Namazi ke Aage se Guzarne ka Gunah

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

✦ Hadith: Busr bin Sa’id se riwayat hai ke, RasoolAllah (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne farmaya:

‘Agar namazi ke saamne se Guzarne wale ko Guzarne ki Saza maloom ho jaaye to isey ek qadam aage badhne ki bajae 40 tak wahi khade rahna pasand ho.’ Abu an Nasr (RaziAllahu Anhu) ne kaha ke mujhe yaad nahi raha ke Basar bin Saeed ne 40 din kahi ya 40 mahine ya 40 saal.’

📕 Sahih Bukhari: al Salah 510,
📕 Sahih Muslim: al Salah 507


Guzarne walo ke liye Namazi ke aage Sutrah rakhe:

1). Hadith: RasoolAllah (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne farmaya:
‘Tum Namaz adaa karte waqt aage Sutrah khada karo aur agar koi shakhs Sutrah ke andar (ya’ani Namazi aur Sutrah ke darmiyan) se guzarna chahey to iski mazzamat karo aur usko aage se na guzrane do. Agar wo na mane to is se ladai karo. Beshak wo Shaitan hai.’

📕 Bukhari: al Salah 50,
📕 Muslim 505


2). Ek riwayat mein hai ke:
“2 baar to isko haath se roka agar wo na ruke to is se haatha paai se bhi gareez na kiya jaae (kyou’nke) wo shaitan hai.”

📕 (Ibn Khuzaymah 818) ne isey Saheeh kaha.


3). RasoolAllah (ﷺ) Sutrah aur apne darmiyan mein se kisi cheez ko guzarne na dete the.

Hadith: Ek baar Aap (ﷺ) Namaz ada farma rahe the ke ek Bakri daudti hui aai wo aapke aage se guzarna chaahti thee. Aap (ﷺ) ne apne batan e Mubarak (T: stomach) deewar ke sath laga diya to bakri ko sutrah ke peeche se guzarna pada.

📕 (Ibn Khuzaymah 827) Imam Hakim aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.


4). RasoolAllah (ﷺ) ki jaa-namaz aur deewar ke darmiyan ek bakri ke guzarne ka faasla hota tha.

📕 Bukhari: al Salah 496
📕 Muslim 508


5). Hadith: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
‘Agar namazi ke aage ounth ke palaan ki pichli lakdi jitna lamba sutrah na ho aur baaligh aurat, gadha ya siyah kutta aage se guzar jaae to namaz tuth jaati hai aur siyah kutta shaitan hai.’

📕 Muslim: al Salah 510


6). Hadith: Ayesha Siddiqa (RaziAllahu Anha) se riwayat hai ke ‘wo RasoolAllah (ﷺ) ke aage soti thee. Mere paou’n Aap ke samne hote they. Jab Aap (ﷺ) sajda karte to main apne paou’n samet leti aur jis waqt aap khade hote to paou’n phaila deti. Un dino’n gharo’n mein chirag nahi hote they.’

📕 Bukhari: al Salah 513
📕 Muslim: al Salah 512

Maloom hua ke Namazi ke samne se guzarna tou mana hai. Lekin agar aage koi leta ho to koi harz nahi.

Leave a Reply