❝Jo shakhs Ziyaadati aur Zulm ke taur par aisa (Naahaq Maal khaayega aur Qatl wa Khoon) karega. tou Hum(Allah) usko aag (Jahannum) mein daakhil karenge aur yeh baat Allah ke liye bilkul aasaan hai.❞
Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou 2 shakhs Kaanafusi na kare Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou Abdullah (R.A) se riwayat hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "jab Teen shaksh saath ho to teesre Shakhs ko chor kar Do log aapas me Kaanafusi (chupke se baat) na karey." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 6288
Al-Quran: Yateemo ko unke maal de diya karo aur… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Yateemo ko unke maal de diya karo aur kharab maal ko acche maal se tabdeel na kiya karo." 📕 Quran; Surah Nisa 4:2
Kaun sa Maal Rakhe ? ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Sahabi-e-Rasool se Riwayat hai ke, Jab Sone aur Chandi ke bare me Aayat Nazil hui tou log (Sahaba) kehne lagey ke ab Kaun sa Maal hum apne liye rakhe ? Umer (RaziAllahu anhu) ne kaha: "Main isey tumare liye malum karke aata hu,.." aur Aapne Uoont (Camel) par sawar Hokar isey tez daudaya , aur Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke paas pahunche, Main bhi aap ke piche tha, Unhone arz kiya: "Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi…
Jo Shakhs Sood ke Jarye apna maal badhata hai Jo Shakhs Sood ke Jarye apna maal badhata hai Hadees: Allah Ke Rasool ﷺ farmate hain: "Jo Shakhs Sood ke zariye apna Maal badhata hai, uska anjaam yeh hota hai ki uska Maal kum ho jaata hai." 📕 Sunan Ibn Maaja, Hadees: 2279-Sahih
Maal aur Aulad Fitna (Aazmaish) hai Maal aur Aulad Fitna (Aazmaish) hai Allah Taala farmata hai: "Beshaq tumhare Maal aur Aulad (Allah ki Taraf se) ek Fitna (Aazmaish) hai." 📕 Quran 64:15
Allah Subhanahu 60 Saal se upar wale logo ka koi… ✦ Hadith: 60 Saal se jyada umar wale logo ka koi bahana Qubul nahi hoga ✦ Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Allah Subhanahu ne us insan ke liye uzar(excuse,bahana) ke silsile mein hujjat tamam kar di hai jiski maut ko usne rok kar rakha yaha tak ki wo 60 saal ki umar ko pahuch gaya." (yani kisi insan ki umar 60 ki ho gayee to phir Allah subhanahu ke waha uska koi bahana nahi chalega…
Jo Shakhs Allah ke Zikr se airaz karega ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Quran me farmata hai – "Jo Shakhs Apney Rab ke Zikr se Airaaz Karega Allah Usey Shadeed Tareen Azaab me Mubtela Karega.” 📕 Surah Jinn: Ayat 17 Ek aur Aayat me Allah Rabbul Izzat ne farmaya –"Jab mera Banda Mere Ziqr se Airaaj karta hai tou hum Uske Upar Ek Shaitan Musallat karte hai aur Wo Uska Humesha ka Saathi Marne tak ban Jata hai, aur Wo Usko Humare (Yaani Allah) ke Rastey se…
Momin Par Lanat Bhejna Qatl Karne Ke Barabar Hai Momin Par Lanat Bhejna Qatl Karne Ke Barabar Hai Hadees: Thabit Bin Ad-Dahhak (R.A) Se Riwayat hai, Ki RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya: "Jo Shakhs Apney Nafs Ko Kisi Cheez Se Halak Karey Wo Dojakh Me Usi Cheez Se Azab Diya Jata Rahega, Aur Momin Par Lanat Bhejna Usko Qatl Karney Ke Barabar Hai, Aur Jisney Kisi Momin Par Kufr Ka Ilzam Lagaya Wo Bhi Usko Qatl Karney Ke Barabar Hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 6652
Hadees: Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Hadees of the Day Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Ash'as bin Qais (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega, wo Allah ke samne kodhi (leprosy) ho kar pesh hoga." 📕 Abu Dawood 3244
Hadees: Quran ki tilawat karo, yeh Qayamat ke din… Hadith: 19 -July: Abu Umama (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ❝Quran ki tilawat kiya karo, is liye ke yeh Qayamat ke din tilawat karne waalo ke haq me Sifarish karega.❞ 📕 Sahih Muslim 804
Gaali Galoch aur Baddkalami Karne wala Allah ke… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki - "Do Shakhs Jab Gaali-Galoch Kare Tou Dono Ka Gunaah Usi Par Hoga Jo Ibtida (Shuruaat) Karega, Jab Tak Mazloom(Zulm Sehne Wala) Jiyadati Na Kare" - (Sahih Muslim) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Musalman Ko Gaali Dena Fisq (Belong to Fasiq) Hai aur Qatl Karna Kufr Hai". - (Sahih Bukhari) ♥ Mafhoom-e-Hadees:…
Jo Shakhs Nikah karey aur Mehar dene ki Niyat na ho… Hadees of the Day Nikah karey aur Mehar dene ki Niyat na ho usney Zinaa kiya TRANSLITERATION Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Rasool-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Jo shakhs nikah karey aur Mehar dene ki Niyat na ho usney Zinaa kiya aur jo shakhs Udhaar(Qarz) le aur wapas dene ki niyat na ho usney daka dala." 📕 At-Targib Wat-Tarheeb 1807 HINDI अबु हुरेराह (प्रेषित के अनुयाई) कहते है के,अल्लाह के प्रेषित मुहम्मद (ﷺ) ने फरमाया: "जो शख्स अपनी पत्नी…
Shirk Zulm Azeem : Shirk se Jo bacch gaya uske liye Aman ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ “Jo Log imaan laye aur apne imaan ko Zulm se mahfuz kiya unke liye Aman hai aur wahi hidayat paney wale log hain." 📕 Quran: Surah Al-An’am 6:82 Iss aayat ke Sabab Hazrate Abdullah bin Mas'ud (R.Au) ne farmaya ke: 'Jab yeh aayat [Surah Al-An'am 6:82] naazil hui tou hum log pareshan ho gaye ke, "Koun hai jisney apne par Zulm nahi kiya hoga?." Tou hum log RasoolAllah (ﷺ) ke paas gaye aur kaha ke: "Koun hai jisney Zulm nahi kiya hai!"…
Tum doosron par kharch karte raho, Allah tum par… Tum doosron par kharch karo, Allah tum par kharch karega Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke: "Allah Taala ne farmaaya: Aye logo! tum doosron par kharch karte raho, main tum par kharch karta rahunga." 📕 Bukhari, Hadees 5352
Halaqat Ka Bhawar Na'haq Khoon Karna Hai .... ♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Aur Jo Koi Kisi Momeen Ko Jaan Boojh Kar (Intentionally) Qatl Karey Uski Saza Dojakh Hai Jismein Wo Hamesha Rahega Uss Par Allah Ka Ghazab Aur Uski Lanat Hai Aur Allah Ne Uskey Liye Bada Azaab Tayyar Kiya Hai". - (Surah An-Nisa (4), Ayat-93) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Umar (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey hai - "Halaqat Ka Bhawar Jismein Girney Ke Baad Phir Nikalney Ki Ummed Nahi Hai Wo…