Behtareen Amal: Sila Rehmi karo aur Muaf kiya karo
Hadeese Nabwi ﷺ
Aqbaa bin Aamir (R.A) Kehte hain Ki,
Mai RasoolAllah (ﷺ) ki Baargaah me Hazir hua aur Aap ka Mubarak Haath Thamkar Arz kiya:
“Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Mujhe Behtareen Amaal Bataaiye.”
Aap (ﷺ) ne farmaaya: “Aqbaa!
∗ 1. Qata-e-Taalluk Ke Karne Wale (Tumse Rishta Todne Wale) Se Sila Rahmi Karo,
∗ 2. Jo Tumhe Mehroom Kare Usey Ataa Karo.
∗ 3. Jo Tum Par Zulm Kare Usey Muaf Kar Do.”