✦ Hadith: Abdullah bin khubayb (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‘Subah aur sham 3 baar Surah Al-Ikhlas , Surah Al-Falaq aur Surah An-Nas padh liya karo, ye tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi (yani har tarah ki pareshaniyo se bachne ke liye ye kaafi hain)
📕Sunan Abu dawud, Jild 3, 1643-Hasan
✦ Hadith: Uqba bin Amir (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: “Har Namaz ke baad Aakhri teen Surah yani Surah Al-Ikhlas, Surah Al-Falaq aur Surah An-Nas padha karo.”
📕 Silsila Ahadees-e-Sahiha, 2776
Related Posts: