“Aye Nabi (ﷺ) ! Keh do ke Logon Mai Tum Sab ki taraf Allah ka bheja hua Hoon Yaani Uss ka Rasool Hoon. Wo Jo Aasmano aur Zameen ka Baadshah hai.
Uss ke Siwa koi Mabood nahi Wohi Zindagani Bakhashta hai aur Wo Hi Mout deta hai.
Tou Allah par aur Uss ke Rasool Paigambar Ummi par Jo Allah par aur Uss ke Tamaam Qalaam par Emaan Rakhte hai Emaan Laao aur Unn ki Pairwi karo taake Hidayat paao.”
Maal ko Kharch karo aur Gin Gin kar Na rakho: Hadees Maal ko Kharch karo aur Gin Gin kar Na rakho ۞ Hadees: Asma (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Maal ko (Jayaz) Kharch kar, gin gin kar na rakh, warna Allah Ta'ala tujhe bhi gin gin kar dega (phir Rozi se Barqat khatm ho jayegi) aur Maal ko rok kar na rakh, Warna Allah Taala tujhse Rizq ko rok lega." 📕 Bukhari, Hadees 2591
Hadees: Quran ki tilawat karo, yeh Qayamat ke din… Hadith: 19 -July: Abu Umama (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ❝Quran ki tilawat kiya karo, is liye ke yeh Qayamat ke din tilawat karne waalo ke haq me Sifarish karega.❞ 📕 Sahih Muslim 804
Behtareen Amal: Sila Rehmi karo aur Muaf kiya karo Behtareen Amal: Sila Rehmi karo aur Muaf kiya karo Hadeese Nabwi ﷺ Aqbaa bin Aamir (R.A) Kehte hain Ki, Mai RasoolAllah (ﷺ) ki Baargaah me Hazir hua aur Aap ka Mubarak Haath Thamkar Arz kiya:"Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Mujhe Behtareen Amaal Bataaiye." Aap (ﷺ) ne farmaaya: "Aqbaa!∗ 1. Qata-e-Taalluk Ke Karne Wale (Tumse Rishta Todne Wale) Se Sila Rahmi Karo,∗ 2. Jo Tumhe Mehroom Kare Usey Ataa Karo.∗ 3. Jo Tum Par Zulm Kare Usey Muaf Kar Do." 📕 Mukashifat-ul-Quloob,…
Apne Amaal ko Barbaad naa karo Apne Amaal ko Barbaad naa karo "Aye Imanwalo! Allah ki Ita'at karo aur Uske Rasool (ﷺ) ki Itaat karo, aur (Nafarmani kar ke) apne amaal ko barbaad na karo." 📕 Quran 47:33
Tumhare RAB ne farmaya hai ki Mujhse Dua karo ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ "Aur tumhare RAB ne farmaya hai ki Mujhse Dua karo Main tumhari Dua Qubul karunga." - Al-Quran 40:60 ♥ Mafhoom-e-Hadees: Thabit (RaziAllahu Anhu) se rivayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Tum me se har shakhs ko chahiye ki wo apni tamam hajatein apne RABB se hi maange, yaha tak ki namak bhi us se maange, aur agar jute ka tasma (less) bhi tut jaye tou wo bhi usee se maange.." - Jamia tirimizi, Jild…
Murdo Ke Liye Maghfirat Talab Kiya Karo ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jab Kisi Mayyat Ki Tadfin Se Farigh Ho jatey Tou Uski Qabr Ke Paas Ruktey Aur Farmate: "Apne Bhai Ke Liye Maghfirat Talab Karo Aur Uske Liye Sabit Qadmi Ki Ilteja Karo, Kyun Ke Ab Us'sey Sawaal Kiye Jayenge.." - (Sunan Abu Dawood, Hadith No:3221)
Allah ka Naam Lekar Darwaze Band kiya karo Kyunki ... Allah ka Naam Lekar Darwaze Band kiya karo Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Allah ka Naam Le Kar Darwaze Band kiya karo, Kyunki Shaitan Aise band Darwaze ko Nahi khol Sakta.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 3304
Shaitan ki Pairwi karne walo se bacho Shaitan ki Pairwi karne walo se bacho Allah Taala ka farman hai ke: "Jo Shakhs Shaitani Qadmo ki pairwi kare to Behayayi aur Burey kaamo ka hee hukm karega." 📕 Surah Noor 24:21
Apni badhai aur taarif na kiya karo Apni badhai aur taarif na kiya karo Hadees: Zainab Binte Abi Salma (R.A) se mairwi ki,Unka naam badah (Nekokar) tha, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Apna tazkiya na karo (Yaani apni badhai aur taarif na karo) Allah ko malum hai ki tum me bura aur neki wala koun hai, uska naam Zainab rakh do." 📕 Islami Akhlaq-O-Aadab, Page No#269, Hadith 17 Allah Taala hum sabko kehne sunne se jyada amal ki toufiq de. Ameen Allahumma ameen.
Namaz Qayam karo Fazr se isha tak Namaz Qayam karo Sooraj Dhalne se Raat ke andhere tak aur Quran padho Fazar ke Samay jo Farishto ke haziri ka waqt hota hai...
Padosiyon Ko Takleef Dene Se Baaz Aaya Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ahmad Wa Baiheqi Ne Shoaib-Ul-Imaan Me Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Ki, *Ek Shakhs Ne Arz Kiya - "Ya Rasool'Allah ! Falani Aurat Ke Mutallik Zikr Kiya Jaata Hai Ki Namaz-Wa-Roza Wa Sadka Kasrat Se Karti Hai Magar Ye Baat Bhi Hai Ki Wah Apne Padosiyon Ko Zubaan Se Takleef Pahunchati Hai..." *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Wah Jahannam Me Hai..." *Unhone Kaha - "Ya Rasool'Allah ! Falani Aurat Ki Nisbat Zikr Kiya Jaata Hai…
Waade ko poora karo, Beshak poochh hone waali hai Wade ke baare me Beshak poochh hone waali hai "Ahad (Jayaz Waade) ko poora kiya karo; beshak (aise) ahad ke baare mein (tum se) poochh taachh hone waali hai." 📕 Surah Al-Isra 17:34
Al-Quran: Logon ke saath Neki karo, beshaq Allah… Quran: 18-June: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ‟(Logon ke Saath) Neki ikhtiyar karo, Beshaq Allah Neki karnewalo se Mohabbat karta hai.' 📕 Surah Baqrah 2:195
Sadqa Karo! Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa… Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa nahi lega Hadees: Haritha Bin Wahab (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Sadqa Karo! Ek aisa Zamana bhi Tum par aane wala hai, Jab Ek Shakhs apne Maal ka Sadqa le kar Niklega aur koi Usey Qubool karney wala nahi payega. Jiskey paas Sadqa le kar jayega Wo ye Jawaab dega kiAgar Tum Kal Usey laye hotey tou Mai Qubool kar leta Aaj tou Mujhe uski Jaroorat…