♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Aye Emaanwalo! Hum Ne Jo Tumhe Rizq Diya Hai Uss Me Se Kharch Karo”.
– (Para-2 Surah-Baqrah Aayat-254)
» Mas’ala: Zakaat Ka Maal Dete Waqt Ya Alag Karte Waqt Zakat Ki Niyat Hona Zaruri Hai.
Niyat Ke Maana: Agar Koi Puchhe Tou Bata Sake.
– (Aalamgiri)
» Mas’ala: Agar Eid Ki (Chand) Raat Ko Bachcha Paida Hua Tou
Uska Bhi Sadqa-e-Fitra Dena Sahib-e-Is’te’ta’at Baap Par Waajib Hai.
– (Fatwa Hindiya)