» Jawaab: Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke – ★ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ka Haq Bando Par Ye Hai Ke Sirf Usi Ki Ibadat Karey, Aur Kisiko Uska Shareek Na Thehraye.. Aur Bando Ka Haq Allah Par Ye Hai Ke Jo Koyi Shirk Na Karey Usey Azaab Na Dey. – (Bukhari:2856, Muslim:30)
♥ Al-Quraan: “Jo Log Emaan Laaye Aur Apne Emaan Ko Zulm Se Mahfooj Kiya
Unke Liye Aman Hai Aur Wahi Hidayat Paney Wale Log Hain..” – (Surah 6 Al-An’am, Aayat-82)
Kya tum log Aakhirat ki zindagi ke muqable dunia ki… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ अल्लाह तआला कुरआन में फरमाता है: ❝ क्या तुम लोग आखिरत की ज़िन्दगी के मुकाबले दुनिया की जिन्दगी पर राजी हो गए ? दुनिया का माल व मताअ तो आखिरत के मुकाबले कुछ भी नहीं। ❞ ❝ Kya tum log Aakhirat ki zindagi ke muqable dunia ki zindagi par razi ho gaye ? Dunia ka maal wa matah to aakhirat ke muqable kuch bhi nahi. ❞ 📕 Surah Taubah 9:38 (इस लिये किसी इन्सान के लिये मुनासिब…
Walidain ka Apni Aulaad par kitna Haq hai ? Hadees of the Day Walidain ka Apni Aulaad par kitna Haq hai ? Hazrate Abu Umama (R.A) riwayat karte hain ki,Ek aadami aaya aur uss ne arz kiya: Ya RasoolAllah (ﷺ)! Waliden ka apni Aulaad par kitna haq hai ? Aap (ﷺ) ne farmaya - "Woh (Maa-Baap) donon teri jannat hain aur dozakh." (yaani unki khidmat kar ke jannat haasil kar lo ya nafarmaani kar ke dozakh ke mustahiq ho jawo). 📕 Ibn Majah As-Sunan, 02/1208, Raqam-3662,📕 Mundhiri at-targhib wat-tarhib,03/216,…
Haq par hote hue Jhagda chor do Haq par hote hue Jhagda chor do Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Main Us Shakhs Ke Liye Jannat Mein Ek Mahel Ka Zimmedar Hun Jo Haq Par Hote Hue Zagda Chhod De.” 📕 Sunan Abu Dawood, Hadees 4800 (Sahih)
Sirat-e-Mustaqeem par Shaitan jyada behkata hai Hadees : Sirat-e-Mustaqeem par Shaitan jyada behkata hai Ek Sahabi ka inteqal hota hai, Nabi-e-Kareem (ﷺ) uss Inteqal me jaate hai, aur abhi Qabr khud rahi thi ke RasoolAllah (ﷺ) uss mitty par baith jate hai, Aapke hath me ek tehni thi, aap uss tehni ke jarye Zameen par uss mitty par kuch banane lagey, Sahaba gour se dekhne lage ke RasoolAllah (ﷺ) kya kar rahe hai. Sahaba ne dekha ke Aap (ﷺ) ne ek sidhi lakeer banayi, aur daaye…
Imaanwalo ko Chahiye ke Allah hi par Bharosa rakhe ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ "Agar Allah Tumhari Madad kare to koi tumpar Galib aa nahi sakta, aur agar woh tumhe chorr de tou fir koun hai jo uske siwa tumhari madad kar sake, tou Imaanwalo ko Chahiye ke Allah hi par Bharosa rakhe" - (Quran; Surah Aale Imran; 3:160) ♥ बिस्मिल्लाह अर्रहमान निर्रहीम ♥ "यदि अल्लाह तुम्हारी सहायता करे, तो कोई तुमपर प्रभावी नहीं हो सकता। और यदि वह तुम्हें छोड़ दे, तो फिर कौन है जो उसके पश्चात तुम्हारी सहायता…
Hadees: Haq baat na manna aur logon ko haqeer… Hadith: 5-May: Ibne Masood (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Haq baat na manna aur logon ko haqeer samjhna Takabbur(ego) hai. -Muslim 275
Aye Allah Ke Bando! Bhai-Bhai ho kar Raho Aye Allah Ke Bando! Bhai-Bhai ho kar Raho Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke,Nabi (ﷺ) farmate hai, "Aapas me Ek Doosre se Bugz-o-Dushmani na rakho aur na hi Ek Doosre se Hasad karo aur na ek doosre se talluk todo aur Aye Allah ke bando! bhai bhai ho kar raho. aur kisi musalman ke liye ye jayaz nahi ke 3 din se jyaza apne kisi bhai se rishta tode rakhe (baat band rakhe)." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees…
Agar Allah apne Bando ki Nafarmaniyo par unhe Pakad Leta ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ “Aur agar Allah apne Bando ki Nafarmaniyo par unhe Pakad Leta to Zameen par kisi ek Jaandar ko baaki na rakhta, magar Allah tou ek Muqarrar wakt tak un sabko mohlat deta hai fir unka wah Wakt aa pahuchega tou Na ek Ghadi pichey hat sakte hai aur na hi Aagey badh sakte hai” – (Al-Quran, Surah Nahl 16:61) ♥ बिस्मिल्लाह अर्रहमान निर्रहीम ♥ “यदि अल्लाह लोगों को उनके अत्याचार पर पकड़ने ही लग जाता तो धरती…
Do Padosiyo me se kiska pehla Haq ? ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummaha-tul-Momineen Aayesha (RaziAllahu Anha) se rivayat hai ki mainey pucha: "Ya Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Mere Do Padosi hai, Unmein se kiskey paas mai Hadiya (Tohfa) bheju ?" Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Jiska Darwaza tujhse jyada Qareeb hai.." - (Sahih Bukhari, Vol 3, Hadith no.2259)
Halaqat Ka Bhawar Na'haq Khoon Karna Hai .... ♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Aur Jo Koi Kisi Momeen Ko Jaan Boojh Kar (Intentionally) Qatl Karey Uski Saza Dojakh Hai Jismein Wo Hamesha Rahega Uss Par Allah Ka Ghazab Aur Uski Lanat Hai Aur Allah Ne Uskey Liye Bada Azaab Tayyar Kiya Hai". - (Surah An-Nisa (4), Ayat-93) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Umar (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey hai - "Halaqat Ka Bhawar Jismein Girney Ke Baad Phir Nikalney Ki Ummed Nahi Hai Wo…
Padosi ka haq Hadees: Jab Tum Salan Pakao Tou… Jab Tum Shorba (Salan) Pakao Tou Padosiyon ko bhi do ۞ Hadees : Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : "Jab tum Shorba (Salan) Pakao tou usme paani jyada rakho aur padosiyon ko bhi yaad karo (diya karo)." 📕 Sahih Muslim, Hadees 6688 (2625)
Bani Israyil Par Allah Ka Gazab Aur Humare Halaat *Aaj Hum Jis Halat Se Guzar Rahe Hai ,.. Aakhir Uski Kya Wajah Hai Jis Se Humara Rab Humse Naraz Hai Aur Zalim Hukmrah Humpar Musallat … Aayiye Iske Talluk Humse Pichli Ummat Bani Israyeel Ki Halaqat Ki Missal Par Gour Karte Hai ,.. # Bani Israyil Par Allah ke Gazab Ka Pehla Wada : "Bani Israyil Humse Pahle Allah Ki Chuninda Qoum Thi,.. Allah Ne Inke Andar Ambiya Bheje, Aur Inhe Digar Qoumo Ki Imamamt Ka Jimma Diya,.. -…
Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta: Hadees Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Tumhara Rab bahuth Ba'haya aur Kareem hai, jab uska banda uske Saamne apne dono haath Uthata hai tou Unhen khali Lautate huye Usey apne bande se haya Aati hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 1488-Sahih WAJAHAT: Iss Aahadees me Haya se murad Allah Apne bando ki koi bhi fariyad (Dua) zaya nahi karta, jiske talluk se ek aur riwayat me aata hai ke - Hadees: Allah…
Momino ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti… Hadees of the Day Momino ki Misaal ek dusrey par Reham wali hoti hai No’man bin Bashir (R.A) riwayat karte hai ki,Huzoor Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya: "Momineen ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti rakhne aur Shafqat ka mujahira karne me ek Jism ki tarah hai, chunanche jab Jism ke kisi bhi hisse ko takleef pahunchti hai tou saara jism bekhwaabi wa bukhaar me us ka shareeq hota hai." Muttafaque Alayh – Bukhari As-Sahih, 05/2238, Raqam-5665, Muslim As-Sahih, 04/1999, Raqam-2586 Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 04/270…
Kyu Hum par Zaalim Hukumra Musallat hai ? ... Kya Sahaba ke dour me bhi yahi haal tha? Moujuda Haalat me Ummat-e-Muslima par Dushmane Deen jis tarah Zulmo-Sitam kar rahi hai, kya Sahaba ke dour me bhi yahi haal tha, Kya Sahaba bhi humesha magloob rahe? Aayiye Sahaba ki tareekh par gour karte hai. Sahaba (RaziAllahu Anhu) ko Allah Rabbul Izzat ne Quraan me farmaya ke: "Walaqad Qatabna fil zaburi, (zaboor ki misaal dekar kaha tha ke) “humne zaboor me ye cheez likh di thi ke 'hum zameen ko…