Apni Aulaad Ka Naam Behtar Rakha Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Beshaq! Tum Roze Qayamat Apne Naamo Aur Apne Baapo Ke Naamo Se Pukare Jaoge Tou Apne(Baccho Ke) Naam Ache Rakha Karo.." - (Imaam Ahmed, Abu Dawood, Jild 3, Bab 485, Hadees 1513, Safa 550) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Aadat-e-Kareema Thi Ki, Aap Burey Naam Badal Diya Karte They. - (Tirmizi, Jild, Safa 301, Abu Dawood, Jild 3, Hadees 1517, Safa 551) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Ibne Umar (Razi'Allaho Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Allah Ta'ala Ko Tamaam Naamo Me Se…
Maa Baap Par Laanat Karne Se Bacha Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmate Hai - "Gunaho Me Se Bada Gunaah Yeh Hai Ki Aadmi Apne Maa-Baap Par Lanat Kare, Logon Ne Kaha - 'Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Bhala Kaun Apne Maa Baap Par Lanat Karega ?' *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Matlab Ki, 'Ek Shakhs Dusre Ke Baap Ko Gaali De! Aisa Hai Ki Woh Apne Baap Ko Gaali De, Aur Dusre Ki Maa Ko Gaali De! Aisa He Ki Woh Apni Maa Ko Gaali De'." -@[156344474474186:] (Sahih Bukhari, Kitab-Ul-Adab, Hadees No#5973) # SABAQ: Kisi Ke Maa-Baap Ko Gaali…
Maa-Baap Ki Khidmat ♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Aur Jhukey Rakhna Unn Dono (Maa-Baap) Ke Liye Apne Kandhe Rahem Ke Sath, Aur Dua Karte Rehna." - (Sureh Al-Isra, Aayat-24) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Amr (RaziAllahu Anha) Se Riwayat Hai Ki, Ek Aadmi Ne Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Khidmat Me Haazir Hokar Arz Kiya - "Mai Hijrat Ki Baith Karne Ke Liye Aapki Khidmat Me Haazir Hun, Aur Apne Maa-Baap Ko Rotey Hue Chhor Kar Aa Gaya Hun" *Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Waapas Jaao, Aur Jis Tarah Unhey Rulaaya Hai, Usi Tarah Unhe Hasaao". - (Sunan Nisai, Kitabul Bait, Baab Bait…
Hadees: Jo koi apne Ghulam ko Zulm se marega tou Qayamat ke… Hadith: 16-April: Ammar bin Yasir (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jo koi apne Ghulam (naukar wagaira) ko Zulm se marega tou Qayamat ke din maalik se badla liya jayega. 📕 Musnade Ahmed 1399
Aurat Ka 3 Din Se Jyada Tanha Safar Karna Jayaz Nahi ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke - "Jo Aurat Allah Aur Qayamat Ke Din Par Emaan Rakhti Hai Uss Ke Liye Yeh Halaal Nahi Ke Wo Apne Baap, Bhai, Shohar, Bete, Ya Kisi Mehram Ke Bagair 3 Din Ya Iss Se Ziyada Ka Safar Kare" - (Sahih Muslim, Hadith no. 3270, Page#901) • Wajahat: Ulma-e-Karam Ne Iss Ki Hadd Kilometer Me 92km Bayan Farmaee Hai. Wallahu Aalam!
Paanch (5) Azeem Nekiyon Ka Hukm .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshaad Farmaya - "Kaun Hai Jo Mujhse Ye Baate Sikhey, Phir Unpar Amal Kare Ya Unn Logo Ko Sikhaye Jo Unpar Amal Kare"? *Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Farmate Hain Ki, Maine Arz Kiya: "Ya Rasool'Allah ! Mai Tayyar Hoon". Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Mera Haath Apne Mubarak Haath Me Le Liya Aur Gin Kar Ye Paanch (5) Baate Irshaad Farmayi ,... ∗(1) Haraam Se Bacho ! Tum Sabse Bade Ibadat Guzaar Ban Jaoge. ∗(2) Allah Ne Jo Kuch Tumhe Diya Hai Us Par Raazi…
Hadith: Jo shakhs apne aap ko bada samjhta hai ya Takabbur… Hadith: 27-April: Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jo shakhs apne aap ko bada samjhta hai ya Takabbur ke saath akad kar chalta hai, Qayamat ke din woh Allah Taala se is haal me milega ke Allah Taala us se Naraz hoga. 📕 Al-Adab al-Mufrad 549
Apne Darmiyan Salaam Ko Phailao ..... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Qasam Hai Uss Zaat Ki Jiske Qabze Me Meri Jaan Hai! *Tum Jannat Me Tab Tak Dakhil Nahi Ho Sakte Jab Tak Ki EmaanWale Na Ho Jaye, *Aur Tum Tab Tak EmaanWale Nahi Ho Saktey Jab Tak Aapas Me Mohabbat Na Karne Lag Jao, *Tou Kya Mai Tumhe Aisee Baat Na Bataa Du Ki, Jab Tum Usko Karoge Tou Aapas Me Mehboob Ho Jaoge ,... "Apne Darmiyan Salaam Ko Phailao"(Yaani Zyada Se Zyada Salaam Kiya Karo). - (Sunan Ibn Majah, Vol#1, Hadith no.…
Qasam Sirf Allah Ki Khaye ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Umar (RaziAllahu Anhu) Ne Bayan Kiya Ki , Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Mere Waalid Umar-Bin-Al-Khattab Ke Paas Aaye Tou Kya Dekha Ki Wo Kuchh Logon Ke Saath Chal Rahe Hain Aur Apne Waalid Ki Qasam Khaate Jaa Rahe Hain. *Ye Sunkar Aap Ne Farmaya - "Suno! Allah Paak Ne Tum Logon Ko Apne Baap-Dada Ki Qasmein Khaane Se Manaa Kiya Hai,.. Jisko Qasam Khani Hii Hai Wo Sirf Allah Hii Ki Khaaye Warna Chup Rahe..." - (Sahih Al-Bukhari, Hadith no.6646)
Baap (Waalid Sahab) Ka Martaba Aap sabhi ne maa ki shaan me bohot hi azeem baate suni hongi lekin baap (waalid) ke baarey me shayad zyada baatey aam nahi. Islam me Baap ka Martaba ∗ Baap ka Ehtiraam karo taake tumhari Aulad tumhara ehtram kare. ∗ Baap ki izzat karo taake iss se faida utha sako. ∗ Baap ka hukm mano taake khush haal reh sako. ∗ Baap ki sakhti bardash karo taake kaabil ban sako. ∗ Baap ki baate gour se suno take dusro ki na sunni pare. ∗ Baap ke samne uncha mat bolo warna allah tum ko nicha kar dega. ∗ Baap…
Apne Maa Baap ki Kabhi Nafarmani Na karna Hadeese Nabwi ﷺ Apne Maa Baap ki Kabhi Nafarmani Na karna Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmatey hai: "Apne Maa-Baap ki Kabhi Nafarmani Na Karna, Chahe Woh Tumko Ghar aur Maal Wa Jaydaad Chhodne ka Huqm Dein." 📕 Musnad-e-Ahmad: Hadees 21570 • Note: Bashartey Baat Khilaf-e-Shariyat Na ho
Hadith: Tum apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye… Hadith: 30-March: Jabir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Tum apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! kahin qubooliyat ka waqt ho aur Allah us bad-dua ko qubool kar le (phir tum pachhtaate raho). -Muslim 7705
Diye huye Tohfe Waapas Na Le ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah bin Amr bin Aas (RaziAllau Anhu) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Tum me se koyi bhi apne diye huye Tohfe ko waapas na le ! siwaye ek baap ke (Jo diya hua tohfa waapas le sakta hai) apni Aulad se." - (Sunan Ibn Majah, Hadith no. 2378) # Takhreej: 1. Kisi ko tohfa dekar wapas lena sahi nahi hai bhale tohfa mamooli ho ya mehenga. 2. Ek Baap apni aulad ko diya hua tohfa wapas le sakta hai. 3. Yahi Qanun Maa ke liye bhi hai apni aulad ko diye huye tohfe…
Buraai Ka Anjaam Bhi Bura Hoga .... ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Phir Jin Logo Ne Buraai Ki Unka Anjaam Bhi Bura Hua Isliye Ke Allah Ki Aayaton Ko Jhootlaate Aur Unki Hansi Udaate Rahe The. Allah Hi Khalqat Ko Pehli Baar Paida Karta Hai Wo Hi Uss Ko Phir Paida Karega Phir Tum Ussi Ki Taraf Laut Jaoge. Aur Jis Din Qayamat Barpa Hogi Gunehgar Na-Umeed Ho Jayenge. Aur Unn Ke Banaye Hue Shareekon Me Se Koi Unn Ka Sifarishi Na Hoga Aur Wo Apne Shareekon Se Na Motaqidd Ho Jayenge. Aur Jis Din Qayamat Barpa Hogi Uss Roz Wo Alag Alag Firqe Ho Jayenge. Tou…