Contents
💠 Bismillah-Hirrahman-Nirrahim 💠
❌ Garibi ke Dar se Aulaad ka Qatl Mat karo
Allah Ta’ala Qur’an-e-Kareem mein irshad farmata hai:
“Aur logo! Muflisi (Garibi) ke khauf se apni aulaad ko qatl na karo. Kyunki unko bhi aur tumko bhi rozi hum hi dete hain. Beshak aulaad ka qatl karna bohot sakht gunaah hai.”
— Surah Bani Israel, Aayat 31
👧👦 Allah har kisi ko Aulaad Apni Hikmat se deta hai
Allah Qur’an mein farmata hai:
“Saare Aasmaan aur Zameen ki hukumat sirf Allah ki hai. Wo jo chahta hai paida karta hai — jise chahta hai sirf betiyan deta hai, jise chahta hai sirf bete deta hai. Aur jise chahta hai, dono (bete-betiyan) deta hai. Aur jise chahta hai be-aulaad rakhta hai. Beshak woh sab kuch jaane wala, har cheez par qudrat rakhne wala hai.”
— Surah Ash-Shura, Aayat 49-50
Aulaad Ka Qatl Gunah-e-Kabira Hai
Huzoor Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya:
“Sabse bada gunaah yeh hai ke Allah ke saath kisi ko shareek thahraya jaye. Uske baad sabse bada gunaah yeh hai ke insaan apni aulaad ko khane-peene ke khauf se qatl kare.”
— Bukhari Sharif, Jild 3, Baab 576, Hadees 939, Safa 345
Islam hamesha zindagi dene aur mohabbat ka dars deta hai. Aulad ek amanat hai — unka qatl, chaahe kisi bhi wajah se ho, na-jaiz aur gunaah-e-kabira hai. Garibi ya tangdasti Allah ki taraf se ek imtihaan hai, har shakhs ke rozi zamin khud Allah hai.
Allah Taala hume kehne sunne se jyada amal ki taufik de. ameen.