Insani Jism me 360 Joints ka Saboot ! 1400 saalo se hai Sunnat me Moujud

✦ Hadith : Ummahatul Momineen Ayesha (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:

❝Har Insan ki takhleeq me 360 Jod (Joints of Bones) banaye gaye hain, so jis ne Allahu Akbar kaha, Alhamdulillah kaha, La’ilaha Illa’llah kaha, SubhanAllah kaha, Astagfirullah kaha, Raaste se Patthar ya Kanta ya Haddi hata di, Acchi Baat ka Hukm diya yaa Buri Baat se roka tou ye Teen so Saath (360) jodon (Joints) ki ginti ke barabar (Shukr ada karne ki tarah) hai aur goya wo shakhs uss din apne aap ko Jahannum se aazad karwa kar chal phir raha hai.❞

Islam ki hakkaniyat ka inkar karnewalo ke liye ye baat apne aap me ek tajjub ka mouju raha hai ke 1400 saal pahle jab Science is haal me bhi naa thi ke insani jism ko scan kar sakey. Lekin us dour me Allah ne Apne Nabi (Salallaho Alaihi Wasallam) ke jarye Insani jism ke 360 joints ke bare me wo baat bayan kar di, jo aaj science tasleem kar rahi hai.

♥ Alhmdulillh ! aaj Medical Science me ek Mustaqil Shoba Anatomy Wujood me aa chuka hai jisne Insani jodo ki kul tadad 360 tasleem kar di. tafseeli jankari ke liye aap yaha diye hue calculations ka muta’ala karey.

Distribution of Human Body Joints

  • Part of the Body Number of Joints
  • Skull = 86
  • Throat and Neck = 6
  • Thorax = 66
  • Spine and Pelvis = 76
  • Hands, Arms and Fingers = 64
  • Legs, Feet and Toes = 62
  • (86+6+66+76+64+62 = 360)

Ref: Book – The Journey of Faith inside the Human Body by Dr. Hamid

Leave a Reply