♥ Mafhoom-e-Hadees: Adi Bin Hatim (RaziAllahu Anhu) Ne Bayan Kiya Ki Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne Jahannam Ka zikr Kiya, aur Unse Panah Mangi aur Chehre Se E’araz Wa Naagwari ka Ijahar Kiya,
Fir Aa’hajarat (ﷺ) ne Jahannam Ka zikr Kiya, aur Us’se Panah Mangi aur Chehre Se E’araz Wa Naagwari Ka Ijahar Kiya, Shu’aba(R.A) ne Bayan Kiya ki Do Martaba Aa’hajarat (ﷺ) Ke Jahannam Se Panah Mangane Ke Silsile me Mujhe Koi Shak Nahi Hai !
Fir Aa’hajarat ﷺ Ne Farmaya Ki
“Jahannam Se Bacho ! Khwah Aadhi Khajoor Hi Kisi Ko Sadka Karke Ho Sake aur Agar Kisi Ko Ye Bhi Mayassar Na Ho Tou Achchhi Baat Karke Hi !” (Jahnnam Se Najaat Hasil Kare !)
– (Bukhari: Hadees no. 6023)
♥ In sha Allah ul Azeez ! Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufik dey,..
For more Islamic messages kindly download our Mobile App