Jahannum se Bacho Chahe Aadhe Khajur ka Sadqa hi kyu na ho
Adi bin hatim (r.A) ne bayan kiya ki,
Nabi-e-kareem (ﷺ) ne jahannam ka zikr kiya, Aur unse panah mangi aur chehre se e’araz wa naagwari ka ijahar kiya,
Phir Aa’hajarat (ﷺ) ne jahannam ka zikr kiya,
Aur us’se panah mangi aur chehre se e’araz wa naagwari ka ijahar kiya, shu’aba(r.A) ne bayan kiya ki do martaba Aa’hajarat (ﷺ) ke Jahannam se panah mangane ke silsile me mujhe koi shaq nahi hai.
Phir Aa’hajarat ﷺ ne farmaya ki:
“Jahannam se bacho ! Khwah aadhi khajoor hi kisi ko sadqah kar ke ho sake aur agar kisi ko ye bhi mayassar na ho tou achchhi baat kar ke hi.” (jahnnam se najaat hasil kare)
♥ In sha Allah ul Azeez ! Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufik dey.