Sunnat Ki Ahmiyat : Part 13

RasoolAllah (ﷺ) ki Mukhalifat karne waley koun?

Ek Aayat me Allah Rabbul Izzat farmata hai:

۞ Al-Quran: ۞ 

Aye Nabi (ﷺ) ! Agar Ye Log Aap ki Baat na maney! tou Allah aise Kaafiro se mohabbat hi nahi karta.

Surah Imran 3:32

Gour Karna Chahiye Hume, Ke Jo Shakhs RasoolAllah (ﷺ) Ki Baat Na Maney ,.. Aur Muuh Pher Ke Chaley Jaye Tou Allah Aise Kaafiro Se Mohabbat Hi Nahi Rakhta Hai.. Unhe Kaafir Kaha Allah Rabbul Izzat Ne…

– Kufr Bhi Bohot Sangeen Jurm Hai.. Lekin Ek Jurm Iss Se Bhi Jyada Sangeen Hai Aur Uska Tazkeera Aaya Quraan Me Aur Allah Ne Unn Logon Ko Jo Allah Aur Uskey Rasool Ke Faisley Ke Baad Bhi Baat Na Maney Unhey “Munafiq” Kaha.

Aur Munafiqeen Ke Talluk Se Hum Jantey Hai Ke –

Munafeeq Wo hai jo Jahannum ke Sabse Nichley Gadhey me Rahne waley hai.

Al-Quran 4-145

Is sey Jyada Hume Aur Kya Mill Sakta Hai RasoolAllah (ﷺ) Ki Nafarmani Kar ke ,.. (Allah Khair Kare)

Sunnat-e-Rasool ke Munkeer ka Duniya me Hashr:

Ab Aayiye Ye Bhi Jaan Letey Hai Ke RaoolAllah (ﷺ) Ki Sunnat Aur Ita-at Ko Chorrkar Hum Duniyawi Kya Nuqsaan Uthayenge?

Aayiye Chand Baatey Quraan Ki Roshni Me Aapke Saamne Rakhne Ki Koshish Karte Hai ,..

۞ Al-Quran: ۞ 

Keh Do Ke! Allah aur Uskey Rasool ki Ita-at karo! aur Apne Aamaal ko Barbaad na karo.

Surah Mohammad 47:33

– Yaani Allah Aur Uskey Rasool Ki Nafrmaani Karke Apne Amaal Ko Barbad Na Karo..

*Isi Tarha Allah Rabbul Izzat Ek aur Ayat me farmata hai:

۞ Al-Quran: ۞ 

Aye wo Logon jo Imaan laye ho! Gour se suno ke Allah aur uskey Rasool jis taraf tumhe bulatey hai uss taraf jao, jab ki Allah ke Rasool (ﷺ) uss Cheez ki taraf tumhe bulatey hai jo tumhe zindagi deti hai duniya aur aakhirat ki.

Agar tum aisa na karoge tou jaan lo ke Allah Insan aur uskey Dil ke bich me Aad ban jata hai, usko Hidayat se door kar deta hai aur yaad rakho ke palat kar Allah hi ki taraf jana hai tum sab ko.

Surah Anfal: 8:24

– Tou Agar RasoolAllah Ki Ita’at se Baarbaar Gurez(Neglect) Kiya Kisiney tou Allah Haayal (Aad) Ho Jata hai Insan Aur Uskey Dil Ke Bich Me Aur Usey Hidayat Ki Taraf Aaney Nahi Deta.

Is se Pehle ke ye ho jaye Sunnat Ko Chorr Chorr Kar ke Hidayat Se Hum Door Ho Jaye Hume Jaruri hai ke Sunnat Ko Thaam Le Aur Laazim Samjhey.

# In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!

*Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal ki Toufiq ata Farmaye!!!

To be continued …


Leave a Reply