Poore Gharwalo ki Taraf se ek hi Qurbani karna kaisa hai? Poore Gharwalo ki Taraf se ek hi Qurbani karna kaisa hai? Hadees: Hazrat Abu Ayyub Ansari (R.A) farmate hain: "Nabi ﷺ Ke Zamane Mein Aadmi Apni Taraf se aur Apne Ghar Walon ki Taraf se Ek Bakri ki Qurbani karta tha." 📕 Sunan Ibne Majah, Hadees : 3147 Sahih
Momino ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti… Hadees of the Day Momino ki Misaal ek dusrey par Reham wali hoti hai No’man bin Bashir (R.A) riwayat karte hai ki,Huzoor Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya: "Momineen ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti rakhne aur Shafqat ka mujahira karne me ek Jism ki tarah hai, chunanche jab Jism ke kisi bhi hisse ko takleef pahunchti hai tou saara jism bekhwaabi wa bukhaar me us ka shareeq hota hai." Muttafaque Alayh – Bukhari As-Sahih, 05/2238, Raqam-5665, Muslim As-Sahih, 04/1999, Raqam-2586 Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 04/270…
Ramadan Day 8 : Rozedar ko Iftar karane ki Fazilat… Hadees: RasoolAllah (Sallallahu Alaih Wasallam) ne farmaya " Jo koi kisi Rozedaar ko iftar kara de tou uss ko Rozedaar ke Barabar Sawab Milega, aur Rozedaar ke sawab mein se koi kami nahi hogi ." [Sunan ibn e Maja, 1746]
Jiske Dil me Jarrey Barabar bhi Guroor Hoga Wo… Allah khubsurat hai aur khubsurti ko pasand karta hai Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya Ke,"Jis Aadmi ke Dil me Jarrey Barabar bhi Guroor Hoga Wo Jannat me nahi Jayega!". Ek Aadmi ne Kaha 'Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! "Hum me Har Aadmi yah Chahta hai ki, Uska Libaas Accha ho, Jutaa Accha ho tou kya yah Ghuroor hai ?" Aap (ﷺ) ne farmaya "Allah Ta'ala Khubsurat hai aur Khubsurti ko Pasand karta hai,"Guroor…
Safar aur Bimaari me Roz-Marra ki Ibadaton ka Sawaab Hadees: Ibrahim Abu Isma'il As-Saksaki (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki: "Jab Banda Bimaar hota hai ya Safar karta hai tou uskey liye unn tamam Ibadaton ka Sawaab likha jata hai jinhe Sehat ke Waqt kiya karta tha." 📕 Sahih Bukhari; Hadees 2996
Hadith: Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us… Hadith: 8-April: Abu Masood Ansari (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us shakhs ko bhi amal karne wale ki tarah sawab milega. -Abu Dawood 5129
Qaheen ki Baato par Yakeen karna Kufr hai Qaheen ki Baato par Yakeen karna Kufr hai Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Kisi Kaahin (Mustaqbil Batane Wale/Jyotish) ke Paas jaye aur Uski Baaton ko Sacha Maan Le tou Usne Muhammad (ﷺ) par Naazil Shuda (Deen) ka Inkaar kar diya." 📕 Sunan Ibn Maaja, Hadees: 639 (Hasan)
Paani Pilaney ka Sawaab Hadees-e-Nabwi (ﷺ) Paani Pilaney ka Sawaab Abu Huraira (R.A) kehte hain ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya - "Ek Kutta Kuve ke Aas-Paas Ghum raha tha aur pyaas ki wajah se marney ke qareeb tha ke, Bani-Israeel ki Ek Zaniya Aurat (prostitutes) ne ess ko dekh kar apna Juta (Shoe) utaar kar kuve se paani khich kar uss ko pila diya, Allah Taala ne essi wajah se ess Aurat ki Magfirat kar di." 📕 Sahih Muslim, Hadees 5578 📕…
Kharch karnewalo ke liye Farishton ki Dua Allah ki Raah me kharch karne ki Fazilat Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Koi din aisa nahi jata ke jab bandey subah ko uthte hai tou 2 farishtey aasmaan se na utarte ho, ek Farishta yeh kehta hai ke Aye Allah! (Khairat/Zakaat/Sadaqat) kharch karne wale ko is ka badla de, aur dusra farishta kehta hai, Aye Allah! Kanjush (Baqeel) ke maal ko barbaad karde." 📕 Bukhari Shareef, Hadees: 1442
Maal ko Kharch karo aur Gin Gin kar Na rakho: Hadees Maal ko Kharch karo aur Gin Gin kar Na rakho ۞ Hadees: Asma (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Maal ko (Jayaz) Kharch kar, gin gin kar na rakh, warna Allah Ta'ala tujhe bhi gin gin kar dega (phir Rozi se Barqat khatm ho jayegi) aur Maal ko rok kar na rakh, Warna Allah Taala tujhse Rizq ko rok lega." 📕 Bukhari, Hadees 2591
Sadqa wa Khairat Museebat ke Sattar (70) darwaze… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Salallahu Alaihi Wasallam) farmate hai ke, “Sadqa wa Khairat Museebat ke sattar (70) darwaze band kar deta hai” – (Tabrani Kabir, 6724) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) फरमाते है के, “सदका व खैरात मुसीबत के सत्तर (70) दरवाज़े बंद कर देता है” – (तबरानी कबीर, ६७२४) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Kisi Musalman ke Aib Chupaane ka Sawaab: Hadees ۞ Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) Irshad farmatey hai ki, "Jo Aadmi kisi Musalman ke Aib ko Dekh le aur phir Usey Chhupaye tou isey Allah Ta’ala Itna Ziyada Sawaab ata karega jaise Zinda dafnayi bacchi ko Qabr se Nikal kar uski Parwarish kare aur uski Zindagi ka Saamaan kar dey." 📕 Mishkat 2-424
Ramadan Day 26 | Rozdaro ko Lagu aur Behuda Baaton… Ramadan Hadees: Day 26 Rozdaro ko Lagu aur Behuda Baaton se Paak karne ke liye Sadqa e Fitr ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai ke, "RasoolAllah (ﷺ) ne Rozdaro ko Lagu aur Behuda Baaton se Paak karne ke liyeaur Miskeen ko khilane ke liye Sadqa-e-Fitr mukarrar farmaya." 📕 Sunan Ibn Majah 1827-Hasan
Tum doosron par kharch karte raho, Allah tum par… Tum doosron par kharch karo, Allah tum par kharch karega Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke: "Allah Taala ne farmaaya: Aye logo! tum doosron par kharch karte raho, main tum par kharch karta rahunga." 📕 Bukhari, Hadees 5352
Har Nek Kaam me Sadqa hai ... Hadees Of The Day Hadees: Har Nek Kaam me Sadqa hai … Abu’zar (R.A.) ne kaha ke,Rasool’Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke - Apne Kisi (Musalman) Bhai ke Samney (Khushi se) tumhara Muskura dena ye bhi Sadqa hai.Aur kisi ko Acchi Baat ka Hukm Dena aur boori baat se rokna ye bhi Sadqa hai, Aur kisi Bhatke hue ko Rasta bata dena ye bhi Sadqa hai.Aur kisi Andhe ki Madad kar Dena ye bhi Sadqa hai, Aur Raste se Patthar…