♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah-Bin-Umar (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Ek Shakhs Ne Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Poocha ke:
“Kaun Sa Islam Behtar Hai ?”
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Yeh Ke Tu Bhukhe Aur Mehmaan Ko Khana Khilaye
Aur Har Shakhs Se Assalaam-O-Alaykum(Salaam) Karey
Chahe Tu Uss Ko Pehchanta Ho Ya Na Pehchanta Ho..”
– (Sahih Muslim Shareef: Jild-1, Page-138’139, Hadees no.160)
*Sabaq: Baab-Khazayil Islam Ki Fazeelat Aur Uss Baat Ka Bayaan Ke Islam Me Kaun Se Kaam Afzal Hai.