Tafseer ibn Kaseer in Roman Urdu › Halal Job › Islamic Matrimonial
Islamic Quiz 211 "Allahumma Bismika Amutu wa Aahya" RasoolAllah (ﷺ) Ye Dua kab padhte the? A. Ghar se nikalte waqt B. Raat ko sote waqt C. Subah ko bedar hote waqt D. Khane se pahle GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( B ) ✅ Raat ko sote waqt Daleel : Huzefa (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) jab apne bistar par let-tey to ye farmate: "Allahumma Bismika Amutu wa Aahya" Ya ALLAH, tere hi naam ke saath main murda aur Zinda rahta hu. 📕 Sahih Bukhari, Vol7, 6312
Islamic Quiz 254 RasoolAllah ﷺ ye dua "Allahumma Bismika Amutu wa Aahya" kis waqt padha karte they? Options Are 👇 A. Ghar se nikalte waqt B. Raat ko sote waqt C. Subah ko bedar hote waqt D. Khane se pahle GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( B ) ✅ Raat ko sote waqt Huzefa (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) jab apne bistar par let-tey to ye farmate: "Allahumma Bismika Amutu wa Aahya" Ya ALLAH, tere hi naam ke saath main murda aur Zinda rahta hu. 📕 Sahih Bukhari, Vol7, 6312 Allah Rabbul izzat hume kehne sunne se jyada…
Islamic Quiz 210 Inmein se kin kin Gunah ko RasoolAllah (ﷺ) ne Kabira Gunah kaha hai ? A. Waldein ki nafarmani karna B. Allah ke saath kisi ko Sharik karna C. Kisi ki nahaq jaan lena D. Saare Jawab Sahih GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Saare Jawab Sahih Daleel : Hazrate Anas (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) se bade (Kabira ) Gunahon ke baare mein pucha gaya to Aap (ﷺ) ne farmaya: "ALLAH ke saath kisi ko Sharik karna, Waaldein ki nafarmani karna,Kisi ki (nahaq) jaan lena,aur Jhooti gawahi dena." 📕 Sahih Bukhari, Vol 4,2653
Islamic Quiz 201 Pyare Nabi (ﷺ) ne Sab se Zyada Kis ke Saath Husn-e-Sulook Karne ka Hukm diya hain? A. Maa B. Biwi C. Beti D. Neik Dost GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Maa Daleel : ۞ Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke Ek Martaba Nabi-e-Karim (ﷺ) ki Khidmat me Ek Shakhs ne Aa kar Puchha: Ya RasoolAllah (ﷺ) Mere Husne Suluk ka Zyada Haqdaar Koun hai ? RasoolAllah ﷺ ne Jawab diya: Teri Walida (Maa),Us Shakhs ne (Dusri Baar) Puchha: phir koun ? Aap (ﷺ) ne Jawab diya Teri Walida (Maa),Usne (Tisri Baar) puchha:…
Islamic Quiz 131 Wo Kounsa Amal hai jo darje mein Namaz Roze aur Zakat se bhi badhkar hain? A. Nafeel Namazo ki Qasrat B. Sadqa Khairaat C. Jhagadne walo me Sulah kara dena D. Sahih Jawab ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Jhagadne walo me Sulah kara dena Daleel : Hadees: Abu darda (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Kya main tumhe wo amal na batauu jo darje mein Roze, Namaz aur zakat se badhkar hai. logon ne kaha , jarur bataeeye, to RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya Jhagadne walo mein sulah kara…
Islamic Quiz 250 In me se kounse mahine ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha jaha hai? Options Are 👇 A. Muharram B. Rajab C. Shaban D. Ramzan GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Muharram Daleel : RasoolAllah (ﷺ) ne Muharram ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha hai. 📕 Sahih Muslim-1123, 📕 Sunan Abu Dawud-2429
Islamic Quiz 214 Wo Kounse Azkar hai jo Raat me padho tou Allah ki taraf se hifazat ke liye ek farishta mukarrar kar diya jata hai? A. Durood e Ibrahim B. Surah Fatiha C. Ayatul Kursi D. Sahih jawab ka intezar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Ayatul Kursi Daleel : Ek Taweel Hadees ka Mafhoom hai: Abu Hurairah (RA) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne mujhe Ramazan ki zakat ki hifazat par muqarrar farmaya. Raat mein ek shakhs achanak mere paas aaya aur mujhe pakad liya. Maine usey RasoolAllah (ﷺ) ki khidmat mein le jaane…
Islamic Quiz 172 Wo Kaunsi Do Namazein Hain Jo Munafiqo Par Zyada Bhaari Hain? A. Fajr aur Zohar B. Fajr aur Asr C. Fajr aur Maghrib D. Fajr aur Isha GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Fajr aur Isha Daleel : ۞ Hadees: Ubayy ibn Ka’b (R.A) se rivayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Ye do Namazein ( Fajar aur Isha ) munafiqon par bahut bhari hai, agar tum jaan lete ki in do Namazon ka kitna Sawab hai to tum ghutno ke bal chal kar bhi aatey.” 📕 Sunan Abu Dawud, Vol 1, #552-Hasan
Islamic Quiz 206 Apne Walid ko Chod ke Kisi aur ko Walid Kehna kaisa hain? A. Bola Ja sakta hai B. Saghirah Gunah hai C. Sab se bada Bohtan hai D. Sahih Jawab Ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Sab se bada Bohtan hai Daleel : Wasila bin asqa bayan karte hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Sab se bada Bohtan aur Jhut ye hai ki aadmi apne baap ke siwa kisi aur ko apna Baap kahe." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 3509
Islamic Quiz 141 Aahadees ke mutabik "Jo Aurat Khushboo lagaye Wo koun hai?" A. Faasiq B. Munafiq C. Zaania D. Mushriq GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Zaniya Daleel : RasoolAllah (ﷺ) ne farmaye: ""Jo Aurat Khushbu lagaye aur phir logon ke saamne se guzre taaqi wo uski khusboo sunghe to woh aurat Zaniya hai." 📕 Sunan Nisai 5129-Hasan Aur bhi Dekhe: Aurat kis tarah ka Khushbu Laga sakti hai by Adv Faiz Sayed.
Islamic Quiz 209 In mein se kin logon ki wajah se (Allah Subhanahu ki taraf se) Madad aur Rizq diya jata hai? A. Kamzor ki wajah se B. Musafiro ki wajah se C. Mazloom ki wajah se D. Sahih Jawab ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Kamzor ki wajah se Daleel : Mus'ab bin Sad (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: "Tum logon ko Kamzor Maazur logon ki Duaaon ki wajah se (Allah ki taraf se) madad aur Rizq diya jata hai." 📕 Sahih Bukhari, Jild 4, 2896
Islamic Quiz 262 Kitne saal ki umar mein baccho ko Namaz ka hukm dena chahiye? Options Are 👇 A. 10 saal B. 8 saal C. 7 saal D. 5 saal GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ 7 Saal Amr ibn Al As (R.A)se riwayat hai ki,RasoolAllah ﷺ ne farmaya: "Apney baccho ko Namaz ka hukm do jab wo 7 saal ke ho jaye aur jab 10 saal ke ho jaye to Namaz na parhney par unko maro aur unke bistar alag kar do." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 493-Sahih
Islamic Quiz 142 Wo Kounsi Surah hai Jiski Tilawat 1/3 Quraan Padhne ke Barabar hai? A. Surah Al-Fatiha (1) B. Surah Yasin (36) C. Surah Al-Mulk (67) D. Surah Al-Ikhlas (112) GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Surah Al-Ikhlas (112) Daleel : Hadees: Abu darda (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Kya thak jata hai tum mein se koi is baat se ki har raat Ek Teehaii Quran parh le ?"Sahaba ne arz kiya ki 'Teehaii Quran ( Ek raat mein ) kaisey padhh saktey hain ?'Aap (ﷺ) ne farmaya: "Qul Huwallahu Ahad…
Islamic Quiz 134 in me se Kiske Zariye Allah Subhanahu kisi Qaum ko Bulandi ya Zillat deta hain? A. Namaz B. Roza C. Quraan D. Hajj GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Quraan Daleel : Syedna Umar bin Khattab (R.A) bayan karte hain ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Allah Subhanahu taala is Kitaab (yaani Quraan) ke zariye baaz Qaumon ko rifaten (bulandi/heights) ataa karta hain aur baaz ko zaleel kar deta hain.” 📕 Musnad Ahmed; Hadees:8326-Sahih