Tumhaari Doulat aur Aulaad tumhe Allah ki yaad se Gaafil na kar de
Allah Taala Quran me farmata hai:
“Aye Imaan waalo! Tumhaari Doulat aur tumhaari Aulaad tumhe Allah ki yaad se Gafil na karne paye aur jo log aisa karenge, woh bade ghaate ka souda karne waale honge.”
Allah ki Raza ke Bagair Koi Shifarish Nahi Kar Sakta Allah ki Raza ke Bagair Koi Shifarish Nahi Kar Sakta Aaj ke dor me aksar log yeh samajhte hain ke kisi buzurg ya wali ki shifarish se unhe Jannat mil jayegi, chahe wo Qur’an aur Sunnat ke teachings ko chhod kar apni marzi ki zindagi guzaar rahe ho. Yehi ghalat aqeeda pehle bhi kuch qaumon ka tha, jaise Isayi samajhte the ke Hazrat Isa (Alaihi Salam) unki shifarish karke unhe Jannat me le jayenge. Lekin Allah Ta’ala ne unke is…
Jab tumhari Nekiyan Tumhe Khush kare ... Jab tumhari Nekiyan Tumhe Khush kare Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab tumhari Nekiyan Tumhe Khush kare aur Tumhare Gunah Tumhe Ranjeedah kare tou tum momin ho." 📕 Silsila Saheeha; Hadees: 550
Ya Allah! meri Madad kar tera Zikr aur Shukr karney… Acchi ibadat ki dua "Allahumma Ainni Ala Dhikrika Wa Shukrika Wa Husni Ibadatika" (Ya Allah! meri madad kar tera zikr karney me, aur tera shukr ada karney me aur teri achchi ibadat karney me) – Sunan Abu Dawood 1509-Sahih ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Ta’ala Quran-e-Majid me farmata hai: "Aur jo meri yaad se ghafil ho jata hai tou hum uss par ek shaitan muqarrar kar detey hain phir wo uska saathi ban jata hai." – Surah Az-Zukhruf 43:36
Aulaad ki Tarbiyat - Part 6 Aulaad ki Tarbiyat - Part 6 G). Tarbiyat ka 7th marhala: Aulaad ke bich Adal (Insaf) karey: Aaj aksar dekha jata hai ke Aulaad me Nainsafi bohot aam hai , Baap ek Bacche ko humesha Godd leta hai, koi puche ke isko kyu lete ho tou kehta hai: “Ye Baccha bohot Gora hai mujhe Pasand hai, baaki wale thodey rang me kum hai” Subhan’Allah! kya Ajib baat hai, Aap sirf Rangat ki buniyad par Baccho me Nainsafi karte ho. “Mujhe…
Hadees: Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke… Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! Jabir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! kahin qubooliyat ka waqt ho aur Allah us bad-dua ko qubool kar le (phir tum pachhtaate raho)." 📕 Muslim, Hadees 7705
Allah Taala Bure khayalat muaf kar deta hai jabtak… Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Allah Taala ne Meri Ummat ko Bure Khayalaat ki Had tak Muaf kiya hai jab tak Us par Amal na kare ya Usey Zubaan se ada na kare." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 5269
Jab Tumhe Mehsoos ho ke Tumhari Tabiyat ko... Bujurgon Ke Aqwaal "Jab Tumhe Mehsoos ho ke Tumhari Tabiyat ko Zikre Ilahi se Mohabbat ho Gayi hai, Tou Jaan Jao ke Woh Yaani Allah Rabbul Izzat Tumhe Pasand karta hai.."Hazrat Ali (RaziAllahu Anhu)
Aulaad ki Tarbiyat - Part 3 Aulaad ki Tarbiyat - Part 3 B). Tarbiyat ka 2nd Marhala › Allah se Nek Aulaad talab karey: Ab Acchi Biwi ke intekhab ke baad jab Nikaah ho jaye tou Allah se nek Aulaad talab karey. Khalis Apne Rab se Dua karey ke – “Aye Allah hume Nek Aulaad dey, Saleh Aulaad ata farma” Yaad rakhiye - ye bhi Aulaad ki Tarbiyat ke marhale me se hai. isiliye Kyunki Allah Apne Bando ko waise hi ata karta hai jaisa ki…
Aye Allah Ke Bando! Bhai-Bhai ho kar Raho Aye Allah Ke Bando! Bhai-Bhai ho kar Raho Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke,Nabi (ﷺ) farmate hai, "Aapas me Ek Doosre se Bugz-o-Dushmani na rakho aur na hi Ek Doosre se Hasad karo aur na ek doosre se talluk todo aur Aye Allah ke bando! bhai bhai ho kar raho. aur kisi musalman ke liye ye jayaz nahi ke 3 din se jyaza apne kisi bhai se rishta tode rakhe (baat band rakhe)." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees…
Jo log iman laaye, Allah unki Burayion ko door kar dega Jo log iman laaye, Allah unki Burayion ko door kar dega Allah Taala Quran me farmata hai: "Aur jo log iman laaye, aur Unhone Neik kaam kiye yakinan hum unse unki Buraiyan door kar denge." 📕 Surah Ankabut 29:7
Allah Taala us Insan ki Doulat ko kum kar deta hai Allah Taala us Insan ki Doulat ko kum kar deta hai Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: ❝Jo Shakhs Maal wa Doulat badhaane ke Liye maangna shuru karta hai, to Allah Taala us ki Doulat ko us se bhi kum kar dega.❞ 📕 Musnade Ahmed, Hadees 9624
Aulaad ki Tarbiyat - Part 7 Aulaad ki Tarbiyat - Part 7 I). Tarbiyat ka 9th marhala Maa ka Aham Kirdar Bacche ki Tarbiyat me Maa ka kirdar bohot hi Aham hota hai yaad rakhiye , isiliye ke Maa Zimmedar hai Aulad, Shohar aur Shohar ke Gharwalo ki. Ek Nahna Munha baccha apni Maa ko Sajda karte hue dekh wo bhi sajde me chala jata hai, halanki usko kuch bhi samjhta nahi , tou wohi Nanha Munaa Baccha jab Maa ko Jhuth bolta hua dekhta hai…
Aulaad ki Tarbiyat - Part 1 Aulaad ki Tarbiyat - Part 1 Allah ke Naam se Shuru Jo tamam jahano ko banane wala aur usey palney wala hai! aur Duroodo Salaam ho Uskey aakhri Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) par. Aaj kal aksar dekha jata hai ke Waldain apni Aulad ke talluk se Pareshan rehte hai ke kis tarha unki Tarbiyat ki jayey. kis tarha unhe accha Momin banaye. aur yahi cheez yaani Aulaad ki Tarbiyat aaj ke Jadeed dour me ek Sangeen masla hai, aur iski…
Aulaad ka Qatl bohot sakht Gunaah hai 💠 Bismillah-Hirrahman-Nirrahim 💠 ❌ Garibi ke Dar se Aulaad ka Qatl Mat karo Allah Ta'ala Qur’an-e-Kareem mein irshad farmata hai: “Aur logo! Muflisi (Garibi) ke khauf se apni aulaad ko qatl na karo. Kyunki unko bhi aur tumko bhi rozi hum hi dete hain. Beshak aulaad ka qatl karna bohot sakht gunaah hai.”— Surah Bani Israel, Aayat 31 👧👦 Allah har kisi ko Aulaad Apni Hikmat se deta hai Allah Qur’an mein farmata hai: “Saare Aasmaan aur Zameen ki hukumat…
Walidain ka Apni Aulaad par kitna Haq hai ? Hadees of the Day Walidain ka Apni Aulaad par kitna Haq hai ? Hazrate Abu Umama (R.A) riwayat karte hain ki,Ek aadami aaya aur uss ne arz kiya: Ya RasoolAllah (ﷺ)! Waliden ka apni Aulaad par kitna haq hai ? Aap (ﷺ) ne farmaya - "Woh (Maa-Baap) donon teri jannat hain aur dozakh." (yaani unki khidmat kar ke jannat haasil kar lo ya nafarmaani kar ke dozakh ke mustahiq ho jawo). 📕 Ibn Majah As-Sunan, 02/1208, Raqam-3662,📕 Mundhiri at-targhib wat-tarhib,03/216,…