Beti ki Parwarish par Jannat ki Basharat
۞ Hadees: Abdullah Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai ki,
Nabi-e-Kareem (ﷺ) Irshad farmate hai –
“Jisey Ladki Ho aur Wo Usey Zinda Dafan na kare,
Na Usko Zaleel Samze aur Na Ladke ko Uss par Ahmiyat dey
Tou Allah Ta’ala Usko Jannat me Dakhil Karega..”
– (Abu Dawood, Jild 3, Hadees 1705, Safa 616)
Behan ya Beti ki Parwarish ka Silah
۞ Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya –
“Jis (Musalman) ne Apni Ek bhi Ladki ya Behen ki Parwarish ki
Aur Usey Sharai Aadab Sikhaya, Unsey Pyar wa Mohabbat se Pesh Aaya
Aur Unki Shadi (Nikah) Karaa di tou Allah Ta’ala Usey
Jarur Jannat me Dakhil karega.”
– (Abu Dawood, Jild#3, Baab#578, Hadith no. 1706, Safa#617)
Beti Jahannum se Aad banengi
۞ Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya –
“Jo (Musalman) Log Apni Bachchiyo ko Pyar wa Muhabbat se Parwarish karenge
tou Woh Bachchiya Unke Liye Jahannam se Aad(Deewar) ban jayengi.”
– (Tirmizi Sharif, Jild#1, Baab#1279, Hadith no. 1980, Safa#901)
♥ Subhan’Allah! Allah Rabbul Izzat Hum Sabko Kehne Sun’ne se Jyada Amal ki taufik de…