Jaanbhujkar Namaz chorne ka Gunah
Hadees: Abu Darda (R.A) se riwayat hai ki,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne mujhe waseeyat farmayee ki:
“Allah ke saath kisi ko Sharik na karna chahe Tumhare tukde tukde kar diye jaye ya tumhe Aag mein jala diya jaye aur
Farz Namaz ko jaan bujh kar kabhi mat chorhna kyunki jo jaanbujh kar Farz Namaz chorh de to Allah ke Zimme se bari ho gaya (yaani ab wo Allah ki panah mein nahi) aur Sharaab na peena kyunki Sharaab har burayee ki kunji (key) hai.”