Sunnat Ki Ahmiyat : Part 11

Allah Raabul Izzat ne Ita-ate Rasool ke Talluk se Quraan-e-Kareem me farmaya:

۞ Al-Quraan ۞

Jisney RasoolAllah (ﷺ) ki Ita’at ki bus Usney Allah ki Ita-at ki.

Surah An-Nisa 4:80

Wajahat: Iss Aayate Mubarak se yeh Baat Wajeh hoti hai ke ,

RasoolAllah (ﷺ) Ki Ita-at Goya Allah Ki Ita-at Hai aur RasoolAllah (ﷺ) Ki Farmabardari Goya Allah ki Farmabardari Hai ,..

Aayiye Jaan Letey Hai Ke RasoolAllah (ﷺ) Kya Shakhsiyat hai ? aur Aapki Zaat-e-Mubarak Kya Hai? Aapka Muqaam Kya Hai ? …

Aap Wo Zaat-e-Mukaddas Hai: Jinki Wajah Se Jannat Ka Darwaza Khola Jayega Roze Qayamat,
Aap (ﷺ) Wo Shakhsiyat Hai Jo Sabse Pahle Jannat Me Dakhil Hongey,
Aap (ﷺ) Wo Shakhsiyat Hai Jinkey Jhandey Taley Roze Qayamat Tamaam Nabi aur Rasool Aur Unkey Ummati Aqwam(Jama/Hajir) Honge.

– Lekin Aaj Humney RasoolAllah (ﷺ) Ki Shakhsiyat Ki Kitni Nafrmani Ki Hai Aayie Jara Muhasba Kar Letey Hai .

*Aaj Humara Yeh Muamla Hai Ke RasoolAllah () Ki Sunnat Humari Zindagi Me Aa Bhi Jaye, phir bhi Hum Apne Man-maani Tareeke Par Zindagi Jeetey Rahenge.
– Kyunki Humarey Tou Bado Ne Yeh Kiya ,..
– Humare Khandan Ka Purana Tareeka Hai Ye ,..
– Humari Qaum, Samaj, Shahero Aur Basti Ka Tareeka Ye Hai …
– Lihaza Sunnat Hum Nahi Maan Saktey.. (Nauzubillah Summa Nauzibillah)

Yaha Allah Ta’ala Hume Uss Nabi Ki Sunnate Mubarak Par Amal Lazim Kar Raha Hai –
* Jo Tamam Aalam Ke Nabi Hai, Jo Imam-Ul-Ambiya Hai ,…
*Yeh Nabi Jab Meraz Me Jatey Hai Tou Tamam Ambiya (Alahi Salam) Ki Imamat Kartey Hai ,..

*Aise Nabi Ki Ita-at Allah Hum Par Lazim Kar Raha Hai,
– Aur Isi Nabi (ﷺ) Ki Baatey Chorrkar Hum Iski-Uski Aur Fala Fala Ki Baate Mantey Hai ..
– Quraan Aur Aahadees Ko Chorrkar Hum Jahilana Aqaid Par Imaan Latey Hai .. (Subhan’Allah) !!

Yaad Rakhiye Kalma La Ilaha IllAllah Muhammadur Rasoolullah” Ka Aadha Zuz Hai “Imaan-Birr-Rasool” Yaani RasoolAllah Par Imaan.

Aur Aaj Hum Kalma Tou Padhtey Hai RasoolAllah (ﷺ) Ka
– Lekin Tareeka Phir Kisi Aur Ka Ikhtiyar Karte Hai ,..

*Kalma Tou Padhtey Hai Rasool’Allah (ﷺ) Ka
– Fir Baat Kisi Aur Ki Mantey Hai ,..

*Kalma Tou Padhtey Hai RasoolAllah (ﷺ) Ka
– Lekin Apne Amaal Aur Ikhtilaf Me Kisi Aur Ke Paas Jaatey Hai ,..

*Kalma Tou Padhtey Hai RasoolAllah (ﷺ) Ka
– Aur Tamaam Zindagi Ke Shobey Aap Ki Sunnat Se Khali Hai ,..

*Aur Fir “La Ilaha IllAllah Muhammadur RasoolAllah” … Subhan’Allah !!!!

*Kya Yahi Mana(Meaning) Hai Is Kalme Ki ?
– Ke Sirf Kalma Padhke Iskey Takaazo Ko Zubaan Par Hi Khatm Kiya Jaaye ? …

*Yaad Rakhiye Agar Humne ‘Muhammadur Rasoolullah’ Kaha
Tou Humari Zindagi Ka Khatma Aur Zindagi Ka Har Pailu
Rasool’Allah (ﷺ) Ke Tareeke Par Hi Hona Chahiye ,..

*Yahi Iss Kalme Ka Sahi Asal Matlab Hota Hai ..
– Tou Goya “Jisney Rasool’Allah Ki Ita-at Ki Usney Allah Ki Ita-at Ki” ..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey!!

To be continued …


Leave a Reply