Ilm ki Talash me rehne wale ki Fazilat | Puraane Gunaaho ki Maghfirat

Ilm ki Talash me rehne wale ki Fazilat | Puraane Gunaaho ki Maghfirat

Hadees:
RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke –

“Jis Ne Ilm Talash Kiya Tou Yeh Talash Uss Ke Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Ho Gayi”

📕 Miraatul Manahij, Jild 1, Safa 203

Wajahat: Taalib-e-Ilm se Sagira Gunaah Muaf hote jate hai, Jaise (Gunaah-e-Saghira) Wuzu Namaz Vagaira Ibadat se Lihaza Iska Matlab Yeh Nahi ke Talibe Ilm Jo Chahe Gunaah kare.

Balki Matlab yeh hai ki Allah Ta’ala Niyat-e-Khair se Ilm ki Talab karne walo ko Gunaaho se Bachney aur Gujasta Gunaahao ka Kaffara Ada Karne ki Toufiq deta hai. SubhanAllah

Leave a Comment