Allah ke Hukm par Humesha Qayam rehna Allah ke Hukm par Humesha Qayam rehna Rasool'Allah (ﷺ) Allah ke Rasool hain aur Aap ke bataye huay tariqay me hamare liye rehnumai hain. Ek aisi baat jo RasoolAllah (ﷺ) ne hum sab se farmayi thi wo hai Allah ke hukm par qayam humesha rahna hai. ۞ Hadees: Hazrate Muawiya (R.A) ne kaha ki, maine RasoolAllah (ﷺ) ko ye farmate hue suna hai ke "Meri Ummat Me Se Ek Aisi Jamaat Hamesha Allah Ke Hukm Par Qayam Rahegi, Jo Inki Madad Nahi Karega Ya Inki Mukhaalifat(Against) Karega Wo Inhe Kuchh Nuqsaan Nahi Pohanchaa Sakega, Yahan Tak Ki Allah Ka Hukam…
Hadith: Jo Shakhs tawazu (aazizi) ikhteyar karta hai, Allah… Hadith: 5-April: Talha (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jo Shakhs tawazu (aazizi) ikhteyar karta hai, Allah Taala usko Izzat wa sarbulandi ata karta hai. -Musnad al-Bazzar 946
Hadith: Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada pasandida… Hadith: 6-April: Anas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada pasandida shakhs woh hai jo us ki ayaal (makhlooq) ko ziyada nafa pohchaye. -Shoaib Ul Iman 7445
Islamic Quiz 240 Jab Allah kisi ko Mushkilo me daal dey tou Usey koun Nijaat dilane par Qadir hai ? Options Are 👇 A. Farishtey B. Ambiya (Alaihi Salam) C. Allah ke Wali D. Sirf Allah GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Sirf Allah Jab Allah kisi ko Mushkilo me daal dey tou Usey Sirf Allah subhanhu Taala Nijaat dilane par Qadir hai. Daleel : Allah Taala Quraane Kareem me faramata hai: "Agar Allah tumko kisi kism ki takleef pahuchaye tou uske siwa koi nijaat dene wala nahi aur agar tumhe kuch fayda pohchana chahe tou bhi koi rok…
Khala Ka Darja Maa Ki Tarah Hai ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah-Bin-Umar (RaziAllahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Ek Shaksh Rasooll'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Baargah Me Hazir Hua Aur Arz Kiya Ke - "Ya Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Mujhse Bohot Bada Gunaah Ho Gaya Hai! Kya Mere Liye Tauba Hai ? .." *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: "Kya Tumhari Maa (Zinda) Hain ? *Usney Kaha: "Nahi" *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Phir Farmaya: "Kya Tumhari Khala Hain ? " *Usney Kaha : "Ji Haan!" *Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Aagey Farmaya aur Kaha: "Phir Unkey Saath Husn-e-Sulooq(Respectful Behaviour) Karo ,.." - [Jami At-Tirmidhi, Vol 1, Hadith 1966…
Allah Ki Panah Maango Mohtaaji, Zillat aur Zulm Se ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Riwayat Karte Hain Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: "Allah Ki Panah Maango Mohtaaji Se Aur Kami Aur Zillat Se Aur Zulm Karne Se Aur (Apne Upar) Zulm Kiye Jane Se." - Sunan Ibn Majah , Hadith no. 3842 ♥ In'sha'Allah ul Azeez ! Allah Taala Hume Kehne Sun'ne Se jyada Amal ki taufik Dey ,..
Agar Puri Duniya Bhi Tumhe Nafa Pohchana Chahe to ... Hadees of the Day Agar Puri Duniya Bhi Tumhe Nafa Pohchana Chahe to Nahi Pohcha sakta Abdullah Ibn Aabbas (R.A) farmatey hai ke (Mere Bachpan me) Mai ek Martaba Aap (ﷺ) ke Sath Unth ke pichey Baitha tha, Tab Aap (ﷺ) ne Mujhe kuch Naseehate ki aur farmaya : "Aye Abdullah! Tum Allah ke Ahqaam ki hifazat karna,Woh tumhari hifazat karega,Tum Allah ke Ahqaam ki Hifazat karo tou tum usey apne samne paoge,Jab Tum koi Sawal Karna (Mangna) tou Sirf Allah se karna. Hatta ke Ek riwayat me Aap (ﷺ) ne farmaya : Tumhe Namaq bhi chahiye Abdullah tou Allah…
Walid Jannat Ka Markazi Darwaza Hai Aaj ki Hadees | Hadees of the Day Walid (Baap) Jannat ka Markazi Darwaza hai Abu Darda (R.A) farmate hai ke,Maine Allah ke Rasool (ﷺ) ko ye farmatey huye suna, "Walid (Baap) Jannat ka Markazi Darwaza hai, Ab ye Tumhari Marzi hai ke Tum Iss Darwazey ko Zaya Karo (Yaani Iss Ko Naraaz kar ke Jannat se Mehroom bano) ya Iski Hifazat karo (Yaani Iss ki Khidmat ke Raste se Jannat me Dakhil ho jao.)” 📕 Jameh Tirmazi: 1900, 📕 Sunan Ibne Majah: 2089, 📕 Musnad Ahmed: 4456 Allah ki Raza Walid (Baap) ki Raza me hai ۞ Hadith: Abdullah…
Hadith: Allah se darte raho aur apne rishtedaro ke sath… Hadith: 7-April: Abdullah bin Masood (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Allah se darte raho aur apne rishtedaro ke sath Husne Sulooq karo. -Shoaib Ul Iman 7950
Hadees: Quran ki tilawat karo, yeh Qayamat ke din Sifarish… Hadith: 19 -July: Abu Umama (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ❝Quran ki tilawat kiya karo, is liye ke yeh Qayamat ke din tilawat karne waalo ke haq me Sifarish karega.❞ 📕 Sahih Muslim 804
Neki Ke Elawa Koi Cheez Umr Me Zyadati Nahi Karti ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai - "Neki Ke Elawa Koi Cheez Umr Me Zyadati(Badhotari) Nahi Karti, Aur Taqdeer Ko Dua Ke Siwa Koi Cheez Nahi Taal Sakti ,.. Aur Insan Apna Aaya Huwa Rizq Apne Gunaaho Se Taal Deta Hai.." - (Ibne Majah, Jild : 2, Page-497, Hadith no.1821) *Ab Sawal Ye Aata hai ke "humari Taqdeer me Jo Umr pahle se likhi gayi Hai kya usme Ijafa hoga ?" tou ispar Ulamao Ki Raay hai ke Umr Me Barqat se muraad Allah humari isi umr me Jyada se jyada nekiyo ka sila ata karega ,.. *Lihaja…
Takkabur kya hai aur takabbur karna kisko zeba deta hai ? Takkabur kise kehte hai ? Jawaab: khud ko Afzal aur dusron ko Haqeer samjhne ka naam Takabbur hai. ✦ Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmatey hai ki "Takabbur haq ki Mukhalifat aur logon ko Haqeer jaan ne ka naam hai." [Sahih Muslim: Hadith 91] Allah Rabbul Izzat Takabbur ke talluk se Qurane Majid me farmata hai: 1). ❝ Aur yaad karo jab hum (Allah) ne farishton ko hukm diyaa ki Aadam ko sajda karo tou sab ne sajda kiya siwaaye iblis ke jo munkir huwa aur guroor kiya aur kaafir ho gaya. ❞ [Surah Baqrah 2:34] 2). ❝ Takkabur se apne…
Qasam Ka Kaffara .... ♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! Allah Tumhe Nahi Pakdta Galatfehmi Ki Qasmo Par, Haa! Unn Kasmo Par Pakad Farmata Hai Jinhe Tumney Mazbut Kiya Ho, Tou Aesi Qasam Ka Badla 10 Miskeeno Ko Woh Khana Khilana Jo Tum Apne Ghar Me Apne Liye Pasand Karte Ho, Ya Unhe Kapde Dena, Ya Ek Ghulaam Aazad Karna. Tou Jo Inme Se Kuch Na Kar Paye Tou 3 Din Ke Roze Rakhe. - (Al-Ma'ida, Ayat 89) • Sabak: Lihaza Apni Qasmo Ki Hifazat Karo Aur Bila Jarurat (Yaani Choti Choti Ya Mamuli Baat Par) Qasme Na Khaya Karo, Jab Intehayi Jarurat Pad Jaye Tab…
Ilm Gayab Nahi Hota Jab Tak Ke Chupaya Na Jaaye ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Maine Pucha - “Ya Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Kaun Hai Woh Sabse Kismat Wala Jisko Aap Ka Waseela(Sha’afa) Milega Qayamat Ke Roz ?" Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Sab Se Kismat Wala Jo Mera Waseela(Shafa'at) Haasil Karega Qayamat Ki Roz Wo Hoga Jo Apne Dil Se Yeh Qubool Karega Ki, Allah Ke Siwa Koi Ibadat Ke Layak Nahi”. *Phir Umar Bin Abdul Aziz Ne Abu Bakr Bin Hazm Ko Likha “Hadees Ka Ilm Rakho Aur Usey Likhte Rehna, Kyunki Mai Darta Hu…
Achchi Baaton Ka Hukm Do Magar Khud Bhi Amal Karo ♥ Mafhoom-e-Hadees: Usama Bin Zaid (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya "Qayamat Ke Din Ek Shakhs Laya Jayega Phir Wo Jahannum Me Dala Jayega Uske Pait Ki Aantein (Intestine) Bahar Nikal Aayegi, Wo Unko Liye Huye Gadhey Ki Tarah Jo Chakki Peesta Hai Chakkar Lagayega Aur Jahannum Waley Uskey Paas Ekaththey Hongey Uss Sey Puchengey 'Ki Aye Falah! Kya Tu Achchi Baat Ka Hukm Nahi Karta Tha Aur Buri Baat Se Manaa Nahi Karta Tha ?' Wo Kahega Mai Tou Aisa Karta Tha Lekin Dusron Ko Achchi Baat Ka Hukm Karta Tha Aur Khud…