Hadees about Allah ki Raah me kharch karne ki Fazilat

Kharch karnewalo ke liye Farishton ki Dua

Hadees of the Day

Allah ki Raah me kharch karne ki Fazilat

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

“Koi din aisa nahi jata ke jab bandey subah ko uthte hai tou 2 farishtey aasmaan se na utarte ho, ek Farishta yeh kehta hai ke Aye Allah! (Khairat/Zakaat/Sadaqat) kharch karne wale ko is ka badla de, aur dusra farishta kehta hai, Aye Allah! Kanjush (Baqeel) ke maal ko barbaad karde.”

📕 Bukhari Shareef, 1442

4.9/5 - (21 votes)
Allah Ki Raah Me Kharch Karne ki Misaal

Allah Ki Raah Me Kharch Karne ki Misaal

Aaj ki Aayat | Verse of the Day

Allah Ki Raah Me Kharch Karne ki Misaal

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“Unki Misaal Jo Apne Maal Allah ki Raah me Kharch karte hai Uss Dane ki tarah hai Jisko 7 Baali nikley Aur Unn har Baaliyon me se Sou-Sou Daane nikle Aur Allah Uss se bhi Zyada Barhaaye jiske liye chahe aur Allah Wus’at Wala Ilm Wala hai.”

📕 Sureh Baqrah 02:261

» Wajahat: *Allah ki Raah me Kharch Karnewale ke Talluk se Iss Ayat me Allah Ta’ala Ek Misaal ke Tehat Farmata hai –
“Ke Koi Shakhs Ek Dana(Beej) Zameen Me Boye aur Uss Daane se 7 Baliya Nikal aayi aur Har Baaliyon me 100-100 Daane hai.

Matlab Agar Isey 7 Se Multiple karey Tou 700 Gunaa Azr Yaa Uss se bhi Jayada Uss Beej Bone Wale (Yaani Allah Ki Raah Me Kharch Karnewale) ko milta hai … ” (Subhan’Allah!!!)

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!! Allah Rabbul Izzat Hume kehne Sun’ne se Jyada Amal Ki Taufeeq dey. Ameen

5/5 - (2 votes)
Sadqa dene walo ka Silah Rab ke paas hai

Sadqa dene walo ka Silah Rab ke paas hai

Aaj ki Aayat | Verse of the Day

Sadqa dene walo ka Silah Rab ke paas hai

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“Jo Log Apna Maal Allah ki Raah me Kharch karte hai, Phir Kharch karne ke baad na tou Ahsaan Jatlaate hai aur Na Takleeef pahunchaate hai, Unka Silah tou unke Rab ke yahan hai hi, aur Qayamat ke din Unko na tou koi khauf hoga aur na woh Ghamgeen honge.”

📕 Surah Baqrah 2:262

Read More

5/5 - (3 votes)
24 Muharram | Sirf Paanch Minute ka Madarsa

24. मुहर्रम | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा

तारीख: हजरत इस्माईल (अ.स), मुअजिजा : अहद नामे को कीड़े के खाने की खबर देना, एक फ़र्ज़ : गुस्ल के लिए तयम्मुम करना, एक सुन्नत : खुशखबरी सुन कर दुआ पढ़ना, अहेम अमल : जुमा के दिन सूरह कहफ पढ़ना, अल्लाह की आयतों को न मानने का गुनाह …

Allah ki Raah me Kharch Karne se Maal kum nahi hota

Allah ki Raah me Kharch Karne ki Fazilat

Hadees of the Day

✦ Allah ki Raah me Kharch Karne se Maal kum nahi hota

Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya ki, Allah Subhanahu Ta’ala farmata hai

“Aye Aadam ke Betey! Kharch kar ki Mai bhi Tujh par kharch Karunga” aur Rasool’Aallah (ﷺ) ne farmaya “Allah ka Haath (Dast-e-Qudrat) bharaa hua hai (Raah-e-Haq Par) Raat Din Kharch karney se kuch kum nahi hota.”

📕 Sahih Muslim, Vol 3, Hadees no. 2308

Read More

5/5 - (5 votes)

Maal ko Kharch kar, Gin Gin kar Na rakh, warna

Hadees of the Day

Maal ko Kharch kar, Gin Gin kar Na rakh, warna

۞ Hadees: Asma (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

Maal ko (Jayaz) Kharch kar, gin gin kar na rakh, warna Allah Ta’ala tujhe bhi gin gin kar dega (phir Rozi se Barqat khatm ho jayegi) aur Maal ko rok kar na rakh, Warna Allah Taala tujhse Rizq ko rok lega.”

📕 Bukhari 2591

5/5 - (12 votes)