Bimari, Takleef aur Pareshani se Gunah Maaf ho Jate hai
✦ Bukhaar Momin ko Gunaaho se paak kara deta hai:
Abu Huraira (R.A) ne farmaya ki, Rasool-e-kareem (ﷺ) ke paas bukhar ka charcha kiya gaya, tou ek shakhs ne bukhar ko bura kaha.
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Bukhaar ko bura na kaho !, iss liye ki wo (Momin ko) Gunaaho se iss tarah paak kar deta hai, jaise Aag lohe ki mail ko saaf kar deta hai.”
📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 3598
✦ Bimar ki Ayadat ka Sawab:
1). Abbas (RaziAllahu anhu) se bayan farmate hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) jab kisi Bimaar ki Ayadat ke liye tashrif le jaate tou farmate, “koi darr nahi! bimaari gunaahon se paak karne waali hai.”
📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 7470
2. Abdullah (RaziAllahu anhu) bayan karte hai ki, Mai Nabi (ﷺ) ke paas unki Bimaari me gaya tou Aap ko Tez Bukhar tha. Maine arz kiya, ‘Huzoor! Aapko tez bukhar hai, iss liye aapko dohara sawaab milega? .’ Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya “Haa koi Musalman aisa nahi hai jo kisi pareshani me ho tou Allah uske Gunaaho ko aise door kar deta hai, jaise paidh (tree) se pattey jharh jate hai.”
📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 5661
✦ Gunaho ka Kaffara hai Bimaari, Takleef aur Marz:
Har Bimaari Allah ki taraf se hoti hai aur Momin ke liye Gunaaho ka Kaffara ban jati hai.
1). Abdullah ibne Masud (R.A) ne kaha ki, Rasool-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ki: “Nahi pahuchti Musalmaan ko koi takleef, marz ya uske siwa kuch aur! lekin Allah Ta’ala uss ke chote Gunaaho ko jhaad deta hai, jaise darkht (tree) se patte jhadte hai.”
📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 5660
2). Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Allah jis Bande ke sath bhalai karna chahta hai tou isey apni taraf se Bimaari(Aazmaisho) me mubtila kar deta hai.”
📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 5645
3). Abu Said Al-Khudri aur Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Musalmaan ko Ranz, Dukh, Fikr aur Gham pahunchta hai yahan tak ki agar usey kaanta bhi lagta hai tou wo taklif uske Gunhaon ka Kaffara ban jati hai.”
Wajahat:
Lihaja hume Bimari aur Sehat dono surate haal me Allah Ta’ala ka Shukr ada karna chahiye. Bimari Aazmaish bhi hai aur Gunaaho ka kaffara bhi. hume har haal me Sabr-o-Shukar ada karna chahiye. in 2 kamo se Allah Ta’ala humare Gunaah bhi mita deta hai aur Aakhirat me Azar-e-azeem bhi ata farmata hai.
♥ in sha Allah ul Azeez ! Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada amal ki toufik de. Ameen.