Hadees: Jis Shakhs se kisi muamle me mashwara kiya… Hadith: 21-June: Abu Huraitah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Jis Shakhs se kisi muamle me mashwara kiya jaaye wo us me ameen (Amanatdar) hai, lihaja Amanatdari ke sath mashwara do. 📕 Jami` at-Tirmidhi 2822
Jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul… ✦ Hadith : Jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul nahi honge RasoolAllah (Sallallahu Alalhi Wasallam) ne farmaya: "Namaz teen hisso mein taqseem hai Pakeezgi ek tihayee hai aur ruku ek tihayee hai aur sajde ek tihayee hai Jisne Iss tarha adaa kiya to uski namaz qubul ki jaegi aur uske sare aamal qubul honge aur jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul nahi honge." 📕 Al-Silsila-tus-Sahiha - 643
Musibat me Khair ki Dua [Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi… Hadees: Umme Salma bint Abu Umayya (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya, "Agar koyi musalman jisko koyi museebat pahuche aur wo ye kahe jiska Allah subhanahu ne usko hukm farmaya:"Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajioon, Allahumma Ajurni fee Musibati Wa Akhlifli Khairam Minha" Tarjuma: Beshak hum Allah ke hain aur Usee ki taraf laut kar jane wale hain , Aye Allah mujhe meri museebat par ajar de aur mujhe is se behtar naimat ata farma tou Allah subhanahu…
Koi Shakhs Imanwala nahi ho sakta jabtak Nabi (ﷺ) ko… Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ki, Beshak Rasool-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya, "Qasam hai Us Zaat ki jis ke haath mein meri jaan hai, Tum mein se koi bhi imanwala nahi hoga jab taq Main uske Waalid aur Aulaad se bhi Ziyada Uska mehboob nah ban jaoon." 📕 Sahih al-Bukhari, 14 ♥ SubhanAllah! Beshaq Humari Dunia aur Aakhirat ki kamiyabi ke liye Allah Ta'ala ne humey Sabse Azeem Rasool Ata kiya, Humey Aap (ﷺ) ka ummati hone ka sharf ata…
Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta: Hadees Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Tumhara Rab bahuth Ba'haya aur Kareem hai, jab uska banda uske Saamne apne dono haath Uthata hai tou Unhen khali Lautate huye Usey apne bande se haya Aati hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 1488-Sahih WAJAHAT: Iss Aahadees me Haya se murad Allah Apne bando ki koi bhi fariyad (Dua) zaya nahi karta, jiske talluk se ek aur riwayat me aata hai ke - Hadees: Allah…
Jab koi Musalman dua karta hai to Allah 3 me se ek… Hadith: Jab koi Musalman dua karta hai to Allah 3 me se ek ataa karta hain ✦ RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya : "Jab koi Musalman aisee dua karta hain jis mein gunah aur Qata rehami na ho to Allah Subhanahu us wajah se teen cheezon mein se koi ek usko ata farma deta hain. Ya to uski dua fauran Qubul farma deta hai, ya uske liye akhirat mein zakheera kar leta hai, ya phir uski koi taklif us…
Al-Quran: Jo Pakeeza Rizq humne tumhe ata kiya hai… Jo Pakeeza Rizq humne tumhe ata kiya hai usme se khao, aur us me hadd se aage na badho, jis ke nateeje me tum par mera gazab nazil ho jaye. [Quran 20:81]
Mehman Nawazi ki Fazilat aur Sunnat Mehman Nawazi ki Fazilat aur Sunnat Uqba bin Aamir (R.A.) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Us shakhs me koi Khair (Bhalayee) nahi jo mehman nawazi nahi karta" 📕 Masnad Ahmed 7088 -Sahih Al-Silsila As-Sahiha - 193 ✦ Hadith: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo shakhs Allah aur aakhirat ke din par yaqeen rakhta ho usko apne mehman ki izzat karni chahiye" 📕 Sahih Bukhari, Jild 7, Hadees 6135 ✦ Hadith: Abu Hurairah (R.A.) ka bayan hai, Nabi-e-kareem (ﷺ)…
Hadith: Jab tum me se koi paani piye tou bartan me… Hadith: 29-March: Abu Qatadah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jab tum me se koi paani piye to usey chahiye ke bartan me saans na le. -Bukhari 154
Sadqa Karo! Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa… Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa nahi lega Hadees: Haritha Bin Wahab (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Sadqa Karo! Ek aisa Zamana bhi Tum par aane wala hai, Jab Ek Shakhs apne Maal ka Sadqa le kar Niklega aur koi Usey Qubool karney wala nahi payega. Jiskey paas Sadqa le kar jayega Wo ye Jawaab dega kiAgar Tum Kal Usey laye hotey tou Mai Qubool kar leta Aaj tou Mujhe uski Jaroorat…
Allah ki Raza ke Bagair Koi Shifarish Nahi Kar Sakta Allah ki Raza ke Bagair Koi Shifarish Nahi Kar Sakta Aaj ke dor me aksar log yeh samajhte hain ke kisi buzurg ya wali ki shifarish se unhe Jannat mil jayegi, chahe wo Qur’an aur Sunnat ke teachings ko chhod kar apni marzi ki zindagi guzaar rahe ho. Yehi ghalat aqeeda pehle bhi kuch qaumon ka tha, jaise Isayi samajhte the ke Hazrat Isa (Alaihi Salam) unki shifarish karke unhe Jannat me le jayenge. Lekin Allah Ta’ala ne unke is…
Jab Tum me se koi Shakhs kisi Aisey Aadmi ko dekhey… ♥ Mafhum-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya - "Jab Tum me se koi Shakhs kisi Aisey Aadmi ko dekhey Jo Maal aur Shakal aur Surat me Uss se Badhkar hai tou uss Waqt usey aisey Aadmi ka Khayal karna chahiye jo Uss se kum darje ka hai." - Sahih Bukhari, Vol-7, Hadith 6490
Jab Banda koi Nek Amal pabandi se karta rehta hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Musa (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, wo kehte hain maine Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko ek ya do baar hi nahi balke mutaddad baar ye kehte huye suna Ke: "Jab banda koi Nek Amal (pabandi se) kar raha ho, phir koi Bimari ya safar usey mashgool kar de jis ki wajha se usey wo na kar sake, to bhi uske liye itna hi sawab likha jata hai jitna ke uske tandrust aur muqeem hone ki soorat…
Al-Quran: Jis Shakhs ne Dunia me Jarra barabar bhi… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Insan Apni Har acchayi aur Burayi Qayamat me dekh lega Allah Taala Quraan me farmata hai: "Jis Shakhs ne (Duniya) me Jarra barabar bhi koi burayi ki hogi tou wah usey aakhirat me dekh lega." 📕 Surah Az-Zalzalah 99:08
Hadees: Koi Padosan apni padosan ke tohfe ko mamuli… Hadees: Koi padosan apni padosan ke tohfe ko mamuli na samjhe Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Aye Musalman Aurto ! koi padosan apni padosan ke hadiye (tohfe) ko mamuli na samjhe, agarche Bakri ka khur hi ho." 📕 Bukhari, Hadees 6017