Apne Maa Baap ko UFF tak na kehna Al-Quran: Apne Maa Baap ko UFF tak na kehna ✦ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ✦ Allah Rabbul Izzat Quraan-e-Majid me farmata hai: Aur tere Parwardigaar ne huqm de rakha hai ke Mere Alaawa kisi ki Ibadat na karna aur apne Maa Baap se Acchha Sulook kiya karna, Agar Unme ka ek ya dono teri maujoodagi me Budhaape ko pahunche (toh unki khidmat karte hue) Tum unko 'Uff' tak bhi na kahna aur na unko zhidakna aur na unko taqleef dena Aur Muhabbat se…
Hadees: Jhooth se bacho, jhooth Gunah tak le jata hai Jhooth se bacho, jhooth Gunah tak le jata hai Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Jhooth se bacho, isliye ke jhooth Gunah tak le jata hai aur Gunah Jahannum tak le jata hai." 📕 Muslim, Hadees 6805
Neki aur Parhezgari ke kaamo me ek dusre ki madad kiya karo Neki aur Parhezgari me ek dusre ki madad karo Allah Taala Quran me farmata hai: "Neki aur Parhezgari ke kaamo me ek dusre ki madad kiya karo.Aur Gunaah wa Zulm par Madad naa karo!,Aur Allah se Daro, Beshaq Allah ka Azaab Sakht hai.” 📕 Surah Maida 5:2
Jo Qurbani ka Irada rakhe wo Zilhujja ka chand nazar… Hadees: Umm Salama (R.A.) se riwayat hai ke, Allah Ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ❝ Jis ke paas Qurbani ka Janwar ho aur woh Usey Eid me Zabah karne ka iradah rakhta ho tou woh Zulhijja ka Chaand nazar aa jane ke baad Qurbani kar lene tak hargiz apne Baal aur Nakhun me se kuch na katein. ❞ 📕 Sahih Al Muslim, Hadees 1977
Ek Momin dusre momin ke liye Imarat ki tarah hai Ek Momin dusre momin ke liye Imarat ki tarah hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Ek Momeen dusre Momin ke liye Imarat ki tarah hai, Uska ek hissa dusre hisse ko Quwwat pahuchata hai." 📕 Sahih Muslim, Hadees 2556
Islam kya hai, Eman aur Ehsan kya hai ? Islam kya hai, Eman aur Ehsan kya hai ? Hadees: Hazrat Umar Bin Khattab (R.A) Riwayat Karte Hain Ki, Ek Roz hum Huzoor Nabi-e-Akram (ﷺ) ki khidmat me haazir they. Achanak ek Shakhs humaari mehfil me aaya, uske kapde nihayat safed, baal gahre syaah they. us par safar ke kuch asraat numaya’n na they aur hum me se koi usey pahchaanta bhi nahin tha. Aakhirkaar woh shakhs Aap (ﷺ) ke saamne aake ghutne se ghutne mila kar baith gaya aur usne…
Namaz Qayam karo Fazr se isha tak Namaz Qayam karo Sooraj Dhalne se Raat ke andhere tak aur Quran padho Fazar ke Samay jo Farishto ke haziri ka waqt hota hai...
Momin Dusre Momin Ka Aaeena Hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai – Momin Dusre Momin ka Aaeena (Mirror) hai aur Momin Dusre Momin ka Bhai hai Jo Nuksaan ko Uss se Door karta hai aur Uski Gair-Moujudgi me uski Hifazat karta hai.” – (Sunan Abu Dawud, Vol-3, Hadith.1486) ✦ Subhan'Allah ! Aayine ki Misaal bohot hi Hikamt bhari hai, aur wo ye hai ke: jab hum Aaeene ke samne jatey hai tou wo humara mazak nahi udata , balki humare Aibo ko humare samne pesh…
Takkabur kya hai aur takabbur karna kisko zeba deta hai ? Takkabur kise kehte hai ? Jawaab: khud ko Afzal aur dusron ko Haqeer samjhne ka naam Takabbur hai. ✦ Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmatey hai ki "Takabbur haq ki Mukhalifat aur logon ko Haqeer jaan ne ka naam hai." [Sahih Muslim: Hadith 91] Allah Rabbul Izzat Takabbur ke talluk se Qurane Majid me farmata hai: 1). ❝ Aur yaad karo jab hum (Allah) ne farishton ko hukm diyaa ki Aadam ko sajda karo tou sab ne sajda kiya siwaaye iblis…
Jo kuch duniya me hai wo lanat kiya hua hai siwaye… Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Duniya maloon (yaani lanat ki huyee ) hai aur jo kuch duniya mein hai wo bhi maloon hai, siwaye Allah Subhanahu ke Zikr ke aur jisko Allah subhanahu pasand farmata hai (yaa jo uske zikr ke liye mufeed ho) aur siwaye Aalim ke, aur ilm sikhne wale ke ( in sabke siwa jo bhi hai wo maloon hai)" 📕 Sunan Ibn Majah, Jild 3, 993-Hasan
♫ Ramzan me Roze ki Halat me Hum*bis*tari karne ka… Ramzan me Roze ki Halat me Hum*bi*stari karne ka Gunaah aur uska Kaffara Roze ki Halat me miya biwi ka aapas me hum*bi*stari karna kitna bada gunah hai, aur uska kaffara kya hai ? tafseeli jankari ke liye is mukhtasar se audio bayan ka mutala kare. jazakAllahu khairan kaseera. Aur bhi Dekhe: ♫ Roza na rakhne ki kisko Chhut hai? ♫ Roza koun log nahi rakh sakte aur Bewajah Roza Chorne ka Azab ♫ “Roza Lag raha” Bolna kaisa hai?…
Hadees: Jis Qoum me Sood aam ho jata hai, us me… Hadith: 10-April: Abdullah bin Masood (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jis Qoum me Sood (interest/usury) aam ho jata hai, us me Pagal pan ki bimari phail jati hai. 📕 Al Kabair Liz Zahabi: 1/61
Gusoole Jumah: purey hafte ki taharat ۞ Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya: "Jis ne Jumuah ke din Ghusul Kiya tou wo agle Jumuah tak (Gunah o Masiyat ki Gandagi se) Paak ho Gaya." 📕 Sahih Ibn Hibban: 1222, Hasan Al-Albani
Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani… Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani Aag ko bujha deti hai ۞ Hadees: Ka'b bin Ujrah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Sadqa Gunaahon ko iss tarha khatam kar deta hai jis tarah paani Aag ko bujha deti hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi 614; Grade: Hasan
Beparda Baaligh Aurton ki Dua qubool nahi hoti jab… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Beparda Baaligh Aurton ki Dua qubool nahi hoti RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke, "Allah Ta'ala tab taq unn Baaligh Aurton ki Dua qubool nahi karta, jab taq wo Hijab (parda) ekhtiyar na kar le." 📕 Abu Dawood, Hadees 641