Jo Qurbani ka Irada rakhe wo Zilhujja ka chand nazar se Eid tak baal aur nakhun na katein

✦ Mafhum-e-Hadees:

Umm Salama (R.A.) se riwayat hai ke, Allah Ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
Jis ke paas Qurbani ka Janwar ho aur woh Usey Eid me Zabah karne ka iradah rakhta ho tou woh Zulhijja ka Chaand nazar aa jane ke baad Qurbani kar lene tak hargiz apne Baal aur Nakhun me se kuch na katein.

📕 Sahih Al Muslim-1977

✦ Beharhaal! Jo Hazrat Qurbani ka Irada rakhte hai wo Aaj (02 Aug 2019) magrib se pehle hi baal aur nakhun kaat. yah baat dusro ko bhi yaad dilaye, Allah humari ibadat aur qurbani ko qabool kare. ameen.

Leave a Reply