Allah Ke Sath Kisiko Sharik Na Bana .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Shakhs Ne Aakar Allah Ke (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Darkhwast Ki, Ya Rasool'Allah! Mujhe Wasiyat Farmayi Jaye!, *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - ∗ Allah Ta'ala Ke Sath Kisiko Sharik Na Bana Agar Tujhe Kaat Diya Jaye Aur Jala Diya Jaye!, ∗ Waliden Ki Nafarmani Na Kar, Agarche Wo Tujhe Tere Ghar Aur Maal Wa Daulat Ke Chhorney Ko Kahe Tou Sab Kuch Chorr De, ∗ Sharaab Kabhi Na Pi, Kyoki Yeh Har Burayi Ki Kunji…
Hadees: Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke… Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! Jabir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! kahin qubooliyat ka waqt ho aur Allah us bad-dua ko qubool kar le (phir tum pachhtaate raho)." 📕 Muslim, Hadees 7705
Jis me Fahash ho, woh us ko Aibdaar bana deti hai: Hadees Jis me Fahash ho, woh us ko Aibdaar bana deti hai Hadees: Anas (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: "Jis me Fahash (behoodah baate ya sakht kalaami) ho, woh us ko Aibdaar bana deti hai aur jis me Hayaa ho, woh us ko Khoobsoorat bana deti hai." 📕 Tirmizi, Hadees 1974
Hadees: Jo koi apne Ghulam ko Zulm se marega tou… Hadith: 16-April: Ammar bin Yasir (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jo koi apne Ghulam (naukar wagaira) ko Zulm se marega tou Qayamat ke din maalik se badla liya jayega. 📕 Musnade Ahmed 1399
Jab tumhari Nekiyan Tumhe Khush kare ... Jab tumhari Nekiyan Tumhe Khush kare Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab tumhari Nekiyan Tumhe Khush kare aur Tumhare Gunah Tumhe Ranjeedah kare tou tum momin ho." 📕 Silsila Saheeha; Hadees: 550
Hadees: Jisne Ramzan ke Roze rakhe aur is ke baad… Hadith: 6-June: ✦ Roman Urdu: Abu Ayyub (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jisne Ramzan ke Roze rakhe aur is ke baad Shawaal ke 6 Roze rakhe tou goya is ne poore saal ke roze rakhe." ✦ हिंदी हदिस: अबू अयूब (र.अ) से रिवायत है के, अल्लाह के रसूल (ﷺ) ने फ़रमाया: " जिसने रमज़ान के रोज़े रखे और इस के बाद शवाल के 6 रोज़े रखे तो गोया इस ने पूरे साल…
Sood khane walo ka Anjam - The Punishment for… ✦ Hadith Roman Urdu: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne irshaad farmaaya ke: ❝Jis Raat mujhe Meraj hui mera guzar ek aise giroh par huwa jin ke pait Gharon ki tarah hain aur un mein Saanp bhare huwe hain jo baahar se nazar aate hain, Mai ne Jibraeel se poochha ke yeh kaun log hain? (jo aise Azaab mein mubtila hain) unhon ne batlaaya ke yeh Sood khor log hain.❞ (Sunan Ibn Majah 2273) ✦ Hadith English:…
Hadees: Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke… Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaoge Abu Darda (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaoge, isiliye acche naam rakha karo." 📕 Abu Dawood, Hadees 4948
Jab kisi ko Halal Riqz ka Zariya mil jaaye to Khushi… Jab kisi ko Halal Riqz ka Zariya mil jaaye to Khushi se Qabool kar le RasoolAllah (ﷺ) farmate hai, "Jab kisi ko (Halal Riqz ka) koi Zariya mil jaaye to woh Us ko (khushi se) Ikhtiyaar kar le (Chaahe kum hi kyun na ho)." 📕 Ibne Maaja, Hadees: 2147
Ramadan Day 28 | Namaz-e-Eid se pehle diya hua… Ramadan Hadees: Day 28 Namaz-e-Eid se pehle diya hua Sadqa-e-Fitr Qabool hua ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Ibn Abbas (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jisne Namaz-e-Eid se pehle Sadqa-e-Fitr ada kiya uskaSadqa maqbool hua, aur jo namaz ke baad ada kare touaam Sadqe mein se ek Sadqa hai." 📕 Sunan Ibn Majah 1827-Hasan
Zikr-e-Illahi ke siwaye Kasrat-e-Kalam Dil ko Sakht… ✦ RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Zikr-e-Illahi ke siwaye Kalam ki Kasrat (bahut zyada baat Karne ) se bacho! kyunke Zikr-e-Illahi ke siwaye Kasrat-e-Kalam Dil ko Sakht Bana deta hai aur logo mein Allah Subhanahu se Sabse zyada door Sakht Dil wala hoga." - (Jamia Tirmaizi Jild 2, 2411-hasan) ✦ रसूलअल्लाह (सलल्लाहु अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: "ज़िक्रे इलाही के सिवाए कलाम की कसरत (बहुत ज्यादा बात करने ) से बचो! क्यूंकि ज़िक्र इलाही के सिवाए कसरते कलाम दिल को सख्त बना देता है और लोगो में…
Khane me Barqat ke Adab ke liye Chaaro Taraf Kono Me… 📖 Mafhoom-e-Hadees (Roman Urdu) Abdullah bin Busr (R.A.) se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ke paas ek (khane ka) bartan laya gaya. Aap ﷺ ne farmaya:“Chaaro taraf kono mein se khao aur upar ka hissa chhor do, jis se barakat hoti hai.”(Sunan Ibn Majah, Hadith 3275) 📖 मफहूम-ऐ-हदीस (हिंदी) अब्दुल्लाह बिन बुस्र (र.अ.) से रिवायत है कि रसूलअल्लाह ﷺ के पास एक (खाने का) बर्तन लाया गया। आप ﷺ ने फ़रमाया:“चारों तरफ कोनों से खाओ और ऊपर का हिस्सा छोड़…
Uski 40 Raaton tak Namaz Qabool nahi hogi Uski 40 Raaton tak Namaz Qabool nahi hogi Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki: "Jo Shakhs kisi Ghaib ki khabrein sunaane waale ke paas aaye aur us se kisi cheez ke baare me puche to 40 Raaton tak uss shakhs ki Namaz Qabool nahi hoti." 📕 Sahih Muslim; Hadees 2230 (5821)
Khana khane ke Adab | RasoolAllah (ﷺ) ne kabhi… Hadees: Hazrat Abu Hurairah (R.A) farmate hain: "Allah ke Rasool (ﷺ) ne kabhi bhi Kisi Khane mein Aib nahi Lagaya, Jab Aapko Pasand Aata tou Kha Lete nahi tou Chhor dete." 📕 Tirmizi, Hadees: 2031 Sahih