Shohrat ke Waste Ilm Haasil karne wala Dozakhi hai
Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya –
“Jo Insan Deen-e-Islam ka Ilm Sirf Isliye Sikhna chahta ho ke Uss Ilm ke Jarye wo Kum Ilm Walo(Jaahilo) par Fakr (Ghamand) kare, Ulema (Scholar) se Jhagda kare, Logon me Aalim ke taur par Mash’hoor (Famous) ho jaaye aur log Uski Izzat kare tou aesa Insan Dozakh me jaaega.”
– Tirmizi #2654, Ibne Majah #253
♥ Allahu Akbar !!!
– Allah Rabbul Izzat Humey Ikhlas ke sath sahih Ilmo-Amal ki taufik dey,.
– Hume kitabo Sunnat ki dawat Mukhlisana koshisho ke saath aam karne wala banaye ,..
– Jab tak Hum Zinda rakhe Islam aur Iman Zinda rakhey.
– Khatma humara Imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Gaali Galoch aur Baddkalami Karne wala Allah ke… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki - "Do Shakhs Jab Gaali-Galoch Kare Tou Dono Ka Gunaah Usi Par Hoga Jo Ibtida (Shuruaat) Karega, Jab Tak Mazloom(Zulm Sehne Wala) Jiyadati Na Kare" - (Sahih Muslim) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Musalman Ko Gaali Dena Fisq (Belong to Fasiq) Hai aur Qatl Karna Kufr Hai". - (Sahih Bukhari) ♥ Mafhoom-e-Hadees:…
Ilm ki Talash me rehne wale ki Fazilat | Puraane… Ilm ki Talash me rehne wale ki fazilatPuraane Gunaaho ki Maghfirat Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke - "Jis Ne Ilm Talash Kiya Tou Yeh Talash Uss Ke Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Ho Gayi” 📕 Miraatul Manahij, Jild 1, Safa 203 Wajahat: Taalib-e-Ilm se Sagira Gunaah Muaf hote jate hai, Jaise (Gunaah-e-Saghira) Wuzu Namaz Vagaira Ibadat se Lihaza Iska Matlab Yeh Nahi ke Talibe Ilm Jo Chahe Gunaah kare. Balki Matlab yeh hai ki Allah Ta’ala Niyat-e-Khair se Ilm ki…
Ilm-o-Hidayat ki Misaal 3 Tarah ki hai Ilm-o-Hidayat ki Misaal 3 Tarah ki hai Hadees: Abu Musa (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Allah Ta'ala ne Mujhe Jis Ilm-o-Hidayat ke Saath Bheja hai Uski Misaal Uss Baarish ki Tarah hai Jo kisi Zameen par Khub Barsey. (Aur jis Zameen par Barish barsi woh 3 Tarah ki thi)" 1). Uska Ek Tukda Umda Tha Jisne Paani ko Apne Andar Jazab kar liya, phir Khub Ghaas aur Sabza Ugaya. 2). Zameen ka Ek Dusra Umda Tukda…
Allah Ta'ala Sakht Azaab dene wala aur Bakshshne… Allah Ta'ala Sakht Azaab dene wala aur Bakshshne wala bhi hai Allah Ta'ala Farmata Hai: “Jaan Lo! Bila Shubha Allah Ta'ala Sakht A'zaab Dene wala hai aur Bila Shubha Allah Ta'ala bohot Bakhshne wala aur Nihayat Raham wala hai.” 📕 Surat-ul-Maaidah : 98
Ilm Ki Ahmiyat: Part-7 Allah Rabbul Izzat ne Quraan mein baar baar musalmano ko ubhara hai duniyawi ilm hasil karne ke liye, sharayi ilm toh yakinan hasil karna hai, yeh toh bunyadi hai iski... lekin uske saath-saath duniyawi ilm bhi hasil karna hai, jo bohot se logon ne isko tark kar diya. Momin ki sifat ke woh zikr karte hain Allah ka. Allah Rabbul Izzat iske talluk se Quraan mein ek jagah farmata hai: "Yakinan zameen-o-aasman ki paidaish mein, aur raat aur din ke…
Ilm Ki Ahmiyat: Part-8 Ek Missal Deta Hu, Ke Kaise-Kaise Inkashafat Quraan Ne Wo Cheezo Ke Baarey Me Bataya Jisko Humne Duniyawi Ilm Keh Kar Chorr Diya ,.. Allah Ta'ala Farmata Hai: Surah Anmbiya (21) Ayat 30 Me Farmaya: Yeh Itni Behtareen Aayat Hai, Ismey Allah Rabbul Izzat Ne Humari Khalqat Ka Bayan Kiya Aur Farmaya: “ Kya Yeh Log Jo Imaan Nahi Laatey Wo Dekhtey Nahi Ke Zameen Aur Aasmaan Ibteda Me Ek They, Humne Inhe Hukm Diya Aur Humare Hukm Se Yeh…
Shohrat ke liye koi kaam karne ka Gunaah Shohrat ke liye koi kaam karne ka Gunaah Hadees: Hazrate Jundub (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: "Jo Shakhs Shohrat ke liye koi Kaam karega tou Allah Taala uske Aib Mash'hoor kar dega." 📕 Bukhari, Hadees 7152
Hadith: Qataa Rahmi (Rishte todne) wala Jannat me… Hadith: 27-March: Jubair bin Mut`im (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya “Qataa Rahmi karney wala (Yaani Rishtey todney wala) jannat me nahi jayega.” -Sahih Bukhari, Hadith: 5984 ✦ हिंदी हदिस: जुबैर बिन मुतिंम रज़ी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है के, नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया “कता रहमी करनेवाला (यानी रिश्ते तोड़ने वाला) जन्नत में नहीं जायेगा” -सही बुखारी, हदीस 5984 ✦ Hadith: Narrated Jubair bin Mut`im: That he heard the Prophet (ﷺ) saying, "The…
Hadees: Allah ke Nazdeek Izzat wala banda Allah ke Nazdeek Izzat wala banda Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Hazrat Musaa (Alaihi Salam) ne Allah Taala se daryaft kiya ke Aap ke nazdik sabse jyada Izzat wala banda koun hai?" Allah Taala ne farmaya ke: "Jo badla lene ki Quwwat ke bawajud bhi muaf kar de." 📕 Sho'abul Iman 8327
Ilm Ki Ahmiyat: Part-3 Ilm Ki Ahmiyat aur Fazilat ke Taalluk se Youn Tou Alllah Rabbul Izzat ne Quraan Me Kayi Ayate Nazil Ki Hi, Insha'Allah Kuch Ka Tazkira Hum Iss Post Me Karne Ki Koshish Karenge: ✦ 1. Ilm Me Barkat Ke Liye Behtareen Dua: “ Wa Qul Rabbi Zidni Ilmaah" (Aye Nabi Dua Kijiye Apney Rabb Se Ke) Aye Allah Mere Ilm Me Ijafa Kar. (Al Quran, Surah Tahaa 20:114) Ye Hukmi Aayat Hai aur Andaja Lagayiye Ke Nabi-e-Kareem (ﷺ) Ko Hukm…
Ilm ki Ahmiyat aur Fazilat: Quran aur Ahadith ki Roshni mein Ilm ki Ahmiyat aur Fazilat: Quran aur Ahadith ki Roshni mein Quran ki Roshni mein Al-Quran: ♥ Allah Ta’ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unkey Darjaat Buland Kar Ke Rahega. – Surat Al-Mujadila 58:11 Ahadith Ki Roshni Mein RasoolAllah (ﷺ) farmate hai: ♥ Ilm Haasil Karna har Musalmaan par Farz hai.– (Miskat P:24) ♥ Ilm Hasil Karna Har Ek Musalmam (Mard Aur Aurat) par Farz Hai.– (Sunan ibn Majah, Vol-1,…
Ilm-e-Gaib ki Haqeeqat Ilm-e-Ghaib ka Sawal jispar kayi Tehriko ka Ekhtilaf Koi kehta hai Aap (ﷺ) ko Ilm-e-Gaib bilkul bhi nahi tha, aur koi kehta hai Aap ﷺ ko Mukammil (Completely) Ilm-e-Gaib tha. Yaad rakhey aise dono kism ke log apne akide me kamzor hai, Inhe chahiye ke sahi ilm hasil kare aur apni islah kar ley. Kyunki agar Aap Seerat un Nabi ﷺ ka Muta'ala karte hai tou Maaloom hoga ke Aap (ﷺ) ke sath aise kayi waqiyat pesh aaye Jis'se wajeh hota…
Ilm Ki Ahmiyat: Part-2 Ba'Qoul Qurane Majid: "Iqra' Bi'asmi Rabbika Al-Ladhi Khalaqa." - Bus Fir Musalmano Ki Aaneywali Naslo Ne Apne Rabb Ka Naam Lekar Aisa Ilm Haasil Kiya Jo Rehti Duniya Tak Logon Ke Liye Faydemand Sabit hua. Phir Chahey Wo Shariyat Ka Ilm Ho Ya Fir Duniyawi Ilm, (Religious Knowledge or Universal Knowledge) Bina Tafrik Aur Fark Kiye Rab Ka Naam Letey Aur Har Uloom Ko Padh Letey. Aur Naa Sirf Padhtey Balki Har Uloom me Maharat Haasil Kar Li, Balke Inhone…
Ilm Ki Ahmiyat: Part-6 Jaha Quraan me 6600 se Jyada Aayate hai Usmey se Kamobesh 1000 se jyada Aayate Uss Uloom (Subject) Ppar hai Jisko Hum Duniyawi Ilm bol kar Chorr detey hai. *Jaise Zameeno-Aasmaan ki Paidaish, Humare Khud ki Paidaish, Chareend aur Parind Ke Taalluk se , Aasmaan se Paani Barasney Ke Talluk se , Allah Ta'ala ne Kaaynat ko kaise banaya?, Kis tarha se Kaynaat ka Nizam chalaya?. Tamam tar Wo Tafseelat deti hai Jisko Humne Duniyawi Uloom Keh kar chorr diya, Jabki…