✦ abu talib, abu lehab aur abu jehal ka hashr
1. Abu Talib:
Aap wo Shakhssiyat hai jo kisi taruf ki mohtaz nahi. har seerat ka talibe ilm Abu Talib ke talluk se jaanta hai. yeh Rasoolallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke Chachaon me se ek chacha they, aur yeh wo chacha hai jo imaan nahi laaye lekin Aap (ﷺ) ki har kism ki mumkin madad ki, maal se madad ki, apna jo asar aur rusooq tha uss se RasoolAllah (ﷺ) ki madad ki.
jab tak abu talib hayat they kisi ki himmat na hui ke RasoolAllah (ﷺ) kuch kar sakey yeh Abu Talib ke inteqal ke baad ke Waqayat they jab aapko mushrikane makka ki janib se takleef milti thi.
Mushrikine Makka Sahaba ko badd se baddtareen Aziyate pohcha rahe they lekin RasoolAllah (ﷺ) ki taraf koi nazar bhi nahi uthata hai isiliye ke agar humne Mohammad (ﷺ) ko koi dhakka pohchaya tou Quraish humare khilaf ho jayenge isiliye ke Abu talib ki madad iss Shakhs (ﷺ) ke sath hai.
Yeh Abu Talib ki shakhsiyat thi. RasoolAllah (ﷺ) ki poori madad ki har mumkin koshish ki. lekin jab inke inteqal ka waqt aata hai, aur Aap (ﷺ) kehete hai ‘Chacha! imaan la lo.’ to wo kahne lage – ‘Aye mere bhatije! mai emaan nahi la sakta log kahenge ke Abu Talib apne aakhri waqt me apne Aaba-o-Azdad ke deen se fir gaya.’
Aap (ﷺ) ne kaha ‘Chaha agar aapko Sharmindagi mehsus ho rahi hai tou mere kaan me hi keh do, mai Roze Qayamat Allah se Aapke Haq me Sifarish karunga.’
Abu Talib ne kaha Ke “Nahi! mai yeh bhi nahi kar sakta ..” aur isi me Abu Talib ka inteqal ho gaya. fir Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) par Aayat nazil hoti hai:
❝Aye Nabi (ﷺ) ! jisko Aap chaho Hidayat nahi de sakte, Allah jisko chahta hai hidayat deta hai.❞ [Surah Al-Qasas 28:56]
Shaba ne pucha ‘ya Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Abu Talib ka kya hoga? Jannat me jayega ya Jahanum me ?’
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ‘Abu Talib ko Jahannum ka sabse halka Azab diya jayega, aur Azab yeh hoga ke Abu Talib ke takhno tak jahannum ki aag hogi. ek riwayat me aata hai ke jahannum me aag ki jutiya (shoes) pahnaya jayega, lekin uski tapish itni jyada hogi ke uska bheja sir me kholta rahega. aur abu talib yeh samjhenge ke yeh Azab sabse jyada hai.’
lekin Jannat se hamesha ke liye mehroom kar diye jayenge, isiliye kyunki ek Haqeeqi Rab par imaan nahi laye. Tawheed par Aqeeda na rakha lihaja Jahannum hi Abu Talib ka Aakhri thikana hoga. yeh hai Tawheed ki Ahmiyat jo Jannat aur Jahannum ka fark karaati hai.
2. Abu Jahal:
Aayiye Abu Jahal ke wakiye par gour karte hai. har seerat ka talibe ilm Abu Jahal ka naam janta hai. isney RasoolAllah (ﷺ) par kya Zulm nahi kiya, iske kisi bete ka Naam Jehal nahi tha. yeh Abu Jehal tou isliye kehlaya ke ‘Imaan nahi laya jahalat ko ikhtiyar kiya’. isi liye isey Jahilo ka Baap kaha jata hai.
Iska asli naam tha Abul Haqam tha, Yaani ‘Hiqmato ka Baap’. ye apne peshe me itna maahir tha ke Quraish ke tamam Muamlat puri duniya se yahi sambhalta tha, purey International Deal, Badshaho se Talluk Qayam karna yeh saare kaam Abu Jehal sambhalta, log isey Abul Haqam kehte, jab usey emaan ki dawat aayi lekin wo emaan nahi laya tou sabse Aqalmand aadmi bhi sabse bewakuf aur jahil kehlaya.
lihaza Abu Jehal kehlaya Abul Haqam ke badley aur yahi Tawheed ki Ahmiyat hai jisney yeh fark kar diya hamesha ke liye.
3. Abu Lahab:
Tisra wakiya Abu Lahab ! aur abu lehab ko koun nahi janta yah RaoolAllah (ﷺ) ka dusra chaha hai yeh wo chachao me se hai jo Imaan nahi laya lekin sakht tha islam ke khilaf, yeh takleef deta RasoolAllah ko aur bohot gora chitta tha, aur yeh Abu Lehab tou isiliye kehlaya ke yeh itna khubsurat tha ke jab hasta ya Ghusse me aata tou laal ho jata angaar ki tarha tou kehlaya ‘Abu Lahab’ yaani ‘Angaar ka Baap’.
lekin iske talluk se puri Surah (Surah no.111 ; Surah Al-Masad) utar gayi ke ye bhi jahannum me jayega.
✩ Tawheed ki Fazilat
Ab Aayiye dekhte hai Tawheed ki Ahmiyat aur ispar Amal karne ka Silaah.
Abu talib, Abu Lehab aur Abu Jehal ke khilaf idhar Tawheed par Hazrate Bilal bin Raba (R.A) hai jo ghulaam hai, Abu Lehab jo dikhne me gora chitta hai aur Hazrate Bilal intehayi kaale hai lekin Bilal RasoolAllah (ﷺ) se Jannat ki khushkhabri sun rahe hai aur waha Abu Talib ko jahannum ki wahee aa rahi hai.
Tou wo kya cheez thi jisney Bilal (R.A.) ko Jannat ka mustahik bana diya aur Abu Talib, Abu Jahal aur Abu Lehab ko Jahannum ke hawale kar diya. yeh wohi tou sabse Aham baat thi ke Ek ne Allah par emaan laya aur iss ke khilaf baki ne Allah ke sath Shirk kiya. lihaja emaan laney walo ko Jannat ki Khuahkhabri sunayi aur Shirk karne wale humesha humesha ke liye jahannum ke mustahiq ho gaye.
Yahi tou hai Tawheed ki Ahmiyat jo jannat aur jahannum ka fark kar deti hai. Aakhir me allah Rabbul Izzat se Dua hai ke, Allah hume Tawheed par qayam rakhe aur har kism ke Shirk se humare emaan ki salamati ata farmaye, jab tak hume zinda rakhe islam aur emaan par zinda rakhe, khatma humara emaan par ho…
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!