Sood Khane Waalo ka Qayamat me Anjaam Sood Khane Waalo ka Qayamat me Anjaam "Jo Log Sood Khatey Hain Wo Qayamat Ke Din Uss Shakhs Ki Tarah Uthengey Jinhey Shaitan ne Lipat kar Deewana Bana liya ho Yeh Haalat Unki Iss Wajah se hogi ki Unhoney Kaha tha ki Kharid wa Farokht bhi Sood ki tarah hai, Jabki Allah Ta'ala ne Khareed aur Farokht ko Halaal Qarar diya hai aur Sood ko Haraam phir Jisko Uskey Rab ki Naseehat Pahunchi aur Wo (Sood Lene se) Baaz aa…
Sood Na Khao Aur Allah Ta'ala Se Daro Bismillah-Hirrahman-Nirrahim"Momino! Badha Chadha kar Sood naa Khao aur Allah Ta'ala se Daro Taake Tumhe Nijaat Miley.aur Uss Aag se daro jo Kafiron ke liye Tayyar ki Gaee hai.Aur Allah aur Uske Rasool ki Farmabardaari karo taake Tum per Reham kiya jaaye,Aur Apne Rab ki Bakshish ki taraf aur Uss Jannat ki taraf Daudo jisska Araz Aasamano aur Zameen ke Baraabar hai jo Parhezgar ke kiye Tayyar ki gaee hai".[ Surah Al-Imran, 3:130-133 ]
Jo Tum Bura Karoge Woh Tumhare Saath Rahega Ek Aurat Hamesha Jab Apne Ghar Waalo Ke Liye Roti Pakaati Tou Ek Roti Khidki Ke Bahar Rakh Deti, Yeh Soch Kar Ki Koi Bhuka Faqir Aayega Tou Ye Roti Utha Kar Le Jayega Aur Dua Dega. Jab Woh Aurat Khidki Par Roti Rakhti Tou Ek Faqir Waha Par Aata Aur Uss Roti Ko Utha Kar Chal Deta. Aur Bolte Jaata Ki "Jo Tum Bura Karoge Woh Tumhare Saath Rahega Aur Jo Tum Accha Karoge Woh Tum Tak Laut Aayega".…
Kaamil imaan waale woh log hain jin ke Akhlaaq sab… Kaamil imaan waale woh log hain jin ke Akhlaaq sab se acchhe hain Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Kaamil imaan waale woh log hain, jin ke akhlaaq sab se achchhe hain aur tum mein sab se achchhe woh log hain, jo apni biwiyon ke saath achchha bartaao karte hain." 📕 Jami` at-Tirmidhi, Hadees 1162
Al-Quran: Allah ne Tijarat ko Halal kiya aur Sood ko Haram Allah ne Tijarat ko Halal kiya aur Sood ko Haram Allah Taala Quran me farmata hai: "Allah Taala ne Tijarat (Business) ko Halal kiya hai aur Sood ko Haram karar diya hai." 📕 Surah Baqraah 2:275
Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh Tum tak pahunch kar rahegi Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh Tum tak pahunch kar rahegi Allah Ta'ala Quran-e-Majid me farmata hai: “Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh to Tumhein Pahunch kar Rahegi,phir Tum Sab Chhupe khule ke Janne wale (Allah) ki taraf Lautaye jaoge aur Woh Tumhein Tumhare kiye hue Tamaam kaam bata dega.” 📕 Quran, 62:8
Aksar logo ka Bahana | Aksar log Humari Aayato se… Aksar logo ka Bahana "Arey Bhasahab! hum Maantey hai ke Mazarparsti (Qabrparsti) ki Talim Islam me nahi milti! lekin aaj Aksar Log kayi zamane se karte aa rahe hai tou kya wo galat ho sakte hai ? .." Masha'Allah ! Isi Tarha ke Jawabat Hume Logon se Miltey hai jab unse pucha jata hai ke falah-falah amal jo Qurano Sunnat se sabit nahi jisey aap Deen samjh ke karte ho tou "Aksar Logo ka Bahana" batakar humare kayi hazrat apne…
Jis me Fahash ho, woh us ko Aibdaar bana deti hai: Hadees Jis me Fahash ho, woh us ko Aibdaar bana deti hai Hadees: Anas (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: "Jis me Fahash (behoodah baate ya sakht kalaami) ho, woh us ko Aibdaar bana deti hai aur jis me Hayaa ho, woh us ko Khoobsoorat bana deti hai." 📕 Tirmizi, Hadees 1974
Aise Hi Log Khuli Hui Gumrahi Me Hai .... ♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Bhala Jis Insan Ka Sina Allah Ne Islam Ke Liye Khol Diya Hai Bas Wo Apne Rab Ki Taraf Se Aaye Hue Noor Ki Roshni Me Hai,. Ab Jin Logon Ke Dil Allah Ke Zikr Se Bhi Asar Nahi Karte, Un Ke Liye Badi Kharabi hai, Aise Hi Log Khuli Hui Gumrahi Me Hai ,.." - [Surah(39) Zumar; Aayat(22)]
Jo Shakhs Shab e Qadr ki Raat se Mehroom Raha woh ... ۞ Hadees about Shab e Qadr ki Raat: Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Is (Shab-e-Qadr ki) Raat se Mehroom raha woh har tarah ki Khair aur Barkat se Mehroom raha." 📕 Ibne Majah : 1644-Sahih
Tum me se sab se acche log wah hai jo ... ♥ Hadees-e-Nabvi (ﷺ) : Nabi-e-Kareem (Salallahu Alahi wasallam) farmate hai, “Tum me se sab se acche log wah hai, jo Qarz ki adayegi ke muamle me acche ho” – (Muslim, Hadees: 4195) ♥ हदीसे नबवी (ﷺ) : नबी ऐ करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया, “तुम में से सबसे अच्छे लोग वह है, जो क़र्ज़ की अदाएगी के मुआमले में अच्छे हो” – (मुस्लिम, हदीस: 4195)
Qayamat me RasoolAllah ﷺ ke Sabse Qareeb aur Door… Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Tum me se mujhe sab se zyada Mehboob aur Qayamat wale din mere sab se zyada Qareeb wo log honge Jo tum me se Akhlaaq me sab se zyada acche hongey. Aur tum me se sabse zyada mujhe Napasand aur qayamat wale din mujh se sabse zyada door wo log honge jo Takllluf se zyada baate karne wale, bacchey khol kar taweel guftagu karne wale aur takabbur karne…
Momin Aurto se keh do Woh Apni Nigaahein nichi rakhe aur... Momin Apni Nigaahein nichi rakhe ‟Momin Aurto se keh do ke woh Apni Nigaahein nichi rakhe aur apne Sharmgah ki hifazat kare aur apni Zeenat ko kisi par Zaahir na kare." 📕 Surah Noor 24:31
Sabse bada sood Aaj ki Hadees | Hadees of the Day Sabse bada sood ✦ Said ibn Zayd (R.A) se rivayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Sab se bada sood ye hai ke Aadmi Nahaq kisi musalman ki Beizzati kare." 📕 Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1448-Sahih
Al-Quran: Jo log Imaan laaye aur Nek amal kiye woh… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Imaan aur Nek Amal Wale: Makhlooq Mein Sabse Behtar Allah Taala Quran me famata hai: "Jo log Imaan laaye hain aur unhon ne Nek amal kiye hain, woh beshaq saari makhlooq me sab se behtar hain." 📕 Al-Baiyinah 98:7