♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Zyada Na Hasaa Karo, Iss Liye Ke Ziyada Hasna Dil Ko Murda Bana Deta Hai”.
– [Reported by Ibn Majah, no. 4193; Silsilah as-Sahihah, no. 506]
#Hiqmat: Beharhaal Iss Baat Se Aap aur Hum Tamam Muttafiq Hai Ke –
Har Cheez Ka Ek Dayra Hai! Jab Tak Wo Apne Dayre Me ho
Tab Tak Usme Humare Liye Khair Hai,
Aur Dayre se Bahar Nikal Gayi Tou usme Sirf Sharr Hi Baaqi Reh Gaya,..
*Isi Tarha Khushbakthi Acchi Cheez Hai Jabtak Ke Ye Apni Hudood Me ho,..
Lekin Jab Khushali Apne Hudood Ko Paar Kar dey
Tab Insan ke Barbadiyo Ka Bayis Ban Jati Hai ,..
*Tou Lihaja Hume Chahiye Ke Khushi Ho ya Gam
Shariyat Ke Hudood Me Rehte Inka Haq Ada Karey ,..
Warna Kahi Aisa Na ho Ke –
Duniyawi Khwahisyo Me Hum Iss Qadar Mubtela Ho jaye
Ke – Akhirat ki Fiqr Se Gafil Rahne Lagey ,..
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!
Allah Rabbul Izzat Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ,..